Fatiha Ka Tarika

 Sab Se Pahle 1 Baar Surah Kafiroon Padhe

قُلْ یٰۤاَیُّهَا الْكٰفِرُوْنَ(1) لَاۤ اَعْبُدُ مَا تَعْبُدُوْنَ(2) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُ(3) وَ لَاۤ اَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدْتُّمْ(4) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُ(5) لَكُمْ دِیْنُكُمْ وَ لِیَ دِیْنِ(6)
Phir 3 Baar Surah Ikhlas Padhe
قُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌ(1) اَللّٰهُ الصَّمَدُ(2) لَمْ یَلِدْ  وَ لَمْ یُوْلَدْ(3) وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ(4)
Phir 1 Baar Surah Falaq Padhe
قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ(1) مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ(2) وَ مِنْ شَرِّ غَاسِقٍ اِذَا وَقَبَ(3) وَ مِنْ شَرِّ النَّفّٰثٰتِ فِی الْعُقَدِ(4) وَ مِنْ شَرِّ حَاسِدٍ اِذَا حَسَدَ(5)
Phir 1 Baar Surah Naas Padhe
قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِ(1) مَلِكِ النَّاسِ(2) اِلٰهِ النَّاسِ(3) مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ  الْخَنَّاسِ(4) الَّذِیْ یُوَسْوِسُ فِیْ صُدُوْرِ النَّاسِ(5) مِنَ الْجِنَّةِ وَ النَّاسِ(6)
Phir 1 Baar Surah Fatiha Padhe
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ(1) الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ(2) مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِ(3) اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ  نَسْتَعِیْنُ(4) اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَ(5) صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ(7)
Phir Surah Bakra Ki Ye Aayte Padhe
الٓمّٓ(1) ذٰلِكَ الْكِتٰبُ لَا رَیْبَ  فِیْهِ ۚۛ-هُدًى لِّلْمُتَّقِیْنَ(2) الَّذِیْنَ یُؤْمِنُوْنَ بِالْغَیْبِ وَ یُقِیْمُوْنَ الصَّلٰوةَ وَ مِمَّا رَزَقْنٰهُمْ یُنْفِقُوْنَ(3) وَ الَّذِیْنَ یُؤْمِنُوْنَ بِمَاۤ اُنْزِلَ اِلَیْكَ وَ مَاۤ اُنْزِلَ مِنْ قَبْلِكَۚ-وَ بِالْاٰخِرَةِ هُمْ یُوْقِنُوْنَ(4) اُولٰٓىٕكَ عَلٰى هُدًى مِّنْ رَّبِّهِمْۗ-وَ اُولٰٓىٕكَ هُمُ الْمُفْلِحُوْنَ(5)
Phir Us Ke Baad Ye Aayat Padhen
وَ اِلٰهُكُمْ اِلٰهٌ وَّاحِدٌۚ-لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِیْمُ(1) اِنَّ رَحْمَتَ اللّٰهِ قَرِیْبٌ مِّنَ الْمُحْسِنِیْنَ(56) وَ مَاۤ اَرْسَلْنٰكَ اِلَّا رَحْمَةً لِّلْعٰلَمِیْنَ(2) مَا كَانَ مُحَمَّدٌ اَبَاۤ اَحَدٍ مِّنْ رِّجَالِكُمْ وَ لٰـكِنْ رَّسُوْلَ اللّٰهِ وَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَؕ-وَ كَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَیْءٍ عَلِیْمًا(3) اِنَّ اللّٰهَ وَ مَلٰٓىٕكَتَهٗ یُصَلُّوْنَ عَلَى النَّبِیِّؕ-یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا صَلُّوْا عَلَیْهِ وَ سَلِّمُوْا تَسْلِیْمًا(4)اَللَّهُمَّ صَلِّ وَسَلِّمْ وَبَارِكَ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّبَارِکْ وَسَلِّمْ (-) اَلَاۤ اِنَّ اَوْلِیَآءَ اللّٰهِ لَا خَوْفٌ عَلَیْهِمْ وَ لَا هُمْ یَحْزَنُوْنَ(5) الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا وَ كَانُوْا یَتَّقُوْنَ(6) سُبْحٰنَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا یَصِفُوْنَ(7) وَ سَلٰمٌ عَلَى الْمُرْسَلِیْنَ(8) وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ(9)


