Sawaneh Tajushshariah Part 3

Ziyarte Haramain Sharifain

  Allah Ta'ala Ne Huzur Taajhushariah Ko Hajj Ke Shaarf Se Bhi Khub Nawaza Hai. Aapne 6 Hajj Kiye Hai. Pehla Hajj 1403 Hijri Mutabiq 4 Sep 1983 , Dusra Hajj 1405 Hijri Mutabiq 1986, Tisra Hajj 1403 Hijri, Mutabiq 1987 Chautha Hajj 1429 Hijri Mutabiq 2008 Panchwa Hajj 1430 Hijri Mutabiq 2009 Chhathha Hajj 1431 Hijri Mutabiq 2010 Me Kia Iske Ilawa An Ginat Bar Aap Ne Umrah Kia Aur Madina Munawara Ki Hazri Di. Kabhi Kabhi Saal Me Do Char Bar Madina Munawwara Hazair Ho Jate The. Hazrat Ki Ek Khususiyat Yeh Thi Ke Wo Kisi Leader. Hukumat Ke Roa'ab Wa Dabdaba Se Nahi Darte. Masail Haqqa Ka Izhar Barmala Kar Dete The. Anjaam Ki Parwa Nahi Karte.



    Dusre Hajj Ke Mauqa Par Hazrat Ko Baz Mushkilaat Ka Bhi Samana Karna Pada Tha. Huzur Taajhushariah Apni Ahliyah Ke Sath Hajj Wa Ziyarat Ke Liye Tashrif Le Gaye Thay. Arfaat Se Wapas Lautane Ke Bad Saudi Hukumat Ne Raat Ke Waqt Makka Muazamah Me Apko Qayam Gah Se Girftaar Kar Liya. Bila Wajah 11 Din Jail Me Rakh Kar Bagair Madina Sharif Ki Ziyarat Karaye Hindustaan Bhej Dia. Mumbai 13 Sept 1986/ 1408 Hijri Me Ibrahim Marchunt Road Minara Masjid Ke Qarib Raza Academy Mumbai Ke Zair Ahtimam Huzur Tajhushariah Ke Makka Muazzmah Me Bila Wajah Girftaari Par Saudi Hukumat Ke Khilaaf Ek Shandar Ijlaas Munaqqid Huwa. Iski Sadarat Mohaddise Kabeer Allama Zia Ul Mustafa Razwi Ajmadi Ne Farmayi. Mumbai Ke Ilawa Aaimma E Masajid Ke Ilawa Bahar Se Aye Hue Akabir Ulma Ne Shirkat Farmayi. Majmah Taqriban 50 Hazar Afraad Par Mushtamil Tha. Majmah Joshe ihtijaaj Me Saudi Hukumat Ke Khilaaf Nare Buland Karta Raha. Akhir Me Huzur Taajhushariah Ne Saudi Hukumat Me Apni Girftaari Aur Ziyarat Madina Munawara Ke Bagair Wapas Kiye Jane Se Mutalliq Apna Yeh Mukhtsaar Bayan Diya 

