Taqat Ka Istemal


Ekta Mein Taqat Hai
    Har Roz Hostel kI Canteen Mein Nashte Mein Khichdi Kha Kar Pareshan Students Ne Hostel Warden Se Shikayat Ki Aur Nashte Mein Doosri Cheez Dene Ko Kaha. Ab Wahan 100 Mein Se Sirf 20 Student The Jin Ko Khichdi Pasand Thi Aur Wo 20 Student Chahte The Ki Rozana Khichdi Banai Jaye. Jabki Baqi Ke 80 Student Badlao Chahte The. Warden Ne Tamam Student Se Nashte Ke Liye Voting Karne Ko Kaha. Ab Wo 20 Student Jinhein Khichdi Pasand Thi Unhone Khichdi Ke Liye Vote Diya. Baqi Ke 80 Student Mein Koi Ham Aahangi Nahi Thi, Na Hi Apas Mein Koi Khaas Baat Cheet Thi, Aur Na Hi Wo Apni Aqal Aur Zameer Se Kuch Faisla Karna Jante The. Is Liye Unhone Apas Mein Koi Salah Or Mashwara Nahi Kiya Aur Har Ek Ne Apni Apni Pasand Ke Mutabiq Vote Diya. Ab Voting Ka Natija Kuch Is Tarah Aaya... 👇👇
  • 20 Khichdi
  • 18 Dosa
  • 16 Paratha
  • 14 Roti
  • 12 Roti Makhkhan
  • 10 Noodles
  • 10 Poori Sabzi
    Aakhir Natija Kya Hua? Iss Canteen Mein Aaj Bhi Un 20 Logo Ke Sath Wo 80 Student Har Roz Khichdi Khaate Hain. 🙂 Hum Yeh Sochte Hain Ki Hum 20 Feesad Hain, 80 Feesad Par Kaise Ghalib Aasakte Hain? Yaqeenan Aap Tanha Kuch Nahi Kar Sakte. Lekin Aap Ka Ittehad Aap Ke Haalaat Badal Sakta Hai. Is Baar Ye Irada Kar Lijiye Ki Aap Se Jab Koi Vote Mangne Aaye Or Kahe Ki Main Loan Maaf Kar Duga, Bijli Maaf Kar Dunga, Road Or Naliya Banwa Dunga Etc. To Aap Us Se Kahiye Ki Ye Sare Kaam Main Khud Kar Lunga Tum Ye Btao Ki Agar Kal Ko Mujhe Ya Meri Family Ko Tumhari Zaroorat Padi To Kya Tum Saath Khade Hoge, Kal Ke Mere Mazhab Or Mere Paighambar Ko Bura Bhala Ya Unki Gustakhi Hogi To Tum Sath Doge Ya Nahi, Mere Madarso Masjido Dargaho Ko Target Kiya Jayega To Mere Sath Khade Hoge Ya Nahi, Agar Meri Ya Mere Kisi Sathi Ki Mob Lynching Ki Jayegi To Mere Sahara Banoge Ya Nahi, Agar Haa To Beshak Aise Hi Kisi Ko Vote Dijiye Jo Aap Ki Problems Ke Waqt Aap Ke Sath Khada Rahe, Or Agar Nahi To Afsos Kijiye Ki Itne Salo Me Aap Ne Apne Liye Apni Qaum Se Kisi Aise Ko Tayyar Nahi Kar Paye Jo Aap Ke Haq Ke Liye Lad Sake

Election 2024

Post a Comment

Previous Post Next Post