Huzoor Hafiz-e-Millat Ka Ta'aruf

Hazrat Hafiz-e-Millat Rahmatullah Alaih, Kaun Hain?

    Hazoor Hafiz-e-Millat Rahmatullah Alaih Ka Ism-e-grami Abdul Aziz Bin Hafiz Ghulam Noor Bin Mulla Abdul Rahim. Aap Ka Yeh Naam Aap Ke Dada Mulla Abdul Rahim Sahib Ne Sheikh Abdul Aziz Muhaddis Dehlavi Ki Nisbat Se Rakha Aur Farmaya Ke Mera Yeh Beta Bada Alim-e-deen Banega. Waqt-e-wiladat Paas Pados Ki Badi Buzurgon Ne Pira Kaha, Duniya-e-islamiyan Hind Mein Ustaaz-ul-ulama Jalalat-ul-ilm Aur Hafiz-e-Millat  Ke Laqab Se Yaad Kiye Jate Hain.


Taaleem Aur Tarbiyat.

    Aap Ke Aaba O Ajdad Ka Talluq Ansari Biradri Se Hai, Ma'ashi Haalat Agar Che Hamesha Kamzor Rahi Lekin Sharafat Najabat Mein Qasbah Bhojpur Mein Yeh Gharana Mashhoor Tha. Ghar Ka Mahaul Islami Qawaneen O Zawabit Par Kaarband Tha. Walid Aur Jadd A'la Intihai Mazhabi Aur Deeni Mizaj Rakhte Thay. Yehi Wajah Hai Ke Aap Ki Ibtidaai Taleem Nazra Quran Se Shuru Hui. Chananche Aap Ne Nazra, Wa Hifz Quran Ki Takmeel Walid Se Farmayi, Primary Darjaat Ki Taleem Bhojpur Mein Hui. Farsi Ki Ibtidaai Taleem Molvi Abdul Majeed Muradabadi Se Aur Peepal Sana Mein Hafiz Noor Bakhsh Aur Hakeem Molvi Mubarak Ullah Se Gulsitan Tak Taleem Hasil Ki. Uske Baad Taleemi Silsila Munqata Kar Ke Qasbah Bhojpur Ki Badi Masjid Ke Khatib Aur Madrasa Hifz Al-quran Ke Mudarris Muqarrar Ho Gaye. Shab O Roz Yunhi Guzarte Rahe. Mah-e-ramzan Ul-mubarak Mein Har Saal Shabeena Khwani Ke Liye Shahre Muradabad Logon Ki Dawat Par Tashreef Le Jaate. Aap Ki Sehat-e-qirat Aur Zood Khwani Ka Charcha Jald Hi Poore Shehar Mein Hua. Aalam Yeh Tha Ke Pura Quran Sharif Tanha Mehrab Sharif Mein Suna Kar Uthate Aur Zara Bhi Thakan Mehsoos Nahi Karte. Paanch Saal Tak Yehi Silsila Raha. Taleemi Silsila Munqata, Gharailu Zimmedariyan Aur Kaamon Ka Bojh Phir Umr Ka Kaafi Hissa Bhi Guzar Chuka Tha. Taleem O Tallum Ka Kise Khyaal Hota? Magar Jadde Kareem Ki Peshangoi Beherhaal Poori Honi Thi. Shahre Muradabad Ke Tabeeb Haziq Janab Molvi Hakeem Muhammad Sharif Sahib Hyderabadi, Hazrat Molana Abdul Haq Khairabadi Gahe bagahe  Basila Ilaj Wa Muallaja Bhojpur Tashreef Laate Thay Aur Namaz Ka Waqt Hota To Hafiz-e-Millat Ki Iqtida Mein Namaz Ada Kiya Karte Thay. Ek Din Farmane Lage. Hafiz Sahib Aap Quran Bahut Umda Parhte Hain Aur Badi Muhabbat Se Farmaya Aap Tib Bhi Parh Lijiye. Main Aap Ko Hikmat Padhaunga. Hafiz-e-Millat  Ne Farmaya Main Gareeb Aadmi Masjid Ki Imamat Aur Madrasa Ki Taleem Mera Zariya Maash, Rozana Aamdo Raft Mere Liye