Saudi Arab Ke Zulm Ki Kahani Tajushshariya Ki Zubani

    21 Aug 1986 Shab Me 3 Baje Achanak Saudi Hukumat Ke Cid Police Ke Log Meri Qayam Gah Par Aaye Aur Mujhe Bedar Karke Passport Talab Kia. Phir Mere Saman Ki Talashi Ka Mutalbah Kia. Mere Sath Meri Parda Nasheen Biwi Thi. Maine Unhe Bathroom Me Bhej Dia. Phir Cid Ne Bathroom Ko Bahar Se Lock Kar Dia, Aur Wo Log Sipahiyo Ke Sath Mere Kamre Me Dakhil Hue. Mujhe Revolver Ke Nishaane Par Harkat Na Karne Ki Warring Di. Mere Saman Ki Talashi Li. Mere Pass Hazrat Maulana Syed Alvi Maliki Razwi Madda Zillah Ki Di Hui Chand Kitabein Aur Kuch Kitabein Ala Hazrat Ki Aur Dalail Ul Khairat Thi, In Tamaam Kitabo Ko Apne Qabza Me Liya. Mujh Se Telephone Ki Dairy Mangi. Jo Meere Pass Na Thi. Mera Meri Biwi Ka Aur Mere Sathiyon Ke Passport Ticket Aur Wo Kitabein Humari Le Kar Mujhe Cid Office Laye Aur Yake Bad Digare Mere Rufaqa Mehboob Aur Yaqub Ko Bhi Uthha Laye. Mujh Se Raat Me Rasmi Guftgu Ke Bad Pehla Sawaal Yeh Kia Ke Aapne Jumuah Kaha Padha ? Maine Kaha Main Musafir Hun Mere Uper Jumuah Farz Nahi. Lihaja Maine Apne Ghar Me Zohar Padhi. Mujh Se Puchha Tum Haram Me Namaz Nahi Padte Ho ? Maine Kaha Mian Haram Se Dur Rahta Hun, Haram Me Tawaaf Ke Liye Jata Hun. Isliye Main Haram Me Namaz Nahi Pad Sakta. Mujh Se Kaha Aap Kyon Apne Mohalla Ki Masjid Me Namaz Nahi Padhte ? Maine Kaha Ke Bahut Se Log Hai Jinhe Main Dekhta Hun Ke Wo Mohalla Ki Masjid Me Namaz Nahi Padte Aur Bahut Se Logo Ke Mutalliq Mujhe Mehsoos Hota Hai Ke Wo Sire Se Namaz Hi Nahi Padte Toh Mujhse Hi Kyon Baz Purs Karte Hai ?

    Mujh Se Phir Bhi Israr Kia Gaya To Maine Kaha Ke Mere Mazhab Me Aur Aap Logo Ke Mazhab Me Ikhtlaaf Hai, Aap Humbali Kahlate Hai Aur Main Hanfi Hu. Aur Hanfi Muqtadi Ki Ri'ayat Gair Hanfi Imaam Agar Na Kare To Hanfi Ki Namaz Sahi Nahi Hogi. Is Wajh Se Main Namaz Alag Padta Hun. Mujh Se Hazrat Allama Syed Alvi Maliki Madzila Kikitabo Ke Mutalliq Puchha Ke Yeh Tumhe Kaise Mili ? Maine Kaha Mujhe Yeh Kitabein Unhone Ne Chand Roz Pehle Di Hai, Jab Main Un Se Milne Gaya Tha. Muj Se Sawal Kia Ke Yeh Pehli Mulaqat Thi. Maine Kaha Han ! Yeh Pehli Mulaqat Thi. Ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Fazile Barelvi Alaihir Rahma Ki Chand Kitabein Dekh Kar Jo Naat Aur Masail Hajjke Mutliq Thi Puchha Unse Tumahra Kya Rishta Hai ? Maine Kaha Wo Mere Dada Thay.

    Is Mukhtsar Si Enquiry Ke Bad Mujhe Raat Guzar Jane Ke Bad Fajar Ke Waqt Jail Bhej Dia Gaya. 10 Baje Phir Cid Se Guftgu Hui, Usne Mujh Se Puchha Ke Hindustaan Me Kitne Firqe Hai, Miane Shia, Qadiyani Wagera Fariqe Ginwaye Aur Maine Wajeh Kia Ke Ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Fazile Barelvi Alaihir Rahma Ne Qadiyaniyo Ka Radd Kia Hai, Aur Uske Rad Me 6 Risale Jaza Ullah Adwa ,qahar Al Diyaan, Al Saw Ul Aqab Wagera Likhe Hai. Hum Par Kuch Log Yeh Tohmat Lagate Hai Aur Aapko Yeh Bataya Hai Ke Hum Aur Qadiyani Ek Hai, Yeh Galat Hai. Aur Wahi Log Hume"Barelvi" Kahte Hai. Jis Se Yeh Waham Hota Hai "Barelvi" Kisi Naye Mazhab Ka Naam Hai. Aisa Nahi Hai Balke Hum "Ahl Sunnat Wa Jamaat" Hai. Cid Ke Puchhane Par Maine Bataya Ke Ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Fazile Barelvi Quddisa Sirrahu Ne Kisi Naye Mazhab Ki Buniyad Nahi Dali Balke Wahi Tha Jo Hazrat Muhammad Ka Aur Sahaba Wa Tabaeen Ka Aur Har Zamane Ke Salehin Ka Mazhab Hai. Aur Yeh Hum Apne Aapko Ahl Sunnat Wa Jamaat Kahlwana Hi Pasand Karte Hai. Aur Hume Is Maqsad Se"Barelvi" Kahna Ke Hum Kisi Naye Mazhab Ke Pairo Hai, Hum Par Bohtaan Hai. Cid Ke Puchhane Par Maine"Wahabi" Aur "Sunni" Ka Farq Mukhtsar Taur Par Wazeh Kia. Maine Kaha Ke Wahabi Huzur Ke Ilm Egaib Aur Unki Shafa'at Aur Unse Tawassul Aur Istamdaad Aur Unhe Pukarne Ke Munkir Hai. Aur In Umoor Ko Shirk Batate Hai.

