Kam Se Kam 3 3 Baar Daayein Baayein Upar Neeche Ke Daanton Mein Miswak Kijiye Aur Har Baar Miswak Dho Lijiye. Ab Seedhe Haath Ke 3 Chullu Paani Se Is Tarah 3 Kulliyon Kijiye Ke Har Baar Muh Ke Har Purje Par Halk Ke Kinaare Tak Paani Bah Jaaye. Agar Roza Na Ho To Gar Gara Bhi Kar Lijiye. Phir Seedhe Hi Haath Ke 3 Chullu Paani Se 3 Baar Naak Mein Narm Haddi Tak Paani Chadhaiye. Aur Agar Roza Na Ho To Naak Ki Jad Tak Paani Pahunchaiye. Ab Ulte Haath Se Naak Saaf Kijiye. Aur Chhoti Ungli Naak Ke Surakho Mein Daaliye. 3 Baar Saara Chehra Is Tarah Dhoyiye Ke Jahan Se Aadatan Sar Ke Baal Ugnana Shuru Hote Hain, Vahan Se Lekar Thodi Ke Neeche Tak, Aur Ek Kaan Ki Lau Se Doosre Kaan Ki Lau Tak Har Jagah Paani Bah Jaaye. Agar Daadhi Hai To Is Tarah Khilaal Kijiye Ke Ungliyon Ko Gale Ki Taraf Se Daakhil Karke Saamne Ki Taraf Nikaaliye. Phir Pehle Seedha Haath Ungliyon Ke Sire Se Dhona Shuru Karke Kuhniyon Samet Teen Baar Dhoyiye. Isi Tarah Phir Ulta Haath Dhoyiye. Dono Haath Aadhe Baazu Tak Dhona Mustahab Hai. Aksar Log Chullu Mein Paani Lekar Kalaiyon Se Teen Teen Baar Is Tarah Chor Dete Hain Ke Kuhniyon Tak Bahata Chala Jaata Hai. Is Tarah Karne Se Kohni Aur Kalai Ki Karwat Par Paani Na Pahunchane Ka Andesha Hai. Lihaza Bayan Kiye Hue Tarike Par Haath Dhoyiye. Ab Chullu Bhar Kohni Tak Paani Bahane Ki Zaroorat Nahi, Balki Ye Paani Ki Fuzool Kharchi Hai. Ab Sar Ka Masah Is Tarah Kijiye Ke Dono Anguthe Aur Kalme Ki Ungliyon Ko Chhod Kar Dono Haath Ki Teen Teen Ungliyon Ke Sire Ek Doosre Se Mila Lijiye. Aur Peshaani Ke Baal Ya Khaal Par Rakh Kar Khinchte Huye Guddi Tak Is Tarah Le Jaiye Ke Hatheliyan Sar Se Juda Rahein, Phir Guddi Se Hatheliyan Khinchte Huye Peshaani Tak Le Aiye. Kalame Ki Ungliyan Aur Anguthe Is Doran Sar Par Bilkul Mas Nahi Hone Chahiye. Phir Kalme Ki Ungliyon Se Kaano Ke Andaruni Hisson Ka Aur Anguthe Se Kaanon Ke Bahar Ka Masah Kijiye. Aur Chhoti Ungli Kaanon Ke Surakho Mein Daaliye. Aur Ungliyon Ki Peeth Se Gardan Ke Pichhale Hisse Ka Masah Kijiye. Kuch Log Gale Ka Aur Dhule Haathon Ki Kohniyon Ka Masah Karte Hain Ye Sunnat Nahi Hai. Phir Pehle Seedha Pair Aur Phir Ulta Pair Har Baar Ungliyon Se Shuru Karke Takhnon Ke Upar Tak Balke Mustahab Hai Ke Aadhi Pindli Tak Teen Teen Baar Dhoyiye. Dono Paav Ki Ungliyon Ka Khilaal Karna Sunnat Hai. Khilaal Ka Mustahab Tareeka Ye Hai Ke Ulte Haath Ki Choti Ungli Se Seedhe Paav Ki Choti Ungli Ka Khilaal Shuru Karke Anguthe Par Khatam Kijiye. Aur Ulte Hi Haath Ki Choti Ungli Se Ulte Paav Ke Anguthe Se Shuru Kar Choti Ungli Par Khatam Kijiye.