Mumkin Nahi. Hakeem Sahib Ne Farmaya Aap Bazariya Train Muradabad Aajayen Aur Sabaq Parh Kar Train Hi Se Bhojpur Chale Jayen. Kiraya Mein Jo Sarf Hoga Woh Main Khud Bardasht Karoon Ga. Aap Ne Walid Sahib Se Arz Kiya. Unhone Ijazat De Di Aur Farmaya Roz Ka Ana Jana Munasib Nahi. Muradabadi Rah Kar Hi Parho Algarz Mulazimat Tark Farma Kar Aap Hakeem Sahab Ke Pass Tashreef Le Gaye Unhone Gulistan Ka Imtihan Le Kar Farmaya Aap Ka Dimagh Arabi Ke Laiq Hai Aur Mizaan O Munashib Waghera Shuru Kiya. Woh Sab Bhi Do Mahine Ke Andar Andar Khatam Hogayin. Naa Jaane Hakeem Sahib Ko Kya Samajh Mein Aaya Ke Us Ke Baad Khud Parhana Chhod Diya Aur Kaha Ke Ab Mujhe Mutaal'a Karna Pade Ga Aur Mere Paas Waqt Nahi Hai. Is Liye Ab Aap Madrasa Jayen, Chananche Hafiz-e-Millat Ne Jamia Naeemia Muradabad Mein Dakhla Le Liya. Teen Saal Tak Taleem Hasil Karte Rahe Magar Sharh Jamee Se Aage Nahi Barh Sake. Ilm Ki Pyaas Jo Shiddat Ikhtiyaar Kar Chuki Thi. Woh Bhi Kulli Tor Par Nahi Bujhi. Taleem Hasb Mannha Na Hone Ki Wajah Se Kisi Achhe Madrase Aur Kisi Mushfiq Mudarris Ki Talash Shuru Kar Di. Husne Ittefaq Se All India Sunni Conference Ka Inehsaan Muradabad Mein Hona Tay Paya. Is Mein Mashahir Ulama Ka Ijtema Hua. Ghor O Fikr Ke Baad Rujhan Qalb Hazrat Sadr Us-sharia Molana Amjad Ali Sahib Azmi Ki Taraf Hua. Darkhwast Pesh Ki To Farmaya Shawwal Se Ajmer Sharif Aao. Madrasa Moiniya Mein Dakhla Le Kar Taleemi Silsila Shuru Karwa Dungaa. Hasb-e-hidayat Hazrat Hafiz-e-Millat, Hazrat Mu'addise A'zam Molana Sardar Ahmed Sahib, Aur Molana Ghulam Jilani Sahib Merathi Waghera Ajmer Sharif 1342 Hijri Mein Pahunch Gaye. Agar Che Aap Sab Hazrat Bhi Is Waqt Ma'yari Talibe Ilm Nahi The Magar Hasbe Wa'da Sadr Al-sharia Ne Dakhla Farmaya. Darsi Kitaben Dusre Mudarris Par Taqseem Hogayin. Hazrat Sadr Al-sharia Ne Azrah-e-shafaqat Khariji Awqat Mein Tahzeeb O Usool-osh-si Ka Dars Dena Shuru Kiya. Mulla hassan Tak Taleem Hasil Karne Ke Baad Hafiz-e-Millat Ne Maashi Tangi Aur Khangi Masroofiyat Ka Tazkira Karke Taleemi Silsila Khatam Kar Diya Aur Doarah Lene Ki Khwahish Ka Izhaar Kiya. Hazrat Sadr Us-sharia Ne Bigad Kar Farmaya Agar Zameen Phat Jaaye Aur Aasman Tut Jaaye Yeh To Mumkin Hai Magar Aap Ki Ek Kitaab Chhote Yeh Mumkin Nahi. Chananche Hafiz-e-Millat Ne Apna Irada Multawi Kar Diya Aur Poora Dil Jama'i Ke Sath Hazrat Ki Khidmat Mein Rahe. 1350 Hijri Mein Darsi Silsila Dora-e-hadis Ke Baad Khatam Hua. Ajmer Sharif Mein Madrasa Moiniya Se Sanad Faraagat Hasil Ki.


