Sabaq Number 1: Huroof-e-Mufradat Click
- Huroof-e-mufradat Ya’ni Huroof-e-tahajji 29 Hayn.
- Huroof-e-mufradat Ko Tajweed-o-qira`at Kay Mutabiq ‘arabi Lehjay May Ada Karayn Urdu Talaffuz Say Parhez Kare, Yani Be Te Se Nahi Balki Ba Ta Sa Padhe
- In 29 Huroof Mayn 7 Huroof Aysay Hayn Jo Har Halat Mayn Pur; Ya’ni Mottay Parhay Jatay Hayn Unhayn ‘huroof-e-musta’liyah’ Kahtay Hayn Aur Wo Ye Hain ق , غ ,ظ ,ط ,ض ,ص ,خ’ Or In Ka Majmooa Hai
- Honton Say Sirf 4 Huroof Ada Hotay Hayn: ب, ف, م, و. In Kay ‘ilawah Baqi Huroof Per Hont Na Hilnay Dayn
- In 3 Huroof ز, س, ص Ko Ada Kartay Waqt Seeti Ki Tarah Tez Aawaaz Nikalti Hay Is Liye In Huroof Ko Huroof-e-safeeriyah Ya’ni Seeti Walay Huroof Kahtay Hayn.
Sabaq Number 2: Huroof-e-Murakkabat Click
- Do ‘2’ Ya Is Say Zaid Huroof Mil Ker Ayk Murakkab Banta Hay.
- Murakkab Huroof Ko Mufrad Huroof Ki Tarah Alag Alag Parhayn. Is Sabaq Mayn Bhi Talaffuz Ki Adaeigi Ka Khas Khayal Rakhtay Huway Ma’roof Ya’ni ‘arabi Lehjay Mayn Parhayn.
- Jab 2 Ya Is Say Zaid Huroof Mila Ker Likhay Jatay Hayn To In Ki Shakal Kuch Badal Jati Hay Aksar Huroof Ka Sar Likha Jata Hay Aur Dharr Chhor Diya Jata Hay.
- Jo Huroof Murakkab Honay Ki Halat Mayn Ayk Jaysay Likhay Jatay Hayn In Ki Nuqton Kay Radd-obadal Say Pehchan Karayn.
Sabaq Number 3: Harakaat Click
- Harakat Ki Jama’ ‘harakaat’ Hay. Zabar Zer Pesh Ko Harakaat Kahtay Hayn. Zabar Aur Paysh Haraf Kay Opper Jab Keh Zayr Haraf Kay Neechay Hota Hay.
- Jis Haraf Per Koi Harakat Ho Usay Mutahrrik Kahtay Hayn.
- Zabar Munh Aur Aawaz Ko Khol Ker, Zayr Aawaz Ko Neechay Gira Ker Aur Paysh Honton Ko Gol Ker Kay Ada Karayn.
- Harakaat Ko Baghayr Kheenchay Baghayr Jhatka Diye Ma’roof Parhayn
- Alif ‘per Koi Harakat Ya Jazm Aa Jaey To Isay Hamzah Parhayn.
- ‘را ‘per Zabar Ya Paysh Ho To ‘را ‘ko Pur Aur ‘را ‘kay Neechay Zayr Ho To ‘را ‘ko Bareek Parhayn.
Sabaq Number 4 Click
- Is Sabaq Ko Rawan Parhayn. C Harakaat Ki Durust Adaegi Ka Khas Khayal Rakhayn
- Huroof-e-qareeb-us-sawt Ya’ni Milti Julti Aawaaz Walay Huroof Mayn Wazih Faraq Karayn.
- Huroof-e-qareeb-us-sawt 16 Hain
Sabaq Number 5: Tanween Click
- Do Zabar , Do Zayr Aur Do Paysh Ko ‘tanween’ Kahtay Hayn. Jis Haraf Per Tanween Ho Usay Munawwan Kahtay Hayn.
- Tanween ‘noon Saakin’ Hota Hay Jo Kalimay Kay Aakhir Mayn Aata Hay Is Liye Tanween Ki Aawaaz ‘noon Saakin’ Ki Tarah Hoti Hai
- Tanween Kay Hijjay Is Tarah Karayn: Meem 2 Zabar Man Meem 2 Zer Min Meem 2 Pesh Mun ( Man, Min, Mun)
- Zabar Ki Tanween Kay Ba’ad Kahin ‘ا ‘aur Kahin ‘ی ‘likha Jata Hay Hijjay Kartay Waqt Is Ka Naam Na Layn
Sabaq Number 6 Click
- Is Sabaq Ko Hijjay Aur Rawan Donon Tareeqon Say Parhayn.
- Harakaat, Tanween Aur Tamam Huroof Bil-khusoos Huroof-e-musta’liyah Ki Durust Adaegi Ka Khas Khayal Rakhayn.
Sabaq Number 7 Huroof-e-maddah Click
- Is ‘alamat Ko Jazm Kahtay Hayn. Jis Haraf Per Jazm Ho Usay Sakin Kahtay Hayn.
- Sakin Haraf Apnay Say Pehlay Mutaharrik Haraf Say Mil Ker Parha Jata Hay
- Huroof-e-maddah 3 Hain Alif Wao Or Yaa
- Alif Se Pahle Zabar Ho To Alif Maddah Hoga Wao Sakin Se Pahle Pesh To Wao Maddah Or Ya Sakin Se Pahle Zer To Ya Maddah Hoga
- Huroof-e-maddah Ko Ayk Alif Ya’ni Do Harakaat Kay Barabar Kheench Ker Parhayn
- Hijje Is Tarah Kar Baa Alif Zabar Baa, Baa Wao Pesh Buu, Ba Yaa Zer Bee, (Baa Bu Bee)
Sabaq Number 8 Khari Harakaat Click
- Kharay Zabar , Kharay Zayr Ultay Paysh Ko Khari Harakaat Kahtay Hayn
- Khari Harakaat Huroof-e-maddah Kay Qa`im Maqaam Hay Is Liye Khari Harakaat Ko Bhi Huroof-e-maddah Ki Tarah Ayk Alif Ya’ni Do Harakaat Kay Barabar Kheench Ker Parhayn.
- Is Sabaq Mayn Bhi Qareeb-us-sawt Ya’ni Milti Julti Aawaaz Walay Huroof Mayn Wazih Faraq Karayn.
Sabaq Number 9 Huroof-e-Leen Click
- Huroof-e-leen Do (2) Hayn Wao Aur Yaa
- Wao Saakinah Say Pehlay Zabar Ho To Wao Leen’ Hoga. Or Yaa Saakinah Say Pehlay Zabar Ho To Yaa Leen’ Hoga
- Huroof-e-leen Ko Baghayr Kheenchay Baghayr Jhatka Diye Narmi Say Ma’roof Parhayn
Sabaq Number 10 Click
- Is Sabaq Mayn Pichhlay Tamam Asbaaq Ya’ni Harakaat, Tanween, Huroof-e-maddah, Khari Harakaat Aur Huroof-e-leen Shamil Hayn.
- In Tamam Qawa’id Ki Adaegi Aur Pehchan Ki Pukhtagi Kay Sath Sath Sehat-e-lafzi Ka Khas Khayal Rakhayn Bil-khusoos Huroof-e-musta’liyah.