Iman Afroz Khwab
Islam Ka Sooraj Tulu Honay Se Pehle Zamanae Jahiliyat Ke Dor Mein Ek Nek Seerat Tajir (Yaani Business Mein) Mulake Sham Tijarat (Yaani Business) Ke Liye Gaya, Wahan Usne Ek Khwaab Dekha, Jo "Buhayra" Naam Ke Rahib Ko Sunaya. Us Rahib Ne Poocha: Tum Kahan Se Aaye Ho? Us Tajir Ne Jawab Diya: "Makkah Se." Usne Phir Poocha: "Kon Se Qabeelay Se Talluq Rakhte Ho?" Tajir Ne Bataya: "Quraish Se." Poocha: "Kya Karte Ho?" Kaha: Tajir (Yaani Business Mein) Hoon. Woh Rahib Kehne Laga: "Agar Allah Ne Tumhare Khwaab Ko Sachcha Farmaya To Woh Tumhari Qom Mein Hi Ek Nabi Mab'oos Farmayega (Yaani Bhejega), Tum Unki Zindagi Mein Unke Wazeer Hoge Aur Wisaal Shareef (Death) Ke Baad Unke Jansheen Hoge." Is Nek Seerat Tajir Ne Apna Yeh Khwaab Aur Uski Taabeer Kisi Ko Nahi Batayi Jab Islam Ka Sooraj Tulu Hua, Allah Kareem Ke Aakhri Rasool, Rasool-e-maqbool, Gulshan-e-risalat Ke Mehakte Phool ﷺ Ne Ilaan-e-nubuwwat Farmaya To Is Tajir Ko Mulke Sham Mein Dekhe Jane Wale Uske Khwaab Aur Uski Taabeer Ka Waqia Bataure Dalil Khud Hi Irshaad Farmaya Jise Sunte Hi Woh Nek Seerat Tajir Hazoor ﷺ Ke Gale Lag Gaya Aur Peshani Mubarak Choomte Hue Kaha: "Main Gawahi Deta Hoon Ke Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laiq Nahi Aur Main Is Baat Ki Gawahi Deta Hoon Ke Aap Allah Ke Sachche Rasool Hain." Us Nek Seerat Tajir Ka Kehna Hai: "Us Din Mere Islam Lane Par Makkah Pak Mein Nabi Kareem ﷺ Se Zyada Koi Khush Nahi Tha.
Ae Ashiqan-e-Sahaba Wa Ahle Bait! Kya Aap Jante Hain Ke Yeh Nek Seerat Tajir Kaun The? Haan! Yeh Musalmano Ke Pehle Khalifa, Sab Se Bade Muttaqi (Yaani Parhezgaar) Jannati Ibne Jannati, Sahabi Ibne Sahabi, Yar-e-ghaar O Yar-e-mazaar Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ The.
Sab Se Zyada Sa'adat Mand
Subul Al-huda War-rashad" Mein Hai: Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Ne Ek Khwaab Dekha Ke Makkah Pak Mein Ek Chand Nazil Hua Hai, Dekhte Hi Dekhte Woh Chand Phat Gaya Aur Uske Tukde Makkah Pak Ke Har Ghar Mein Dakhil Ho Gaye Hain. Phir Chand Ke Tukde Ekatthe Ho Gaye Aur Woh Chand Aapki God Mein Aagaya. Aap رضی اللہ عنہ Ne Iski Ta'beer Poochi To Bataya Gaya Ke Woh Nabi Akhiruz Zaman ﷺ Ka Intezar Hai. Aap Unki Ittiba' (Follow) Karne Wale Aur Logon Mein Sab Se Zyada Saadat Mand Honge. Jab Allah Pak Ke Akhiri Nabi, Muhammad Arabi ﷺ Ne Nubuwwat Ka Ilan Farmaya Aur Aapko Islam Ki Taraf Bulaya To Aapne Bila Takhir Fauran Islam Qubool Kar Liya. (Subul ul-huda War-rashad, 303/2)
Tarruf
Ae Aashiqan-e-Sahaba Wa Ahl-e-bait! Musalmanon Ke Pehle Khalifa, Ameer Al-mu'mineen Hazrat Siddiq Akbar رضی اللہ عنہ Ka Naam Mubarak Abdullah, Kunniat Abu Bakr Aur Siddiq Wa Atiq Alqab Hain. Siddiq Ka Maani Hai: "Bohat Zyada Sachcha." Aap رضی اللہ عنہ Zamanah-e-jahiliyat Mein Is Laqab Se Mashhoor Ho Gaye The Kyunki Hamesha Sach Hi Bolte Thay, Aur Atiq Ka Maani Hai: "Azad." Allah Pak Ki Ata Se Ghaib Ki Khabrein Dene Wale Pyare Pyare Aqa ﷺ Ne Aap Ko Khushkhabri Dete Huye Farmaya: "Anta Atiqun Minan Naar" Yani Tum Dozakh Ki Aag Se Azad Ho. Is Liye Aap Ka Laqab "Atiq" Hua.
