Tajushshariya Ki Uloom Or Funoon Me Maharat
Huzur Tajushshariya Mandarja Zail Uloom Wa Funoon Me Maharat Rakhte The :
- Ilme Quraan
- Usool Tafseer
- Ilme Hadees
- Usoole Hadees
- Asma Rijaal
- Fiqah Hanfi
- Fiqah Mazahibe Arba
- Usoole Fiqah
- Ilme Kalaam
- Ilm Sarf
- Ilm Nahw
- Ilm Ma'ani
- Ilme Badih
- Ilme Bayan
- Ilme Mantiq
- Ilm Falsafa Qadim Wa Jadid
- Ilme Munazara
- Ilme Hisaab
- Ilme Hindsa
- Ilme Haiyat
- Ilme Tarikh
- Ilme Mab'aat
- Ilm Urooj Wa Qawafi
- Ilme Taksir
- Ilme Jafar
- Ilme Faraiz
- Ilme Tauqit
- Ilme Taqdim
- Ilme Tajwid Wa Qiraat
- Ilme Adab (Nazm Wa Nasr Arbi, Nazm Wa Nasar Farsi, Nazm Wa Nasr Angrezi, Nasr Hindi, Nazm Wa Nasr Urdu)
- Ilme Zijaat
- Ilme Khattati
- Ilme Jabar Wa Muqabla
- Ilme Taswwuf
- Ilme Suluk
- Ilme Ikhlaaq.
Hazrat Qiraat Ashra Ke Mahir The. Tilawat Misri Lahje Me La Jawab Karte The. Aur Kai Zubano Par Maharat Rakhte The. Arbi Farsi Angrezi, Urdu Me To Aap Ke Adabi Sha Pare Hain. Iske Ilawa Hindi, Sanskrit, Memoni, Gujrati, Marathi, Punjabi, Bangali, Telgu, Kannada, Malyalam, Bhojpuri Bolte Aur Samjte The. Hazrat Islam Ki Tarwij Wa Isha'aat Aur Radde Biddat Wa Munkiraat Me Uncha Maqaam Rakhte The. Jis Mauzu Aur Masla Par Qalam Uthhate The Betakalluf Likhte Chale Jate The Jis Masla Ki Tahqeeq Karte The Dalail Ke Ambaar Laga Dete The
Tajushshariya Ko Angrezi Zuban Par Bhi Mukmal Uboor Hasil Tha. Aapne Islamiya Inter College Bareli Me Mamuli Hindi Aur Angrezi Padhi Thi. Magar Khudadad Zehanat Ki Wajah Se Aap Ne Angrezi Me Bhi Kamal Hasil Kia. South Africa, Malavi, Zimbabey, Harare, Mauritius, German, France, Holand, England, America, Canada Wagera Mumalik Ki Bain Ul Aqwami Conference Me Angrezi Me Khitaab Karte The. Angrezi Me Aap Ne Saikdo Fawata Tahrir Farmaye Hai. Hazrat Ne Angrezi Me Sab Se Pehle Fatawa 7 Muhrram Ul Haram H1412 20/July Me Alhaaj Harun Tar Razvi (Lady Smith South Africa) Ke Swal Ke Jawab Me Tahrir Farmaya Jo Darul Islam Aur Darul Harab Me Muslim Wa Zammi Kafir Se Mutalliq Hai.
Angrezi Fatawe Ke Do Majmue Durban (South) Se Shaya Ho Chuke Hai. Nayb Income Tax Commissioner Janab Zahoor Afsar Khan Razwi Barelvi (Haal Muqim Ajmer) Se Ibteda Mashwara Farmate Thay. Magar Mausuf Ka Yeh Tassur Tha Ke "Hazrat Jin Angrezi Alfaaz Aur Jumlo Ka Istemaal Karte Hai Wo Lugaat Ke Aitbaar Se Bilkul Durusat Hote Hain. Is Tarha Ki Salasiat Wa Ruhani Bhari Tharirein Mujhe Bahut Kam Dekhne Ko Mili.
Part 3 Coming Soon 👇👇👇
- Haramain Shareef Ki Ziyarat
- Saudi Hukoomat Ke Zulm Ki Kahani Hazrat Ki Zubani
- Babri Masjid Ka Qaziya
- Nasbandi Ke Khilaf Fatwa