Tajushshariya Allama Akhtar Raza Khan Qadri

Wiladat Ba Sa`adat

    Sultan Ul Fuqha, Akmal Ul Fuzla, Fakhr Ul Mohddeesin, Siraj Ul Mufassirin, Faqih E Azam, Fatehe Arab Wa Ajam, Shaikh Ul Islam, Qazi Ul Quza Fil Hind, Tajushshariya, Shaikh E Tariqa Waris E Uloom E Ala Hazrat, Mazhar E Hujjat Ul Islam, Syedna Wa Sandiana, Hazrat Allama Mufti Shah Muhammad Akhtar Raza Qadri Azhari Maddzilla Hull Aali Janshine mufti E Azam E Hind Bareli Sharif Aapki Wiladat Kashana E Raza Mohalla Sodagran Bareli Sharif Me 14 Zil Qa'ad Hijri 1361 23 Nov 1942 Baroz E Mangal Hui. Passport Ke Mutabiq Wiladat Ki Shamshi Tarikh 1 Feb 1943 Hai. Is Lihaj Se Tarikh Qamri 25 Muhram Ul Haram Hijri 1362 Baroz Peer Hai Baaz Sahibaan Ne Aapki Tarikh E Wiladat 24 Zil Q'ada Hijri 1362 23 Nov 1943 Aur 26 Muharram Ul Haramh 1362 2 Feb 1943 Aur 25 Safar Hijri 1361 Likha Hai. Sahi Tarikhe Wiladat 14 Zil Qa'ada Hijri 1361 23 Nov 1942 Hi Hai.

Naam Or Nasab

    Aap Hazrat Mufassire Azame Hind Hazrat Allama Muhammad Ibrahim Raza Khan Ke Sahazade Hain, Dasture Khandan Ke Mutabiq Aapka Paidaishi Naam "Muhammad" Rakha Gaya. Chunke Walid Majid Ka Naam Ibrahim Raza Hai Is Nisbat Se Aapka Naam Ismail Raza Tajweez Huwa, Urfi Naam Akhtar Raza Hai Aur Isi Naam Se Mash'huar Hain. Akhtar Takhallus Hai Qadri Mashrban Aur Azhari Ilman Naam Ke Aage Tahrir Karte Hain, Aap Afgani Un Nasl Hai. Shajra Pidari Wa Madri Se Najib Ut Tarfain Badhechi Afgaani Pathhan Hai, Shajra Pidari Tajushshariya Mufti Muhammad Akhtar Raza Bin Mufssire Azam Muhammad Ibrahim Raza Khan Ibn Hujjat Ul Islam Muhammad Hamid Raza Ibn Imam Ahmed Raza Ibn Mufti Naqi Ali Khan Alaihir Rahma Shajhra Madri Tajushshariya Mufti Muhammad Akhtar Raza Ibn Nigaar Fatimah Urf Sarkar Begam Bint Mufti E Azam Hind Mufti Muhamamd Mustafa Raza Khan Ibn Ala Hazrat Maulna Imaam Ahmad Raza Alaihir Rahma

Talim O Tarbiyat

    Walid Majid Ne Ruhani Wa Jismani,zahiri Wa Batani Har Tarah Ki Tarbiyt Farmayi Aur Shandar Tarbiyat Ka Intizaam Farmaya, Bade Naz Wa Na'am Se Pala Aur Tamaam Zarurato Ko Pura Farmaya, Jab Aap 4 Sal ,4 Mah 4 Din Ke Hue To Walid Majid Ne Bismillah Khawani Ka Ehtmaam Kia. Darul Uloom Manzare Islam Ke Talba Wa Mudarrisin Ki Dawat Farmayi, Azizo Aqarib Wa Muazzizine Shehar Ko Bhi Madu Farmaya.mufsir E Azam E Hind Ne Apne Khusre Muhtram Wa Chacha Jan Mufti E Azam Hind Ki Bargah Me Ariza Paish Kia, Ke "akhtar Miya" Ki Tasmiyah Khawani Ki Taqrib Hai Huzur Shirkat Farmaye Aur Tasmiyah Khawani Bhi Karwaye Chunache Huzur Mufti E Azam Hind Ne Tasmiyah Khawani Karwayi. Aapne Walid Majid Se Nazra Kia Aur Ibtedai Kutub Khud Walid Ne Padhai. Iske Bad Darul Uloom Manzare Islam Me Dakhila Kara Dia. Mehnat Wa Lagan Ke Sath Murwajjah Dars E Nizami Ki Takmil Yahi Ki, Aapko Shuru Hi Se Mutalah Ka Behad Shoq Raha Ibtedai Kutub Pehli Farsi Dusri Farsi Gulzaar Dabista Aur Busta, Janaab Hafiz Inamullah Khan Tasnim Hamidi Se Padhi, 1952 H Me Fazal Ul Rehman Islamiyah Inter College Bareli Sharif Me Dakhil Kiye Gaye, Jaha Riyazi hindi sanskirt Angrezi Wagera Me Talim Hasil Ki. 8th Class Pass Karne Ke Bad Darul Uloom Manzare Islam Me Dakhil Hue 
    
