Na Sudhro Ge To Mit Jao Ge Ae Hindi Musalmano
Tumhari Dastaan Tak Bhi Na Hogi Dastanon Mein
Biyaah Shaadi Ke Mauqe Par Aaj Hamare Muashre Mein Hamari Fuzool Rasmon Ne Zina Ko Ma'az Allah Aasaan Aur Nikah Ko Mushkil Bana Diya. Fitna E Irtidad (Islam Chorna) Ki Wajuhat Mein Se Ek Wajah Biyaah Shaadi Ke Badhte Kharche Bhi Hain.
15/16 Saal Se Alhamdulillah, Allah Ta'ala Ki Taufeeq Se Mein Ye Soch O Fikr Rakhta Hoon Ke Biyaah Shaadi Ke Mauqe Par Jo Fuzool Kharchiyan Aur Fazool Rasmain Hamare Muashre Mein Janam Le Chuki Hain Unko Khatm Karne Ke Liye Baazaabta Humein Munazzam Tareeqe Se Kaam Karna Chahiye, Lekin Mein Bhi Is Mauzoo Par Aaj Tak Baazaabta Taur Par Kuch Kaam Nahin Kar Paaya. Iski Wajah Ye Rahi Ke Mujhe Saath Nahin Mil Pa Raha Hai, Lekin Tadap Aaj Bhi Baqi Hai.
Is Liye Ab Ye Ahd Kiya Hai Ke Kuch Na Kuch Kaam To Is Mauzoo Par Zaroor Karna Hai In Shaa Allah Ta'ala. Jis Tarah Namaz Wa Roza Waghera Hum Sunnat Tareeqe Se Ada Karte Hain Usi Tarah Biyaah Shaadi Bhi Humein Sunnat Tareeqe Hi Se Karni Chahiye.
FOLLOW ON SOCIAL MEDIA
Barkati Kashana Official
Is Waqt To Biyaah Shaadi Ke Waqt Ki Fazool Kharchi Aur Fazool Rasmon Ko Khatm Karna Hum Sab Musalmanon Par Laazim O Zaroori Ho Gaya Hai. Kyunke Is Waqt Aksar Musalman Maali Aitbaar Se Kamzor Hain, Maujooda Hukoomat Bhi Har Aitbaar Se Musalmanon Ko Kamzor Karne Mein Lagi Hai. Pata Nahin Hamari Qoum Kab Khwab E Ghaflat Se Bedaar Hogi.
Biyaah Shaadi Ke Waqt Kya Hona Chahiye Aur Kya Nahin Hona Chahiye
Hindustan Ke Baaz Ilaaqon Mein Nikah Se Ek Din Pehle Mandha Karke Mehmaanon Aur Basti Walon Ko Khana Khilaya Jata Hai. Ye Sunnat Ke Khilaf Hai. Isko Bilkul Khatm Kar Dena Chahiye. Agar Ladke Ki Shaadi Hai To Waleema Karna Chahiye Kyunke Waleema Karna Hi Sunnat Hai. Aur Agar Ladki Ki Shaadi Hai To Phir Ladki Walon Ko Waleema Bhi Nahin Karna Hai, Ya'ni Shariat Ke Aitbaar Se Basti Walon Ko Khana Nahin Khilana Chahiye Aur Na Hi Basti Walon Ko Ladki Ki Shaadi Ke Mauqe Par Ye Khana Khana Chahiye. Ye Mandha Karna Ghairon Ka Tareeqa Hai. Iska Naam O Nishaan Mita Dena Chahiye.
Ladki Walon Ke Ghar Lambi Chaudi Baraat Le Jana Jis Tareeqe Se Aaj Ke Zamane Mein Raaij Hai, Ye Bhi Sunnat Ke Khilaf Hai. Hona Ye Chahiye Ke 10/20 Aadmi Ladki Walon Ke Ghar Jaayein, Jo Woh Khilayein Kha Lein Aur Nikah Karke Ladki Ko Le Aayein.
Article Credit: Taalib E Khair, Faqeer Qadri
Muhammad Zeeshan Raza Misbahi Muradabadi
Principal Darul Uloom Noorul Haq, Chara Muhammad Pur, Faizabad Zila Ayodhya, UP