Namaaz-e-eid Ka Tareeqa (Hanafi):
Pehle Is Tarah Niyyat Kijiye: "Main Niyyat Karta Hoon Do Raka'at Namaaz Eid-ul-fitr (Ya Eid-ul-adha) Ki, Saath Chh Zaid Takbiron Ke, Waste Allah Azza Wajal Ke, Peeche Is Imam Ke." Phir Kaanon Tak Haath Uthaiye Aur Allah Akbar Keh Kar Hasb-e-ma'mool Naaf Ke Neeche Baandh Lijiye Aur Sanaa Parhiye. Phir Kaanon Tak Haath Uthaiye Aur 'allahu Akbar' Kehte Hue Latka Dijiye. Phir Haath Kaanon Tak Uthaiye Aur 'allahu Akbar' Keh Kar Latka Dijiye. Phir Kaanon Tak Haath Uthaiye Aur 'allahu Akbar' Keh Kar Bandh Lijiye, Yaani Pehli Takbeer Ke Baad Haath Bandh Lijiye, Iske Baad Doosri Aur Teesri Takbeer Mein Latkaiye Aur Chauthi Mein Haath Bandh Lijiye. Isko Yun Yaad Rakhiye Ke Jahan Qiyam Mein Takbeer Ke Baad Kuch Parhna Hai Wahan Haath Bandhne Hain Aur Jahan Nahi Parhna Wahan Haath Latkanay Hain. Phir Imam 'tawwuz' Aur 'tasmiah' Ahista Parh Kar 'alhamdu Sharif' Aur Surah Jehr (Yaani Buland Awaaz) Ke Saath Parhe, Phir Rukoo' Karein. "Dusri Rak'at Mein Pehle Alhamd Shareef Aur Surah Jehr Ke Saath Parhein, Phir Teen Baar Kaan Tak Haath Utha Kar Allah-u-akbar Kahen Aur Haath Na Baandhein, Aur Chouthi Baar Baghair Haath Uthaye Allah-u-akbar Kehte Hue Ruku Mein Jaayein Aur Qaiday Ke Mutabiq Namaaz Mukammal Kar Lein. Har Do Takbiro Ke Darmiyan Teen Baar 'subhan Allah' Kehne Ki Miqdar Chup Khada Rehna Hai.
Namaz-e-eid Kis Par Wajib Hai?
Eidain" (Yaani Eid-ul-fitr Aur Baqar Eid) Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab Par Nahi Sirf Un Par Jin Par Jumma Wajib Hai. Eidain Mein Na Azan Hai Na Iqamat. (Bahar-e-shariat, J1, S1779, Maktaba-tul-madina, Bab-ul-madina, Karachi, Durr-e-mukhtar, J3, S51, Dar-ul-maarifah, Beirut)
Eid Ka Khutba Sunnat Hai
Eidain" Ki Ada Ki Wohi Shuratain Hain Jo Jumma Ki, Sirf Itna Farq Hai Ke Jumma Mein Khutba Shart Hai Aur Eidain Mein Sunnat. Jumma Ka Khutba Qabal Az Namaz Hai Aur Eidain Ka Baad Az Namaz. (Bahar-e-shariat, J1, S1779, Alamgiri, J1, S150)
Namaz-e-eid Ka Waqt
In Dono Namazon Ka Waqt Sooraj Ke Buzd Par Aik Niza Buland Hone (Yaani Tulu-e-aftab Ke 20 Minute Ke Baad) Se Dhuhr-e-kabir (Yaani Nisf-ul-nahar) Sharai Tak Hai Magar Eid-ul-fitr Mein Der Karna Aur Eid-ul-adha Jald Parhna Mustahab Hai. (Bahar-e-shariat, J1, S1781, Durr-e-mukhtar, J3, S60)
Eid Ki Adhuri Jamat Mili To...
Pehli Rakat Mein Imam Ke Takbirein Kehne Ke Baad Muqtadi Shamil Hua To Ussi Waqt (Takbir-e-tahrimah Ke Ilawah Mazeed) Teen Takbirein Keh Le Agar Chahe Imam Ne Qirat Shuru Kar Di Hoa Aur Teen Hi Kahe Agar Chahe Imam Ne Teen Se Zyada Kahi Hoa Aur Agar Usne Takbirein Nahi Kahi To Imam Ruku "Mein Chala Gaya To Khare Khare Na Kahe Balkay Imam Ke Saath Rukoo Mein Jaye Aur Rukoo Mein Takbeeren Kahein Aur Agar Imam Ko Rukoo Mein Paaya Aur Ghaleb Gumaan Hai Ke Takbeeren Kahe Kar Imam Ko Rukoo Mein Paalega To Khare Khare Takbeeren Kahe Phir Rukoo Mein Jaye Warna Allah Hu Akbar Kahe Kar Rukoo Mein Jaye Aur Rukoo Mein Takbeeren Kahe Phir Agar Usne Rukoo Mein Takbeeren Poori Na Ki Thin Ke Imam Ne Sar Uthaya To Baqi Saqit Ho Gayin (Yaani Baqiyah Takbeeren Ab Na Kahe) Aur Agar Imam Ke Rukoo Se Uthne Ke Baad Shaamil Hua To Ab Takbeeren Na Kahe Balkay (Imam Ke Salaam Pherne Ke Baad) Jab Apni (Baqiyah) Parhe Us Waqt Kahe. Aur Rukoo Mein Jahan Takbeeren Kehna Bataya Gaya Us Mein Haath Na Uthaye Aur Agar Doosri Rak'at Mein Shaamil Hua To Pehli Rak'at Ki Takbeeren Ab Na Kahe Balkay Jab Apni Foot Shudah Parhne Khara Ho Us Waqt Kahe. Doosri Rak'at Ki Takbeeren Agar Imam Ke Saath Paa Jaaye To Phir Bhi Wahi Tafseel Hai Jo Pehli Rak'at Ke Baray Mein Mazkoor Hui. (Bahaar-e-shariat, Jild 1, Safha 782, Durr-e-mukhtar, Jild 3, Safha 64, Alamgiri, Jild 1, Safha 1151)
Eid Ke Khutbe Ke Ahkaam
Namaz Ke Baad Imam Do Khutbe Padhe Aur Khutba-e-jumua Mein Jo Cheezen Sunnat Hain Usmein Bhi Sunnat Hain Aur Jo Wahan Makrooh Yahan Bhi Makrooh. Sirf Do Baaton Mein Farq Hai Ek Yeh Ke Jumua Ke Pehle Khutbe Se Pehle Khatib Ka Baithna Sunnat Tha Aur Is Mein Na Baithna Sunnat Hai. Dusra Yeh Ke Is Mein Pehle Khutbe Se Pehle 9 Bar Aur Doosre Ke Pehle 7 Bar Aur Mimbar Se Utarne Ke Pehle 14 Bar Allah-o-akbar Kehna Sunnat Hai Aur Jumua Mein Nahi. (Bahaar-e-shariat J1s783, Durre Mukhtar J3s67, Aalameeri J1s150)