Sawal : Wazu Ke Kitne Faraiz Hain Or Kaun Kaun Se Hain.? Mukhtsar Wazahat Bhi.
Jawab :
1. Munh Dhona
- Peshani Par Baal Ugne Ki Jgah Se Lekar Dhadhi Ke Thodi Ke Neeche Tak. Ek Kaan Ki Lau Se Dusre Kaan Ki Lau Tak Har Hisse Par Pani Bahana Farz Hai
- Kanpati Pr (Rukhsar Or Kaan Ke Neeche) Agar Ghane Baal Ho To Balon Ka Warna Sirf Khal Ka Dhona Farz Hai
- Munchon Ya Bhawaon (Eyebrows) Ya Buchchi (Nichle Hont Or Thodi Ke Beech) Ke Baal Ghane Ho Ke Khal Bilkul Na Dikhayi De To Jild Ka Dhona Farz Nahi Sirf Balon Ka Dhona Farz Hai Or Agar In Jghon Ke Baal Ghane Na Ho To Jild Ka Dhona Bhi Farz Hai
- Albatta Agar Munch Badh Kar Labo Ko Chipa Le To Agarche Ghani Ho Munche Hta Kar Labo Ka Dhona Farz Hai
- Dadhi Ke Baal Agar Ghane Na Ho To Jild Ka Dhona Farz Hai
- Or Agar Ghane Ho To Gale Ki Taraf Dabane Se Jis Qadar Chehre Ke Halqe Me Aayen Unka Dhona Farz Hai Or Jado Ka Dhona Farz Nahin Or Jo Halqe Se Niche Ho Unka Dhona Zaroori Nahi
- Or Agar Kuch Hisse Me Ghane Ho Or Kuch Jgah Kam Baal Ho To Jahan Ghane Ho Wahan Baal Or Jahan Kam Ghane Ho Us Jgah Khal Ka Dhona Farz Hai (Bahare Shariyat J. 1 288-289)
2. Kuhniyon Samet Hath Dhona
- Agar Kuhniyun Se Nakhun Tak Koi Zarrah Bhar Bhi Dhulne Se Rah Jayegi To Wazu Na Hoga
- Younhi Har Qism Ke Jaiz, Na Jaiz Challe Or Anghootiya Agar Tight Hon Ke Neeche Paani Na Bahe To Utar Kar Dhona Farz Hai, Agar Sirf Hila Kar Dhone Se Pani Bah Jaye To Harkat Dena Zaroori Hai Or Agar Dheele Hon Ke Bina Bilaye Bhi Neeche Pani Bah Jayega To Kuch Zaroori Nahi
- Hath Ki Zaid Ungli Ka Dhona Bhi Farz Hai ( Bahare Shariyat 1, 290)
3. Chauthai Sar Ka Masah Karna, 4. Takhno Samet Dono Paon Dhona
Jis Cheez Ki Aadmi Ko Amooman Ya Khusoosan Zaroorat Padti Rahti Hai Or Us Cheez Se Apne Jism Ko Bachane Me Harj Ho, Nakhuno Ke Andar Ya Ooper Ya Or Kisi Dhone Ki Jgah Par Lage Rahe Jarmdar Ho, Agarche Us Ke Neeche Pani Na Pahunche Agar Che Sakht Cheez Ho Wazu Ho Jayega Jaise Pkane Goondhne Walo K Liye Aata, Rangrez Ke Liye Rang Ki Parat, Orton Ke Liye Mehndi Ka Jarm Likhne Walo Ke Liye Raushnai Ka Jirm, Mazdooro Ke Liye Gara Mitti, Aam Logo Ke Liye Aankho Ke Kinare Ya Palak Me Surme Ka Jirm, Isi Trah Badan Ka Mail, Mitti Ghubar Makhkhi Machar Ki Beet Wagaira
Mustamal Pani Kise Kahte Hain