Fatah e Makkah Or Rasoolullah ﷺ Ki Hilm-o-burdabari

Rahmatul Lil'aalameen: Aor Hilm-o-Karam Ka Paigham


    Farman-e-mustafa  Salallahu Alaihi Wasallam Hai: ":اِنَّ الرِّفْقَ لَا يَكُونُ فِي شَيْءٍ اِلَّا زَانَهٗ، وَلَا يُنْزَعُ مِنْ شَيْءٍ اِلَّا شَانَهٗ" Yani Jis Cheez Mein Narmi Ho Woh Aarasta Hojati Hai Aur Jis Cheez Se Nikaal Di Jaaye Woh Aib Daar Hojati Hai." (Muslim, ص1073، حدیث:2594) 
Sirat-e-nabawi Ki Waraq Gardānī (Yani Mutāla Karne) Se Ma'aloom Hota Hai Ke Narmi Aap Salallahu Alaihi Wasallam Ke Mizaaj Mubarak Ka Hissa Thi, Jaisa Ke Fath-e-makkah Ke Baab Mein Is Ka Wazih Sabut Nazar Āata Hai. 10 Ramzan-ul-mubarak 8 Hijri Ko Rasool-e-akram Salallahu Alaihi Wasallam Madinah Se Taqreeban 10,000 Ka Lashkar-e-jarrar Sath Le Kar Makkah Ki Taraf Rawana Huwe. Makkah Se Ek Manzil Ke Faslay Par Maqam "Marruz-zahran" Mein Pahunch Kar Islami Lashkar Ne Parao Dala, Hazoor-e-anwar Salallahu Alaihi Wasallam Ne Fauj Ko Hukm Diya Ke Har Mujāhid Apna Alag Alag Chulha Roshan Kare, Idhar Hazrat Abu Sufyan (Jo Us Waqt Tak Musalman Nahi Hue The) Apne Kuchh Sathiyo Ke Sath "Marruz-zahran" Aa Pahunchye Aur Dekha Ke Milon Tak Āag Hi Aag Jal Rahi Hai. Yahaan Par Unhein Hazrat Abbas (رضي الله عنه) Mile Aur Sarkar-e-do-alam Salallahu Alaihi Wasallam Ki Bārgah Mein Le Aaye. Rasoolullah Salallahu Alaihi Wasallam Ki Rahmat Goya Pukar Pukaar Kar Keh Rahi Thi: "Daro Nahi! Yeh Dunya Ke Sultan Nahi, Balki Rahmatul Lil'aalameen Ka Darbar-e-karam Hai." Hazrat Abu Sufyan Aur Unke Sathi Kalimah Parh Kar Āghoosh-e-islam Mein Āa Gaye. Rasool Allah Salallahu Alaihi Wasallam Ka Hilm Aur Karam Dekhiye Ke Aap Ne Makkah Mukarramah Ki Sarzamin Par Qadam Rakhte Hi Jo Pehla Hukm Jaari Farmaya, Us Ke Har Lafz Mein Rahmaton Ke Samundar Maujein Maar Rahe Thay. Jo Shakhs Hathiyar Daal De Us Ke Liye Aman Hai, Jo Apna Darwaza Band Kar Le Us Ke Liye Aman Hai, Jo Ka'bah Mein Dakhil Ho Jaye Us Ke Liye Aman Hai. Is Waqt Aap Salallahu Alaihi Wasallam Apni Ontni "Qaswa" Par Sawar The, Siyah Rang Ka Imamah Sar-e-aqdas Se Barkatein Le Raha Tha, Charon Taraf Musallah Lashkar Hazir Tha Lekin Is Qadar Jah O Jalal Ke Bawajood Shahanshah-e-do Alam Salallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-e-tawadu' Ka Alam Yeh Tha Ke Aap Sar Jhukaye Surah Fat'h Ki Tilawat Farma Rahe Thae. (Zarqani Al-mawahib, J3, Pg. 432, 434, Seerat-e-mustafa Salallahu Alaihi Wasallam, Pg. 433) Pyare Islami Bhaiyo! Fakhr Aur Ghuroor Shaytan Ki