Bait O Iradat.

    Aap Ko Sharaf Bait-e-Aala Maulana Syed Ali Hussain Sahib Ashrafi Miyan Kichhochhwi Se Hasil Hai. Unhon Ne Mureed Karke Khilafat Se Nawaza. Hazrat Ke Ustaz-e-mutarram Hazrat Sadr Us-sharia Maulana Amjad Ali Sahib Se Bhi Aap Ko Khilafat O Ijaazat Hasil Hai. Hazoor Hafiz-e-Millat Se Silsila Amjadiyya Ki Tawsi'at O Isha'at Silsila Ashrafiyya Ki Bahnisbat Zyada Hui Hai.


Mashghla.

    Faraghat Ke Baad Ek Saal Tak Bareli Mein Hazrat Ki Khidmat Mein Rahe. Shaban 1352 Hijri Mein Hazrat Maulana Sadr ul-afazil Maulana Muhammad Naeem Al-din Muradabadi Ne Jame Masjid Agra Mein Maulana Nisar Ahmad Sahib Kanpuri Ke Wisaal Ke Baad Mutayyin Karna Chaaha To Aap Ne Inkar Farmaya Aur Arz Kiya Ke Mein Mulazmat Nahi Karunga. Hafiz-e-Millat Ka Khayaal Tha Ke Tijarat Karenge Aur Hatta Al-was'a Deeni Khidmaten Fi Sabilillah Anjaam Denge. Lekin Isi Saal Mah Shawaal Ke Aakhir Mein Hazrat Sadr us-sharia Ne Aap Ko Bareli Sharif, Bulwaliya Aur Mubarakpur Madrasa Ashrafiya Mein Dars-o-tadrees Ke Silsile Mein Irshad Farmaya. Mein Hamesha Bahar Raha Is Ke Baa'is Mera Zila Kharab Ho Gaya. Badmazbaiyat Aur Gumrahi Ne Poore Zile Par Qabza Jama Kar Rakha Hai. Is Liye Deen Ke Liye Mein Aap Ko Mubarakpur Bhej Raha Hoon, Jaaiye Aur Kaam Kijiye. Aap Ne Arz Kiya, Hazrat, Mein Mulazmat Nahi Karunga. Is Par Sadr us-sharia Ne Farmaya, Mein Ne Mulazmat Ke Liye Nahi Kaha Balki Khidmat Ke Liye Kaha Hai. Is Par Aap Khamosh Rahe. Phir Farmaya, Yeh Mat Dekhna Ke Kya Mil Raha Hai.


Jamia Ashrafia Ka Qiyam.

    Aap Ne Sadr Al-sharia Allama Amjad Ali (Sahib-e-bahar-e-shariat) Ke Hukm Par Takmeel Darsiyat Ke Baad Azamgarh Zila Ke Qasbah Mubarakpur Tashreef Laye. Is Waqt Yahan Ek Madrasa "Misbah Al-ulum" Ke Naam Se Qaim Tha. Hafiz-e-Millat Ki Intehai Mehnat Ke Baa'is Yeh Madrasa Ek Azeem Al-shan Phal Daar Darakht Ki Hesiyat Se Jamia Ashrafia Ke Naam Se Muta'arif Hua. Chunanche, Jamia Ashrafia Ke Fazilin Aaj Bhi Is Jamia Ke Purane Naam Ki Taraf Nisbat Karte Hue Duniya Bhar Mein Misbahi Ma'roof Hain.

Post a Comment

Previous Post Next Post