Aap رضی اللہ عنہ Quraishi Hain Aur Saatween Pusht Mein Shajra Nasab Rasool Allah ﷺ Ke Khandaani Shajra Se Mil Jata Hai. Aap ﷺ Aamul Feel (Yani Jis Saal Namurad Abrha Badshah Hathiyon Ke Lashkar Ke Hamrah Ka'bah Muazzamah Par Hamla Aawar Hua Tha) Ke Taqreeban Dhai Saal Baad Makkah Sharif Mein Paida Hue.
Ilahi! Raham Farma! Khadim-e-siddiq Akbar Hoon Teri Rehmat Ke Sadqe, Wasita Siddiq Akbar Ka.
Huliya Mubarak
Muslamon Ki Pyari Pyari Ammii Jaan Hazrat Bibi Aisha Siddiqa Tayyiba Tahira Aabida Afifa Radiyallahu Anha Se Poocha Gaya: "Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Ka Huliya (Mubarak) Kaisa Tha?" Farmaya: "Aap Ka Rang Safaid, Jism Kamzor, Aur Rukhsar Kam Gosht Wale The, Kamar Ki Janib Se Tahband Ko Mazbooti Se Bandha Karte The Taaki Latkne Se Mahfooz Rahe, Aap Ke Chehre Mubarak Ki Ragain Wazeh Nazar Aati Thin, Is Tarah Hatheliyon Ki Pichhli Ragain Bhi Saaf Nazar Aati Thin. (Tarikh Al-khulafa, Page 25)
Jannate Adn Ka Haqdaar Kaun
Sahabi Ibn-e-sahabi, Jannati Ibn-e-jannati Hazrat Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ Farmate Hain: Jab Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Paida Huye To Allah Ta'ala Ne Jannat Adan Se Irshad Farmaya: "Mujhe Apni Izzat O Jalal Ki Qasam! Tujh Mein Sirf Unhi Logon Ko Daakhil Karunga Jo Is Paidaish Wale (Yaani Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ) Se Mohabbat Rakhega. (Mukhtasar Tareekh Dimashq, 69/13)
Zameen Se Zyada Aasman Par Shohrat
Jannati Sahabi Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ Se Riwayat Hai Ke Ek Bar Hazrat Jibreel Ameen (Alaihis Salam) Bargah-e-risalat ﷺ Mein Hazir Hue Aur Ek Kone Mein Baith Gaye, Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Wahaan Se Guzre To Jibreel (Alaihis Salam) Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah ﷺ! Ye Abu Qahafa Ke Bete Hain? To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Aye Jibreel! Kya Tum Aasman Mein Rehne Wale Inhein Pehchanate Ho? Hazrat Jibreel Ameen (Alaihis Salam) Ne Arz Kiya: "Us Rab Ki Qasam Jisne Aap Ko Sachcha Nabi Banakar Bheja Hai! Abu Bakr Zameen Ki Banisbat Aasmanon Mein Zyada Mashhoor Hain Aur Aasmanon Mein Unka Naam 'haleem' Hai." (Al Riyadh Al-nadrah, Jild 1, Safa 82)
Aashiqe Akbar Ka Ishqe Rasool
