Follow On Instagram Barkati Kashana |
Sawal : Namaz Ki Shartain Kitni Hain...?
Jawab : Namaz Ki Shartain Chay 6 Hain Jin Ke Baghair Namaz Siray Se (Yani Shuru) Hoti Hi Nahi
इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए
1. Taharat.
Yani Namazi Ke Badan, Kapray Aur Us Jagah Ka Pak Hona Jis Par Namaz Parhay.
2. Satare Aurat.
Yani Mard Ko Naaf Se Ghutney Tak Chhupana Aur Aurat Ko Siwaye Chehra Hatheli Aur Qadam Ke Poora Badan Chhupana, Aurat Agar Itna Bareek Dopatta Ourh Kar Namaz Parhay Ke Jis Se Baal Ki Siyahi Chamkay To Namaz Nahi Hogi Jab Tak Ke Us Par Koi Aisi Cheez Nah Oorhay Ke Jis Se Baal Ka Rang Choup Jaye. (Aalamgiri)
3. Istaqbaale Qibla.
Yani Namaz Mein Qibla Ki Taraf Munh Karna, Agar Qibla Ki Simt (Direction) Mein Shuba (Yani Shak) Ho To Kisi Se Daryaft Kere Agar Koi Dosra Mojood Nah Ho To Ghhor O Fikar Karne Ke Baad Jidhar Dil Jamay Usi Taraf Mun Kar Ke Namaz Parh Le Phir Agr Namaz Ke Baad Maloom Hua Ke Qibla Doosri Taraf Tha To Koi Harj Nahi Namaz Hogayi. ( Durre Mukhtar, Bahhar Shariat)
4. Waqt.
Lihaza Waqt Se Pehlay Namaz Parhi To Na Hui .
5. Niyat.
Yani Dil Ke Pakkay Iradah Ke Sath Namaz Parhna Zaroori Hai Aur Zabaan Se Niyat Ke Alfaaz Ke Lena Mustahab Hai Is Mein Arabi Ki Takhsees Nahi Urdu Waghera Mein Bhi Hosakti Hai. Aur Yun Kahe, Niyat Ki Mein Ne. Aur "Niyat Karta Hon Mein" Nah Kahe .
6. Takbire Tehrima.
Yani Namaz Ke Shuru Mein Allah Akbar Kehna Shart Hai.