    Jab Ke Humara Yeh Aqeedah Hai Ke Huzur Se Tawassul Jaiz Hai, Aur Unhe Pukarna Bhi Aur Yeh Ke Wo Sunte Bhi Hai, Aur Allah Ke Btaye Se Gaib Ko Jante Bhi Hai, Aur Allah Ne Unko Shafa'atka Mansab Ata Farmaya, Aur Ilme Gaib Par Cid Ke Puchhane Par Ayate Quran Se Maine Dalil Qayam Ki Aur Yeh Sabit Kia Ke Nabuwwat Ittlah Alal Gaib Hi Kaam Hai, Aur Nabi Wahi Hai Jo Allah Ke Bataye Se Ilm E Gaib Ki Khabar De. Aur Yeh Ke Nabi Ke Waste Se Har Momin Gaib Janta Hai Jaisa Ke Quran Muqaddas Me Mansus Hai. Cid Ke Puchhne Par Maine Btaya Ke Sarkar Do Alam Ko Bad Wisaal Bhi Gaib Ki Khabar Hai. Isliye Ke Sarkar Ki Nabuwat Baqi Hai Aur Nabuwat Janane Hi Ko Kahte Hai. Phir Yeh Ke Ayato Me Aisi Qaid Nahi Hai Jis Se Yeh Zahir Ho Ke Bad Wisaal Sarkar Ilm E Gaib Nahi Jante Hai. Ek Aur Nashishat Me Cid Ke Mutalba Ne Tawwssul Ki Dalil Me Wa Abtgu Ayat Padi Aur Yeh Bataya Ke Sarkar Se Tawassul Mi Njumla Amal Saleh Hai, Aur Ye Ke Kisi Amal Ka Saleh Hona Aur Waseela Hona Is Shart Par Mauquf Hai Ke Wo Maqbul Ho, Aur Sarkar Risalat Bilashuba Maqbul Bargah Uloohiyat Hai Balke Syed Ul Maqbuleen Hai, To Unse Tawassul Ba Darja Ala Jaiz Aur Tawssul Shirk Nahi. Cid Ke Kahne Par Maine Mazid Kaha Ke Kisi Se Is Taur Par Madad Magna Ke Allah Ke Siwa Usko Mustqil Aur Fayl Samje Shirk Hai Aur Hum Is Taur Par Kisi Se Madad Mangane Ke Qayl Nahi Hai. Ha Allah Ki Madad Ka Waseela Jaan Kar Kisi Maqbul Bargah Se Madad Mangna Hargiz Shirk Nahi Hai. Cid Ke Ek Sawaal Ke Jawab Main Kaha Ke Hum Me Aur Wahabiyn Me Yeh Farq Hai Ke Wo Hume Towassul Wagera Umoor Ki Bina Par Kafir Wa Mushrik Batate Hain Lekin Hum Unko Mehaj , Is Bina Par Kafir Wa Mushrik Nahi Kahte (Yani Iske Wujuhat Aur Hai) Dusre Din Un Bayanat Ki Roshni Me Cid Ne Mere Liye Ek Iqrar Nama Usne Khud Likh Kar Mujhe Sunaya Jo Yun Tha "Main Fulah Bin Fulah Barelvi Mazhab Ka Mutee Hun "Maine Aitraz Kai Ke Main Barha Yeh Kah Chuka Hun Ke Barelvi Koi Mazhab Nahi Hai Aur Agar Koi Naya Mazhab Banam Barelvi Hai To Main Is Se Bari Hun. Aage Iqrar Nama Me Usne Yun Likha Ke Ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Alaihir Rahma Ka Pairo Hun Aur Barelviyon Me Se Ek Hun, Aur Humara Aqeedah Hai Ke Sarkar Se Tawassul Istgasa Aur Unko Pukarna Jaiz Hai. Aur Sarkar Gaib Jante Hain, Aur Wahabi Un Umoor Ko Shirk Batate Hai Aur Yeh Ke Main Unke Pichhe Is Wajh Se Namaz Nahi Padta Hun Ke Hum Sunniyon Ko Mushrik Batate Hai. Iqrar Nama Ke Akhirme Mere Mutalabe Par Usne Yeh Izafa Kia Ke"Barelviyat" Koi Naya Mazhab Nahi Hai Aur Hum Log Apne Aapko "Ahl Sunnat Wa Jamaat" Kahlwana Hi Pasand Karte Hai.