Azeem Tabaii, Buzurg Hazrat Imam Muhammad Bin Sirin رضی اللہ عنہ Farmatay Hain: Jab Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Hazoor ﷺ Ke Saath Ghaare Saur Ki Taraf Ja Rahe The To Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Kabhi Hazoor ﷺ Ke Aage Chalte Aur Kabhi Peeche Chalte. Hazoor ﷺ Ne Poocha: Aisa Kyun Karte Ho? Unhone Jawab Diya: Jab Mujhe Talash Karne Walon Ka Khayal Aata Hai To Main Aap ﷺ Ke Peeche Ho Jaata Hoon, Aur Jab Ghaat Mein Baithe Huye Dushmanon Ka Khayal Aata Hai To Aage Aage Chalne Lagta Hoon, Taaki Kahin Aap ﷺ Ko Koi Takleef Na Pahunchay. Hazoor ﷺ Ne Farmaya: Kya Tum Khataray Ki Soorat Mein Mere Aage Marna Pasand Karte Ho? Arz Kiya: Rabbe Zul-jalal Ki Qasam! Meri Yahi Arzoo Hai. (Aashiq Akbar, Page 31) Parwane Ko Chiragh To Bulbul Ko Phool Bas, Saddeeq Ke Liye Hai Khuda Ka Rasool Bas.
Duniya Se Be Raghbati
Jannati Sahabi Hazrat Zaid Bin Arqam رضی اللہ عنہ Farmatay Hain: Amir Ul-mu'mineen Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ Ne Peenay Ke Liye Pani Talab Farmaya To Ek Katore (Bartan) Mein Pani Aur Shahed Pesh Kiya Gaya. Amir ul-mu'mineen Hazrat Siddiq Akbar رضی اللہ عنہ Ne Use Munh Ke Qareeb Kiya To Ro Pare Aur Hazireen Ko Bhi Rula Diya Phir Aap رضی اللہ عنہ To Khamosh Ho Gaye Lekin Log Rote Rahe. (Inki Ye Halat Dekh Kar) Aap رضی اللہ عنہ Par Riqqat Tari Ho Gayi Aur Aap رضی اللہ عنہ Dobara Rone Lage Yahan Tak Ke Hazireen Ko Gumaan Hua Ke Woh Ab Rone Ka Sabab Bhi Nahi Poochh Sakenge, Phir Kuch Der Ke Baad Jab Afaqa Hua To Logon Ne Arz Kiya: Kis Cheez Ne Aap Ko Is Qadar Rulaya? Amir ul-mu'mineen Hazrat Siddiq Akbar رضی اللہ عنہ Ne Irshad Farmaya: Mein Ek Martaba Hazoor ﷺ Ke Saath Tha Ke Aap ﷺ Apne Aap Se Kisi Cheez Ko Door Karte Hue Farmaye The, 'mujh Se Door Ho Ja, Mujh Se Door Ho Ja,' Lekin Mujhe Aap Ke Paas Koi Cheez Dikhayi Nahi De Rahi Thi. Mein Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah ﷺ! Aap Kisi Cheez Ko Apne Aap Se Door Farma Rahe Hain Jabki Mujhe Aap Ke Paas Koi Cheez Nazar Nahi Aarahi? Sarkar-e-do Jahan ﷺ Ne Irshad Farmaya: Yeh Dunya Thi, Jo Ban Sanwar Kar Mere Samne Aayi To Maine Is Se Kaha: 'mujh Se Door.' Ho Ja,' To Woh Hat Gayi. Us Ne Kaha Allah Ki Qasam! Aap ﷺ To Mujh Se Bach Gaye Lekin Aap ﷺ Ke Baad Aane Wale Nah Bach Sakenge. Phir Aap رضی اللہ عنہ Ne Farmaya: Mujhe Khauf Hua Ke Dunya Mujh Se Chimat Gayi Hai. Bas Is Baat Ne Mujhe Rula Diya." (Musnad Bazaar, 196/1, Hadith: 44)