10 Shawwal Ul Mukarram Sayyadi Sarkar E Aala Hazrat Pure Aalam-e-sunniyat Ko Khub Khub Mubarak
Khuda Ka Naam Likh Dena Nabi Ka Naam Likhdena
Jaha Pe Kufr Likha Ho Waha Islam Likhdena
Bachana Ho Agar Nasle Wahabi Dewbandi Se
To Bas Darwaze Pe Ahmad Raza Ka Naam Likhdena
Maslak-e-aala Hazrat Zindabaad.....
Maslak E Ahle- Sunnat- Zindabad
Aala Hazrat Se Judhi Chand Baaten
Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi Jo 14Wi Sadi Hijri Ke Mujaddid Or Bahot Bade Aashiq-e-rasool Guzre Hai
Aala Hazrat Ki Paidaish:
10 Shawwal 1272 Hijri Mutabik 14 Jun 1856 Esvi Sanicher (Saturday) Ke Din Johar Ke Waqt Mohalla Jasoli Bareli Me Paida Hue. Aala Hazrat Ka Paidaisi Naam Muhammed Aur Tarikhi Naam Al,Mukhtar Aur Aapke Dada Ne Aapka Naam Ahmed Raza Rakha. (Sawwaneh Alahazrat, Page:88)
Aala Hazrat Ke Walid Moulana Naki Ali Khan Bahot Bade Aalim Guzre Hai Aur Dada Raza Ali Khan Bhi Bahot Bade Aalim Aur Ba-karamat Wali Guzre Hai Aala Hazrat Ne 21 Uloom Apne Walid Se Hasil Kiye. Aala Hazrat Ne 4,Saal Ki Choti Si Umar Me Quran-sharif Naazra Khatm Kiye Aur 6 Saal Ki Umar Sharif Me Ek Bade Ma'jme Ke Saamne Milaad Sharif Padhi. 6 Saal Ki Umar Sharif Me Aala Hazrat Ne Bagdaad Sharif Ki Sim't Maloom Ki Fir Aapne Aakhiri Dum Tak Bagdaad Sharif Ki Jaanib Pa'nw Na Failaya Kisi Ne Aala Hazrat Ko Hafiz Likha Aapne Farmaya: Main Kis Kis Ko Hafiz Kehne Se Mana Karu Lihaza Aapne Sirf 1,Mahine Me Pura Qur'an Hif'z Kiya Din Me Yad Karte Raat Me Taravi Me Sunate 8 Sal Ki Umr Me Arbi Zaban Me 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Dia. Aap 13 Saal,10 Maah,5 Din Ki Uamr Sharif Me 19/11/1869 Ko Aalim-o-mufti Ban Gaye The. 13 Sal 10 Mah Ki Umr Me Pahela Fatwa Likha.
Aala Hazrat Ka Gharana
Aala Hazrat Ke 2 Bhai, 2 Bahen, 2 Bete, 5 Betiya, 3 Pote, 10 Potiya, 3 Fufiya'n Thi. Aapka Silsile Aulad Aapke Bete Haamid Raza Khan Se Chala. Aur Apke Dusre Bete Duniya Bhar Me Mufti E Azam Hind Ke Naam Se Mashur Huve.
Aala Hazrat Ne Apne Tamam Beto Aur Bhatijo'n Ka Ek Hi Naam Rakha Tha Muhammed Aur Urfiyat (Pehchan) Alag Rakhi Thi (Tazkira Aala Hazrat)
Aala Hazrat Ke Bade Bete Hazrat Hamid Raza Ka Inteqal Halate Namaz Me Hua Tha. Unke Bare Me Aala Hazrat Ne Farmaya "Hamid Mujh Se Hai Aur Mai Hamid Se Hun."
Aala Hazrat Ka Mizaj
Aala Hazrat Ke Mizaj Takrir-tahrir Me Jo Sakhti Thi Wo Sirf Huzoor Ke Gustakho Ke Liye Thi Huzoor Ke Wafadaro Ke Liye To Aap Abre-karam The Aala Hazrat Ka Zaahir-o-baatin Ek Jaisa Tha Jo Dil Me Hota Wahi Zuban Se Zahir Farmate Aap Ki Kisi Se Dosti Dushmani Sirf Allah-o-rasool Ke Liye Hoti Ek Rafzi (Shiya) Hydrabad Se Huzoor Aala Hazrat Se Milne Aaya Aapne Uski Jaanib Dekhna Bhi Pasand Na Farmaya Chu'nki Wo Sahaba Ka Gustaakh Tha.
Aala Hazrat Ki Sayyedo Se Muhabbat
Jab Aala Hazrat Ke Yaha "Mahfile Milaad" Hoti To Aap Sayyado Ko Dugna Nazrana Ata Farmate. Aala Hazrat Hamesha Sayyado Ka Ehtaraam Farmate The Aap Mureed Bhi Hue To Marehra Sharif Me Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi Se Hue. Aala Hazrat Ke Peer Ne Farmaya: Qayamat Me Allah Pak Puchhege Ae Aale Rasool Tu Kya Laya Hai Dunya Se To Main Kahunga. Allah Main Ahmad Raza (Aala Hazrat) Laya Hu.
Farman-e-sayyedi Aala Hazrat
Sachhe Imaan Ke Liye 2 Baat Zaroori Hai 1 Nabi-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Muhabbat 2 Nabi-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ta’zim, Huzoor Ki Tazeem Unki Aal (Awalad) Se Muhabbat Unse Judi Har Cheez Se Pyar Aala Hazrat Ka Maq'sade Zindagi Thi Aur Yahi Sachche Aashiq Ki Pehchan Hai.
