Jumma Ka Khutba Sunne Ka Tareeqa

.............................................

السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ۔

Aap Ki Bargah Mein Ek Sawaal Hai Jumma Mein Jab Khutba Padhte Hain Imam Sahib To Isko Sama'at Karne Ka Kya Tareeqa Hai? Kuch Log Kehte Hain Ke Jab Imam Sahib Awwal Khutba Shuru Kare To Apne Hath Ko Bandh Le Aur Jab Awwal Khutba Mukammal Ho Jaye To Apne Hath Ko Chhod De Aur Kuch Masjid Mein Yeh Bar Bar Dekha Ja Raha Hai Ke Imam Sahib Jaise Hi Khutbe Ke Liye Khade Hote Hain To Kai Log Chande Ki Peti Leke Ghoomna Shuru Kar Dete Hain. Iski Kya Wazahat Hai? Aap Quran O Hadees Ki Roshni Mein Mudallal Aur Mufassal Jawab Dein Kar Shukriya Ka Mauqa Dein.


نحمده ونصلي علي رسوله الكريم 

وعلیکم السلام ورحمة الله وبركاته

Jawab

1. Dono Khutbah Sunne Ke Waqt Do Zanu Imam Ki Taraf Mutawajjah Ho Kar Sunna Sunnat Mustahabbah Hai. Maqsad Adab Aur Tawajjuh Ke Sath Baith Kar Khutbah Sunna Hai, Is Liye Qibla Rukh Aur Imam Ki Taraf Mutawajjah Ho Kar Adab O Tahzeeb Ke Daire Mein Rehte Hue Sunain Agar Koi Do Zanu Nahin Baithe Phir Bhi Koi Harj Nahin Jo Bhi Asani Ho Baithe Par Tawajjuh Se Sunain.

   کما فی الفتاوى الهندية 

ويستحب للرجل أن يستقبل الخطيب بوجهه هذا إذا كان أمام الإمام، فإن كان عن يمين الإمام أو عن يساره قريباً من الإمام ينحرف إلى الإمام مستعداً للسماع، كذا في الخلاصہ( الفتاوى الهندية (1/ 147)

وفیھا ایضا (1/ 148)

إذا شهد الرجل عند الخطبة إن شاء جلس محتبياً أو متربعاً أو كما تيسر؛ لأنه ليس بصلاة عملاً وحقيقة، كذا في المضمرات، ويستحب أن يقعد فيها كما يقعد في الصلاة، كذا في معراج الدرايةً


Bahar e Shariyat Mein Hai:

    Khutbah Sunne Ki Halat Mein Do Zanu Baithay Jaise Namaz Mein Baithte Hain. Hazireen Ka Mutawajjuh Ba Imam Hona. (Bihar Al-shari'ah 4:773 Maktaba Al-madina)


2. Mazkoorah Chande Ke Tariqe Ko Band Karein. Imam Ke Member Par Jane Se Pehle Ya Jumu'ah Do Rak'at Padhane Ke Baad Dua Se Pehle Masjid Ke Chanda Ki Peti Ghumayen. Khutbah Ke Waqt Zikr, Tilawat Wagaira Sab Kuch Chhod Kar Khutbah Ko Gaur Se Sunna Wajib Hai. Khutbah Ke Waqt Aisa Amal Karna Jo Khutbah Ke Sunne Mein Mukhalif Ho Makrooh O Mamnoo Hai; Is Liye Waqte Khutbah Chanda Karne Se Bachna  Zaroori Hai. Yaad Rahe Azane Khutbah Jumu'ah Ke Khutbah Mein Shamil Hai.

   والله ورسوله أعلم بالصواب

Post a Comment

Previous Post Next Post