Taraf Se Hai Jo Shakhs Is Aafat Mein Mubtala Ho Woh Ta'id-e-ilahi Se Mahroom Rehta Hai. Aaj Agar Koi Muashray Mein Kisi Had Tak Maqam Hasil Kar Le To Woh Apni Kam Zarfi Ke Sabab Apni Zabaan Aur Tarz-e-amal Se Badai Jatanay Par Utar Aata Hai Aur Is Ke Dil Se 'afw-o-darguzar Ka Jazba Khatam Ho Jata Hai, Halanki Bande Ko Is Maqay Par Aajzi Hi Karni Chahiye Ke Muashray Mein Usay Achhi Nigah Se Dekha Jana Allah Ka Fazl Hai Aur Shukr Ka Maqam Hai Nabi  Kareem Salallahu Alaihi Wasallam Sahaba-e-karam Ke Hamraah Haram-e-ilahi Mein Dakhil Hue, Ka'bah Ko Buton Se Paak Kiya Aur Namaaz Ada Farmayi Phir Bahar Tashreef Le Aaye. Musalmanon Ke Alawa Hazaaron Kuffar O Mushrikeen Ka Majma Bhi Maujood Tha, Shahenshah-e-konain Salallahu Alaihi Wasallam Ne Is Hazaaron Ke Majma Par Aik Nigaah Daali To Dekha Ke Sardaran-e-quraish Sar Jhukaye, Dare Or Sahme Hue Khade Hain. Shaykh-ul-hadith Allama Abdul Mustafa Azmi رحمۃ اللہ علیہ Ne Is Ki Manzar Kashi Karte Hue Tahreer Farmaya Hai: In Zalimon Mein Woh Log Bhi The Jinhon Ne Aap Salallahu Alaihi Wasallam Ke Raston Par Kaantay Bichaaye The, Woh Log Bhi The Jo Aap Par Patthron Ki Baarish Karchuke The, Woh Be Raham Bhi The Jinhon Ne Dandan-e-mubarak Ko Shaheed Kar Daala Tha, Woh Khoonkhaar Bhi The Jinhon Ne Aap Salallahu Alaihi Wasallam Par Qatilana Hamle Kiye The, Woh Zulm O Sitam Dhaanay Wale Bhi The Jinhon Ne Aap Salallahu Alaihi Wasallam Ki Sahabzadi Sayyida Zainab رضی اللہ عنہا Ko Neza Maa'r Kar Ont Se Gira Diya Tha. Woh Aap Ke Khoon Ke Bhi Pyaase The Hazoor Salallahu Alaihi Wasallam Ke Pyaare Chacha Hazrat Ameer Hamza رضی اللہ عنہ Ke Qatil Aur Un Ki Naak Kaatne Wale, Un Ki Aankhein Phor Dene Wale, Un Ka Jigar Chabaane Wale Isi Majma Mein Maujood The, Aaj Yeh Sab Ke Sab Das Barah Hazaar Muhajireen O Ansar Ke Lashkar Ki Hifazat Mein Khade Kanp Rahe The, Isi Aalam Mein Shahenshah-e-risalat Salallahu Alaihi Wasallam Ki Nazar-e-rahmat Un Jafakaron Ki Taraf Mutawajjah Hui Aur Aik Sawal Poocha Jis Ne Un Par Larza Tari Kiya. Farmaaya: Aye Giroh-e Quraysh! Tumhara Kya Khayal Hai, Main Tum Se Kaisa Sulook Karne Wala Hoon? Unhon Ne Umidon Mein Doobe Lahje Mein Arz Kiya: نَظُنُّ خَیْراً ' Hum Huzoor Se Khair Ki Ummeed Rakhte Hain, Aap Kareem Nabi Hain Aur Allah Ta'ala Ne Aap Ko Qudrat Ata Farmayi Hai, Rahmat-e-du'aalam Salallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Main Aaj Tumhein Wahi Baat Kehta Hoon Jo Mere Bhai Yusuf (Alaihis Salaam) Ne Apne