    Phir Mukhtlif Nashito Me Bar Bar Wahi Sawalat Dohraye , Bad Me Mujhse Mere Safar Londan Ke Bare Me Puchha Aur Kaha Ke Kya Waha Aapne Kisi Conference Me Shirkat Ki Hia ? Maine Jawab Dia Ke Conference Hukumat Ke Paimane Aur Siyasi Satah Par Hoti Hai, Hum Log Na Siyasi Hai Na Kisi Hukumat Se Humara Rabta Hai. Cid Ke Puchhane Par Maine Bataya Ke Londan Ke Is Ijlas Me Jis Me Sharik Tha, Banam Barelviyat Masail Par Mubasha Na Huwa, Balke Itehad E Islam Aur Tanzimul Muslimeen Par Taqaarir Huyi , Aur Is Jalsa Ka Karch Waha Ke Sunni Musalmano Ne Uthhaya, Is Me Yeh Mutalba Kia Gaya Ke Imaam Ahmad Raza Fazile Barelvi Ke Pairo  Wa Ahl Sunnat Wa Jamat Ko "Rabta Alam E Isami" Me Numaindagi Di Jaye.jis Tarah "Nadviyo" Wagera Ko Rabta Me Numaindagi Hasil Hai. Cid Ke Puchhane Par Maine Bataya Ke Yeh Tazweez Ba Ittefaq Raye Pass Ho Gayi Thi. Tisri Nashisat Me Jab Do Nashisto Ki Taftish Khatam Ho Chuki Aur  Mera Iqrar Nama Khud Tayyar Kar Chuke, To Mujh Se Ek Bade Cid Officer Ne Kaha Ke Main Apka Aapke Ilm,umar Aur Shakhsiyat Ki Wajh Se Ehtaraam Karta Hun, Aur Aap Se Makhsus Auqaat Me Duao Ka Talib Hun. Girftaari Ka Sabab Mere Puchhane Par Usne Bataya Ke Aapka Case Mamuli Hai, Warna Us Waqt Jab Sipahi Hathkadi Dal Kar Aapko Laya Tha, Main Apki Hathkadi Na Khulwata. Mukhtsar Yeh Ke Musalsal Sawalat Ke Bawjud Mera Jurm Mere Bar Bar Puchhane Ke Bad Bhi Mujhe Na Batyaa, Balke Yahi Kahte Rahe Ke Mera Mamla Ahmiyat Nahi Rakhta Lekin Iske Bawjud Meri Rihayi Me Takhir Ki Aur Bagair Izhar E Jurm Mujhe Madina Munawra Ki Hazri Se Mauquf Rakha. Aur 11 Dino Kebad Jab Mujhe Jedda Rawana Kia Gaya To Mere Hatho Me Jedda Airport Tak Hatkadi Pehnaye Rakhi, Aur Rasta Me Namaze Zohar Ke Liye Mauqa Bhi Na Dia Gaya Is Wajh Se Meri Namaze Zohar Qaza Ho Gayi. Roznama Al Ahram Qahira , 12 Rabi Ul Awalh1408/1987 Roznama Jung Londan 3march 1987h1407

Post a Comment

Previous Post Next Post