Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Kaisa

Question:

    Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu Kya Angrezi Saal Par Mubarakbad Dena Jaiz Hai? Hamare Baaz Ulama Ise Shiddat Se Mana Karte Hain Aur Baaz Najayaz Aur Haram Mante Hain, Mufti Sahib Shariat Ke Sahi Hukm Se Hamein Agah Farmaein. (Urdu)

Answer:

    Wa Alaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu Yaqeenan Hum Musalmanon Ka Naya Saal Mah-e-muharram Se Shuru Hota Hai Aur Hamein Bohat Si Ibadat Mein Bhi Qamari Saal Ke Mahinon Se Chalna Hai Jaise Ada-e-zakat, Hajj, Roza, Qurbani Waghera, Magar Duniyawi Muamalat Mein Isawi Saal (Shamsi) Bhi Duniya Bhar Ki Qaumon Aur Mazahib Aur Hakomat Mein Raaij Hai, Hum Khud Deeni Jalsay Ka Iniqad Muqaddas Maqamat Ka Safar Deeni Mulazimeen Ki Tankhah Hatta Ki  Shadi-biyah Mein Bhi English Mah Aur Saal Ka Hisab Rakhte Hain, Aisa Hargiz Nahi Hai Ke Yeh Sirf Isaiyon Ka Saal Hai Aur Musalmanon Ka Nahi, Haan Iski Amad Par Jo Tareeqa Ahl-e-maghrib Ne Ise Manane Ka Nikala Hai Woh Kat'an Ghair-islami Hai Is Se Har Musalman Ko Bachna Zaroori Hai -


    In Khurafaat Se Bachte Hue Agar Log Is Isawi Saal Ki Amad Par Ek Doosre Ko Mubarakbad Dein Dua Dein Aur Nasara Ke Tashabboh Se Bachen To Is Mein Harj Nahi, Ise Najayaz Aur Haram Kehna Kat'an Ghalat Hai.


    Naye Shamsi Ya Qamari Saal Ke Aghaz Par Ek Doosre Ko Mubarakbad Dete Hue Khair O Barkat Ki Dua Dene Aur Nek Tamannao Ka Izhar Karne Mein Shar'an Koi Harj Nahi,


    As'hab-e-rasool صلى الله عليه وآله وسلم Ka Mamool Tha Ke Naye Saal Ya Mahine Ki Amad Par Woh Ek Doosre Ko Darja Zail Dua Sikhate The:


"اللّٰهُمَّ أدْخِلْهُ عَلَیْنَا بِالأمْنِ وَ الإیْمَانِ، وَالسَّلَامَةِ وَالإسْلَامِ، وَرِضْوَانٍ مِّنَ الرَّحْمٰنِ وَجِوَازٍ مِّنَ الشَّیْطَانِ."


    Aye Allah! Is (Naye Mahine Ya Naye Saal) Ko Hamare Upar Aman O Iman, Salamat O Islam Aur Apni Raza Mandi, Aur Shaitan Se Panah Ke Sath Daakhil Farma.

📚al-tabarani, Al-mu'jam Al-awsat, 6:221, Hadith: 641


    Naye Saal Ki Mubarakbad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota Hai Ke Allah Ne Hamein Zindagi Ka Ek Aur Saal Bhi Dikhaya Hai, Jismein Hamein Tauba O Istighfar Aur Nek Amal Kamane Ka Mazeed Mauka Mila Hai, Yeh Mubarakbad Khushi Aur Allah Ta'ala Ke Shukr Ka Izhar Hai.


    Is Se Wazeh Hota Hai Ke Yeh Ek Mubah Amal Samjhte Hue Naye Qamari Ya Shamsi Saal Ke Aghaz Par Mubarakbad Dena, Dua Dena, Nek Tamannao Aur Jazbat Ka Izhar Karne Me Shar'an Koi Qabahat Nahi Hai.


Sa'il Imam-e-azam

Muhammad Kaleem Hanfi Rizvi Ghafarullah Ta'ala Qawi, Qasr Abu Hanifa Karla (Maghrib) Mumbai-70 Maharashtra India.

Post a Comment

Previous Post Next Post