Bhaiyon Ke Bare Mein Kahi Thi, "Aaj Meri Taraf Se Koi Giraft Nahi, Allah Ta'ala Tumhare Sare Gunahon Ko Maaf Farmaye Aur Woh Sab Se Zyada Raham Farmane Wala Hai." Jaao, Meri Taraf Se Tum Azad Ho.' (Seerat-e-mustafa, Page 438 To 440, Madaarij Al-nubuwwah, Volume 2, Page 490, 489) 'aafwoo Dar-guzar Ka Jo Be-misal Muzahira Rahmat-e-aalam Salallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Insaani Taareekh Iski Misaal Pesh Karne Se Qasir Hai. Kuffar-e-makkah Is Shan-e-rahmat Ko Dekh Kar Joq Dar Joq Barh Kar Huzoor Pur Noor Salallahu Alaihi Wasallam Ke Dast-e-mubarak Par Islam Ki Bay'at Karne Lage, Woh Talwaarein Jo Kal Tak Islam Ki Mukhalfat Mein Barsar-e-pikar Thi, Ab Woh Islam Ki 'azmat Ka Danka Bajane Ke Liye Chamakne Lagi, Rasoolullah Salallahu Alaihi Wasallam Ka Apne Sakht Tareen Dushmanon Ke Saath Yeh Rawaiya Hilm-o-burdabari Ki Umda Misaal Tha, Aap Ka Yahi Tareeqa Kaar Unki Hidayat Ka Ba'is Bana, Rahmat-e-du'aalam Salallahu Alaihi Wasallam Ki Seerat Ka Koi Gosha Aisa Nahi Jo Kamal-e-insaniyat Ka Aainah Daar Na Ho, Muashray Ki Ta'meer O Takmeel Mein Jahan Aur Bohot Si Cheezain Ahmiyat Rakhti Hain Wahi Ek Ahem Aur Zaroori Cheez Hilm-o-burdabari Bhi Hai. Fatah-e-makkah Shahid Hai Ke Qubool-e-islam Se Pehle Jab Hazrat Akrama Bin Abu Jahl Apni Zaujah Ki Mai'at Mein Hazoor-e-nabi Kareem  Ki Bargah Mein Hazir Hue Toh Hazoor-e-akram  Ne Pehle Hi Sahaba-e-kiram Se Irshad Farmaya Tha Ke Akrama Tumhare Paas Aane Wala Hai, Tum Uske Baap Ko Bura Na Kahna Kyunke Mare Hue Ko Agar Bura Kaha Jaaye Toh Uske Zinda Rishte Daaroon Ko Aziyyat Pahunchti Hai. (Subul Al-huda Wal-rashaad, Vol. 5, Page 253) Chunanche Unke Aane Par Hazoor-e-akram  Ne Pur-josh Istiqbal Karte Hue Farmaya:  مَرْحَبًا بِالرَّاكِبِ الْمُهَاجِر (Muhajir Sawar Ko Khush Aamdeed). (Subul Al-huda Wal-rashaad, Vol. 9, Page 388) Us Ke Baad Woh Aap  Ke Samne Khade Hue Aur Yeh Keh Kar Qubool-e-islam Ki Sa'adat Paai: Ashhadu An La Ilaha Illallah Wahdahu La Shareeka Lah, Wa Annaka Abduhu Wa Rasuluh. Us Waqt Sar Sharm-sarai Ke Saath Jhuka Kar Arz Guzaar Hue Ke Ya Rasool Allah! Bila Shubah Aap Sab Se Zyada Kareem Aur Wafadar Hain. (Subul Al-huda Wal-rashaad, Vol. 5, Page 253, Tareekh Al-khamees Fi Ahwaal Anfus Nafees, Vol. 2, Page 29) Allah Ta'ala Hamein Bhi Doosron Ke Saath Narmi, Afw O Darguzar Aur Burdbari Ka Rawiya Apnanay Ki Toufeeq Ata Farmaaye. Aameen Bi Jahi Al-nabi Al-ameen .

Post a Comment

Previous Post Next Post