Ghazwa-e-Badr 313 Vs 1000

Ghazwa-e-Badr 313 Vs 1000


    2 Hijri, 17 Ramzan Ul Mubarak Jumma Ka Babarkat Din Tha Jab Ghazwa E Badr Ka Waqiya Hua, Quran-e-majeed Mein Usay "Youm Al-furqan" Farmaya Gaya. (Durre Mansoor, 4/72, P. 10, Al-anfal Tahtal Ayah: 41) Is Jung Mein Musalmanon Ki Tadad 313 Thi Jin Ke Paas Sirf 2 Ghore, 70 On't, 6 Zarehein (Lohe Ka Jangi Libas), Aur 8 Talwariyan Thi Jabkeh Un Ke Muqable Mein Lashkar-e-kuffar 1000 Afrad Par Mushtamil Tha Jin Ke Paas 100 Ghore, 700 On't Aur Kasheer Alaat-e-harb Thay.(Zarqani Ali Al-mawahib, 2/260, Mu'jam Kabir, 11/133, Hadith: 11377, Madaarij Al-nubuwwah, 2/81)



    Jang Se Pehle Raat Me Hazoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Chand Sahaba Ke Saath Badr Ke Maidan Ko Mulaheza Farmaya Aur Zameen Par Jagah Jagah Haath Rak Kar Farmaya: "Yeh Falan Kafir Ke Qatl Hone Ki Jagah Hai Aur Kal Yahaan Falan Kafir Ki Laash Padi Hui Milegi." Chanancha Rawi Farmate Hain: "Waisa Hi Hua Jaisa Farmaya Gaya Tha Aur In Mein Se Kisi Ne Is Lakeer Se Baal Barabar Bhi Tajawuz Nah Kiya." (Muslim, P. 759, Hadith: 4621) Subhanallah! Kya Shaan Hai Hamare Pyare Aqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki, Ke Allah Ta'ala Ki Ata Se Ek Din Pehle Hi Yeh Bata Diya Ki Kaun Kab Aur Kis Jagah Mare Ga.

    Is Raat Allah Ta'ala Ne Musalmanon Par Ongh Taari Kar Di Jis Se Un Ki Thakawat Jati Rahi Aur Agli Subah Barish Bhi Nazil Farmayi Jis Se Musalmanon Ki Taraf Reit Jam Gayi Aur Pani Ki Kami Door Ho Gayi. (Al-zarqani Ali Al-mawahib, 2/271) Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tamam Raat Apne Rabb Ta'ala Ke Huzoor Ijzo-niyaaz Mein Guzari (Dala'il Al-nubuwwah Li'l-baihaqi, 3/49) Aur Subah Musalmanon Ko Namaz-e-fajr Ke Liye Bedaar Farmaya, Namaz Ke Baad Ek Khutba Irshad Farmaya Jis Se Musalman Shoq-e-shahadat Se Sarsar Ho Gaye. (Seerat Halbiyah, 2/212)

    Hazoor Rahmat-e-alam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pehle Musalmanon Ke Lashkar Ki Taraf Nazar Farmayi Phir Kuffar Ki Taraf Dekha Aur Dua Ki "Ya Rab! Apna Wada Sach Farma Jo Tu Ne Mujh Se Kiya Hai, Agar Musalmanon Ka Yeh Groh Halak Ho Gaya To Ruye Zameen Par Teri Ibadat Na Ki Jayegi." (Muslim, P. 750, Hadith: 4588)

    Allah Ta'ala Ne Musalmanon Ki Madad Ke Liye Pehle Ek Hazar Farishte Nazil Farmaye, Is Ke Baad Yeh Tadad Barh Kar Teen Hazar Aur Phir Paanch Hazar Ho Gayi. (Al-anfal, P. 9:9, Al-imran, 124, 125)

    Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kankarion Ki Ek Muthi Bhar Kar Kuffar Ki Taraf Phenki Jo Kuffar Ki Aankhon Mein Pari. (Dar Manshoor, 4/40, P. 9, Al-anfal Under Ayah: 17) Janisar Musalman Is Dileri Se Lade Ke Lashkar-e-kuffar Ko Ibratanak Shikast Hui, 70 Kuffar Wasil-e-jahannam Aur Is Hi Qadar (Ya'ni 70) Giraftar Hue. (Muslim, P. 750, Hadith: 4588) Jabkeh 14 Musalmanon Ne Jaam-e-shahadat Nosh Kiya.

    Shuhada-e-ghazwa E Badr: Ghazwa E Badr Mein Jaam-e-shahadat Nosh Farmane Wale Sahaba-e-kiram Ke Asma'e Mubarak Yeh Hain: (1) Hazrat Ubaidah Bin Haris (2) Hazrat Umair Bin Abi Waqqas (3) Hazrat Zul-shimalain Umair Bin Abde Amru (4) Hazrat Aaqil Bin Abi Bakr (5) Hazrat Mihja' Maula Umar Bin Khattab (6) Hazrat Safwan Bin Bayda (Ye 6 Muhajireen Hain) (7) Hazrat Saad Bin Khaythama (8) Hazrat Mubashshir Bin Abd Al-munziir (9) Hazrat Haritha Bin Suraqah (10) Hazrat Awf Bin Afra (11) Hazrat Mu'adh Bin Afra (12) Hazrat Amir Bin Humam (13) Hazrat Rafi Bin Mu'alla (14) Hazrat Yazid Bin Harith Bin Fasihim (Ye 8 Ansar Hain) Radiallahu Anhum Ajma'een. (Seerat Ibn Hisham, P. 295)

    Ghazwa E Badr Mein Musalman Bazahir Be Sar-o-samaan Aur Tadad Mein Kam Thay Magar Imaan Aur Ikhlas Ki Daolat Se Malamal Thay, Un Ke Dil Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ishq O Mohabbat Aur Jazba-e-itaat Se Labrez Thay Aur Allah Ta'ala Ki Madad Aur Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Duaain Un Ke Shamil-e-haal Thi. Yehi Woh Asbaab Thay Jinhon Ne Is Ma`rike Ko Yaadgaar Aur Qayamat Tak Ke Musalmanon Ke Liye Mashal-e-raah Bana Diya.

    Allah Ta'ala Hamein Bhi Apne Pyare Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mohabbat Aur Itaat Ka Jazba Ata Farmaye. Ameen Bi Jaahi Al-nabi Al-ameen Sallallahu Alaihi Wasallam.

Post a Comment

Previous Post Next Post