Shabe Barat Ki Nafal Namaze



  • Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Farmate Hain Jab Tak Farz Zimme Par Baki Rahta Hai Koi Nafal Qubool Nahi Kiya Jata. (Al Malfooz, J 1 P 70)  Qaza-E-Umri Ka Aasan Tarika

Maghrib Baad Ka Khas Amal

Shaban Ki 15vi Shab Ko Baad Maghrib 3 Martba Surah Yaseen Shareef Padhe, Pahli Baar Pahli Baar Tandrusti Ke Sath Lambi Umar Pane Ki Niyyat Se Dusri Baar Pareshani Door Hone Ki Niyyat Se Teesri Baar Muhtaji Door Hone Ki Niyyat Se Note Har Baar Yaseen Padhne Se Pahle 2 Rikaat Nafal Padhe Or 6 Rikaat Nafal Padhne Ke Baad  Duaye Nisf Shaban 1 Baar Padhe

    • 2 Rikaat Nafal Tahiyyatul Wazu Padhiye Tarkeeb Har Rikaat Me Alhamdu Ke Baad 1 Baar Ayatal Kursi 3 Baar Qul Hul Lahu Ahad. Fazeelat Har Qatra Pani Ke Badle 700 Rikat Nafal Ka Sawab Milega
    • 2 Rikat : Har Rikat Me Alhamdu Ke Baad 1 Baar Ayatal Kursi 15 Bar Qul Hul Lahu Ahad. Salam Ke Baad 100 Baar Durood Sharif. Fazeelat Rozi Me Barkat, Ranjo Gham Se Nijat, Gunaho Ki Bhkhshish, Maghfirat Hogi
    • 8 Rikat : (2 2 Rikaat Kar Ke) Har Rikat Me Alhamdu Ke Baad 5 Baar Qul Hul Lahu Ahad, Fazeelat Gunahon Se Paak Saf Hoga, Duayen Qubool Hogi, Sawabe Azeem Hoga
    • 12 Rikaat : (2 2 Rikaat Kar Ke) Tarkeeb Har Rikaat Me Alhamdu Ke Baad 10 Baar Qul Hual Llahu Ahad, 12 Rikaat Padhne Ke Baad 10 Baar Kalmaye Tauheed, 10 Baar Kalmaye Tamjeed, 10 Baar Durood Shareef.
    • 14 Rikat : (2 2 Rikaat Kar Ke) Tarkeeb Har Rikaat Me Alhamdu Ke Baad Jo Surat Chahe Padhe. Fazeelat Jo Bhi Dua Mange Qubool Hogi.
    • 4 Rikat : (1 Salam Se) Tarkeeb har Rikat Me Alhamdu Ke Baad 50 Baar Qul Hullahu Ahad. Fazeelat Gunahon Se Aisa Paak Ho Jayega Jaise Abhi Maa Ke Pet Se Paida Hua Ho
    •  8 Rikaat :  ( 1 Salam Se) Har Rikaat Me Alhamdu lillah Ke Baad 11 Baar Qul Hual Llahu Ahad, Is Ka Sawab Khatoone Jannat Sayyeda Fatima Zahra Razi Allahu Anhuma Ko Nazr Kar De, Fazeelat Aap Farmati Hain ki Main Namaz Padhne Wale Ki Shifat Kiye Bina Jannat Me Qadam Na Rakoongi

Roza Ki Fazeelat

Huzoor Sallahu Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki Jis NE Shaban Ka Roza Rakha Us Ko Meri Shafat Halal Hogai, Ek Or Hadees Shareef Me Hai Huzoor Sallahu Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki Jo Shkahsh Shaban Ki 15 Tarikh Ko Roza Rakhega Use Jahannam Ki Aag Na Chuegi

Post a Comment

Previous Post Next Post