Phir Dono Hath Utha Kar  Is Tarah Dua Kare 
    Ya Allah, Hamne Jo Quran-e-pak Ki Aayatein, Suratein, Aur Jo Bhi Durood-e-pak Padha, Aur Jo Bhi Shirini Aur Khushboo Paani Hazir Hai, In Sabke Padhne Mein Pesh Karne Mein Jo Bhi Galtiyan Kotaahiyan Hui Hon, Maula Un Sab Ko Muaf Farma Kar Apni Baragah Mein Qubool Farma. (हिंदी में पढ़े)
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Sabse Pehle Hamare Pyare Aaka Sarkar-e-mustafa ﷺ Ki Baragah Bekas Panaah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, Huzoor Ke Sadke Tufail In Sab Ka Sawab Hazrat Adam Se Lekar Hazrat Isa (Alaihiss Salam) Tak Jitne Bhi Ambiyae Kiraam Is Duniya Mein Tashreef Laaye, Un Tamaam Ki Baragah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Azwaaje Mutahharaat, Ahle Bait-e-at'har, Panjtan-e-pak Ki Arwaah Ko Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Tamaam Sahaba-e-kiraam, Sahabiyat, Taabaiyeen, Taba-taabaiyeen, Khulafaa-e-raashideen, Aaimma-e-mujtahideen, Tamaam Shuhada-e-islam, Tamaam Ulama-e-islam, Tamaam Huffaz-e-kiraam Ki Arwaah Ko Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, Jange Badr, Jange Uhud, Jange Khandaq, Jange Khaybar, Jange Tabook, Jange Karbala, Aur Jitni Bhi Jange Islam Mein Hui Un Tamaam Jangon Mein Shaheed Hone Wale Tamaami Shuhada-e-kiraam Ki Arwaah Ko Is Ka Sawab Ata Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Sayyedna Imam Zain-ul-abideen, Sayyedna Imam Jafar Sadiq, Sayyedna Imam Musa Kazim Razi Allahu Anhu Ki Baragah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
   Ya Allah, In Sab Ka Sawab Imam-e-azam Abu Hanifa, Imam Shafi'i, Imam Malik, Imam Ahmad Bin Hanbal Razi Allahu Anhu Ki Arwaah Ko Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Peeraane Peer Roshan Zameer Sayyedna Ghause Aazam Dastageer, Hazrat Khwaja Usman Harooni, Hazrat Khwaja Garib Nawaz, Hazrat Rafi-ud-din Zinda Shah Madar Rahmatullahi Alaihi Ki Baragah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Hazrat Makhdum Ashraf Jahangir Simnani Kichhauchhawi, Sayyedna Waris Pak Sayyed Ala-ud-din Sabir Kalyari Rahmatullahi Alaihi Ki Baragah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma.
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Sarkar Aala Hazrat Mufti-e-azam Hind Huzoor Tajushshariya Rahmatullahi Alaihi Ki Baragah Mein Nazar Karte Hain, Qubool Farma. (Fir Agar Khaas Kar Kisi Buzurg Ke Naam Par Fatiha Karni Ho To Khaas Kar Kar Un Buzurg Ke Naam Par Isale Sawab Kar De.Phir Us Ke Baad Padhe)
    Ya Allah, In Sab Ka Sawab Mashriq Se Magrib, Shumal Se Junub, Jahaan Kahin Bhi Tere Bande Apni Apni Qabron Mein Araam Farma Rahe Hain, Un Tamaam Ki Arwaah Ko Is Ka Sawab Ata Farma.
    Ya Allah, Jis Jaa'iz Maksad Ke Tehat Is Fatiha Ka Intizaam Kiya Gaya Us Maksad Mein Kaamyaabi Kaamrani Ata Farma.
    Ya Allah, Ham Sab Ke Gunahon Ko Maaf Farma, Ham Sab Ko Namaazon Ka Paaband Bana, Hamare Gharo Mein Kaarobaar Mein Khairo Barkat Ka Bepanah Nuzool Farma, Hamare Gharo Mein Kisi Qisam Ki Koi Pareshani Ya Balaayein, Ya Bimaariyan Aane Waali Hon Ya Maujooda Hon, Un Tamaam Balaon Ko Door Farma.
    Ya Allah, Hamari Dua Ko Qubool Farma.
Kahte Rahte Hain Dua Ke Waste Bande Tere Kar De Puri Aarzu Har Be Kaso Majboor Ki
و صلى الله تعالي علي خير خلقہٖ ونور عرشہٖ وآلہٖ وصحبہٖ اجمعین، برحمتک یا ارحم الراحمین


Post a Comment

Previous Post Next Post