Hadees:👇 Jo Meri Aulad Ka Haque Na Pehchane Woh Teen Baaton Mein Se Ek Se Khaali Nahi Ya Toh Munafiq Hai Ya Haraami (Zina Se Paida) Hai Ya Haizi Baccha Hai (Fatawa E Razwiya Jild 10 Safa No.131)
Aala Hazrat Ne Farmaya:
Agar Koi Mere Dil Ke Do Dukde Kare To Ek Par "La'ilaha Il'lal'lah" Aur Dusre Par "Muhammedur Rasoolullah" Likha Hua Payega, Subhanallah
Kanzul Iman
Aala Hazrat Ne Quran-ae-pak Ka Tarjuma 1911 Iswi Me "Kanzul Imaan" Naam Se Kiya Aap Ne Maolana Amjad Ali Azmi Ki Guzarish Par Ye Tarjama Kiya Tha. Qur'an Ka Tarzuma Karne Ke Liye Sirf Ilm Hi Kafi Nhi Balki Allah Ki Taraf Se Tauofiq Bhi Chahiye Or Sachcha "Ishq-e-nabi" Hona Chahiye Jo Aala Hazrat Ke Pas Tha. Muhaddise Aazam-e-hind Farmate Hai Aala Hazrat Ka Tarjuma Qur'an Ilhami Hai Yani Allah Ki Janib Se Aisa Likha Jaaye Aapke Dil Me Dala Gaya Tha. Quran Pak Ka Urdu Zaban Me Bahetrin Tarjuma Kanzul Iman Qaum Ko Ata Kia. Aala Hazrat Ne Apne Tarjume Me Allah-o-rasool Ki Shan-e-azmat Ka Bahot Lihaz Kiya Jabki Devobandi Mullao Ne Quraan Ke Tarjume Me Bhi Huzoor Ki Tauhin Ki Maz, Allah Hi Rabbul Aalamin
Aala Hazrat Ki Nabi Paak Se Muhabbat
Aala Hazrat Kabhi Hadees Sharif Ki Kitaab Par Koi Kitaab Na Rekhte Aap Namaz Hamesha Masjid Me Ada Karte Aur "Amama" Sharif Ke Saath Ada Farmate. Jab Koi Haji Aala Hazrat Ke Pas Aata To Puchte Kya Madina Sharif Hazri Di? Ha'n Kehta To Kadam Choom Lete Or Na Kehta To Uski Taraf Tavajjoh Na Farmate Aala Hazrat Apne Ilm Amal Aur Khusoosan Ishq-e-rasool Ke Bina Par Pehchane Jate Hain Wo Nabi Ke Aise Aashiq The. Jiski Misaal Duniya Pesh Nahi Kar Sakti Aala Hazrat Ne Farmaya Huzoor Ki Adna Si Gustaakhi Karne Wala Tumhara Kaisa Hi Aziz Kyu Na Ho. Use Dil Se Aise Nikaal Fenko Jaise Dudh Se Makkhi. Ishq-e-nabi Ne Aala Hazrat Ko Wo Takat Ata Ki Thi Jisse Aap Kisi Duniyadar Se Na Dare Na Dabe. Jo Haq Tha Farma Diya Chahe Achha Lage Na Lage. Aala Hazrat Farmate Hai "Jinke Talwo Ka Dhowan Hai Aabe Hayat, Hai Wo Jane Masiha Humara Nabi"
Aala Hazrat Ki Angrezo Se Nafrat
Rampur Ke Angrezi Court Me Aala Hazrat Par Case Kiya Gaya Tha Aapne Farmaya: "Ahmed Raza To Door Ahmed Raza Ki Juti Bhi Angrezi Court Me Nahi Jayegi" Angrez Ke Wafadar (Wahabi/Devbandi) Mulla Aala Hazrat Par Ilzam Lagate Hain, Jabki Aala Hazrat Angrezi Huqumat Ke Shakht Khilaaf The. Devbandi Mulla Jo "Nabi" Ke Gaddar Hai Wo Vatan Ke Wafadar Kya Ho Sakte Hai Inke Mulla Thanvi Ko Angrezi Huqumat 600 Rupiya Deti Thi . .
Aala Hazrat Ki Deeni Khidmaat
55 Se Ziada Uloom Par Taqriban 1000 Se Zaid Kitabe Likhi. 12 Jildon Par Mushtamil Fatawa Razviya Likh Kar Fiqh E Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam Di. Aala Hazrat Ka Likha Hua Pyara "Salam" Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salam" Wo "Salam" Hai Jo Duniya Me"Aazan" Ke Baad Sabse Zyada Padha Jaata Hai. Aap Ke Natiya Kalam Ki Sari Duniya Me Dhoom Hai. Ala Hazrat Ko Aapke Dada Ne Bismillah Shareef Shuru Karai Thi Aap Ne Pure 54 Saal Tak Deen Ki Azeem Khidmat Anjam Di. Aap Ne 1300 Kitabe Likhi. (Tazkirae Raza)
Aala Hazrat Ka Wisal :
Sari Zindagi Deen Ki Khidmat Aur Ishqe Mustafa Ki Daulat Taqsim Karne Me Lage Rahe. Duniya Ke Bade Bade Ulma Aur Fuqha Ne Aap Ko Mujaddid Tasleem Kia. Kai Univercity Me Aap Par Research Ho Rahi Hai. Aap Ka Wisal 25 Safar (1921) Ko Azane Juma Ke Dauran Hua.
Ashraf Ali Thanvi Kahta Hai: Meray Dil Mein Ahmed Raza K Liye Be Hadh Ihtram Hai Wo Humain Kafir Kehta Hai,Laikin Ishq-e-rasool Ke Bina Per Kehta Hai Kise Aur Garz Se Tou Nahi Kehta''
Sayyadi Aala Hazrat Pe Lakho Salam Sayyadi Sarkar Aala Hazrat Zindabad