سُبْحَانَ اللهِ وَالْحَمدُ لِلهِ وَلَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ اَكْبَرُ
- Pahli Rikaat Me Takbeere Tahrima Or Sana Ke Baad 15 Martaba Padhe
- Surah Fatiha Or Surat Ke Baad Ruku Se Pahle 10 Martaba Padhe
- Ruku Me Ruku Ki Tasbeeh Ke Baad 10 Martaba Padhe
- Ruku Se Khade Hone Ke Baad (Yani Qauma) Me 10 Martaba Padhe
- Pahle Sajde Me Sajde Ki Tasbeeh Ke Baad 10 Martaba Padhe
- Dono Sajdo Ke Darmiyan 10 Martaba Padhe
- Dusre Sajde Me Sajde Ki Tasbeeh Ke Baad 10 Martaba Padhe Isi Tarah 4 Rikaat Mukammal Kare
Khayal Rahe Ki Khade Hone Ki Halat Me Surah Fatiha Se Pahle 15 Martaba Ooper Wali Tasbeeh Padhe Baki Sab Jgah 10-10 Baar Ye Tasbeeh Padhe Har Rikaat Me 75 Marataba Tasbeeh Padhi Jaye Gi Or Chaar Rikaton Me Tasbeeh Ki Ginti 300 Martaba Hogi Apne Andaze Se Ginta Rahe Ya Unglyion Ke Ishare Se Tasbeeh Ka Shumar Karta Rahe (Jannati Zewar P 306)