    
    Dauran E Talim Hi Aapke Andar Angrezi,arbi Bolne Ki Salahiyat Paida Ho Gayi Thi, Fazilat Ul Shaikh Maulana Muhammad Abdul Tawaab Misri Jo Ke Manzare Islam Ke Ustad The, Arbi Adab Ki Talim Dia Karte The, Huzur Taajhushariah Unhe Hindi, Urdu Aur English Ke Akhbarat Ko Arbi Me Tarjumah Karke Sunaya Kartethae Aur Aap Un Se Bila Takalluf Guftagu Kar Liya Karte The. "jo Ilmi Wa Adabi Faida Hazrat (mufti E Azam ) Ke Pass Rah Kar Huwa Wo Misr Me Nahi Huwa. Wo 3 Sal Bhi Kash Hazrat Ki Khidmat Me Hi Guzare Hote" Phir Farmate Hai : "mufti E Azam E Hind Ka Ilm Beda Mazbut Tha" H1386/1966 Me Kulliya Usool Uddeen Qism Altafseer Wal Hadees Ki Takmil Farmayi Is Shu'abah Me Aapne Awwal Position Hasil Ki. Salana Imtehaan Me Malumat Aama Ka Imtehaan Taqriri Huwa Tha Jis Me Mutmaeen Ne Ilm E Kalam Se Mutalliq Sawal Kia Us Me Aapke Hum Sabaq Talba Jawab Na De Sake, Mumthin Ne Sawal Dohra Kar Aapki Taraf Dekha Aur Jawab Talab Kia Phir Aapne Uska Shandar Jawab Dia Mumthin Sahab Ne Pucha Aap Shoba Tafseer Wa Hadees Ke Muta'llm Hai Phir Bhi Ilm E Kalaam Me Yeh Gehrai Hai ? Tab Huzur Tajusshariah Ne Jawab Dia Maine "darul Uloom Manzare Islam" Me Ilm E Kalaam Padha Hai, Aapke Ilmi Jawab Se Wo Bahut Mutassir Hue Aur Aapko Hum Sabaq Talba Me Sab Se Zayda Number Diye. Result Ke Bad Apko Awwal Number Par Aane Ki Wajh Se Misr Ke President Janaab Karnal Jamaal Abdul Nasir Sahab Ne Bataur Tamga Award Dia Aur B.a. Ki Sanad Ata Ki.

Azhar Misr Se India Wapsi

    Tajushshariya Ne Jab Jamiah Azhar Qahira Me Aala Darja Me Kamyaabi Hasil Ki Aur Jab Iski Khabar Ghar Walo Ko Mili To Rehan E Millat Maulana Rehan Raza Khan Ne "kawaif Astana Razwiyah"ke Tahat Likha Hai : "Nabira E Aala Hazrat Wa Hujjat Ul Islam Hazrat Or  Mufassir E Aazam Ke Farzand Dil Band Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Sahab Damat  Barkatum Ulqudisya Ne Arbi Me B.a Ki Sanad Faragat Nihayat Numaya Aur Mumtaaz Haisiyat Se Hasil Ki, Huzur Tajushshariya Na Sirf Jamia Azhar Me Balke Pure Misr Me Awwal Number Se Pass Hue. Huzur Taajhushariah Ki Jamia Azhar Se 1966 Me Faragat Ho Gayi To Waha Se Award Aur Sanad E Faragat Jis Ka Serial Number 1207 Hai, Lekar India Wapas Hue. Jab Aapke Hindustaan Amad Ki Khabar Ghar Walo Aur Ahbaab Ko Mili To Khusiyo Ka Samandar Umad Aya. Bareli Ke Junction Station Par Awam Or Ahle Khana Or Ulma E Kiram Wa Talba E Darul Uloom Manzare Islam Ke Alawa Beshumar Muatqadin Hazrat Ne Hazrat Mufti E Azam Ki Sar Parsati Me Shandar Istaqbaal Kia. Istqbalia Jamat Me Muazzizeen Shehar Ke Ilawa Bairunajat Bil Khusus Kanpur Wagera Ke Afraad Kashrat Se The, Unhi Me Huzur Mufti E Azam Hind Ke Khadim Khaas Alhaaj Muhammad Nasir Razvi Sahab Bhi The, Wo Kahte Hai Ke :"aap (taajhushariah) Se Milne Ke Liye Hazrat Bazate Khud Banafs Nafis Tashrif Le Gay. Aur Train Ka Betabana Intzaar Farmate Rahe, Jaise Hi Train Platform Par Aakar Ruki, Aap Utare To Sab Se Pehle Hazrat Ne Gale Lagaya, Peshani Chumi Aur Boht Duaye Di, Aur Farmaya Ke Kuch Log Gaye The, Badal Ke Aaye Magar Mere Bache Par Jamia Ki Tahzib (azad Khayali, Wajeh Qatah Me Tabdili , Libaas Salah Se Duri) Ka Kuch Asar Nahi Huwa, Ma Sha Allah!

Post a Comment

Previous Post Next Post