इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए |
Sawal : Namaz Mein Jo Cheezein Wajib Hain Unhein Bataye?
Jawab: Namaz Mein Yeh Cheezein Wajib Hain:
- Takbeer-e-tahrima Mein Lafze "allahu Akbar" Hona.
- Alhamdu Padhna.
- Farz Ki Do Pehli Rakaaton Mein Aur Sunnat, Nafl, Aur Witr Ki Har Rakaat Mein Alhamdu Ke Saath Surah Ya Teen Chhoti Ayat Milana.
- Farz Namaz Mein Do Pehli Rakaaton Mein Qirat Karna.
- Alhamdu Ka Surah Se Pehle Hona.
- Har Rakaat Mein Surah Se Pehle Ek Hi Bar Alhamdu Padhna.
- Alhamdu Aur Surah Ke Darmiyan Kisi Ajnabi Ka Faasil Na Hona.
- Qirat Ke Baad Mutsalan (Fauran) Rokoo Karna.
- Sajda Mein Dono Paon Ki Teen-teen Ungliyon Ka Pet Zameen Par Lagana.
- Dono Sajdon Ke Darmiyan Koi Rukn Fasil Na Hona.
- Ta'deel-e-arkaan, Qaumah Yani Rukoo Se Seedha Khada Hona.
- Jalsa Yani Dono Sajdon Ke Darmiyan Seedha Baithna.
- Qa'da-e-ula Mein Tashahhud Ke Baad Kuch Nahi Padhna.
- Har Qa'da Mein Poora Tashahhud Padhna.
- Lafz "assalamu" Do Baar Kehna.
- Witr Mein Dua-e-qunoot Padhna.
- Takbeer-e-qunoot
- Eidain Ki Chh 6 Takbirein.
- Eidain Mein Dusri Rakaat Ki Takbeere Rukoo Aur Us Takbeer Ke Liye Lafz "allahu Akbar" Hona.
- Har Jahri Namaz Mein Imam Ko Jahar (Baland Aawaz) Se Qirat Karna Aur Ghair-jahri Mein Aahista.
- Har Wajib Aur Farz Ka Uski Jagah Par Hona.
- Rukoo Ka Har Rakaat Mein Ek Hi Bar Hona Aur Sajda Ka Do Hi Baar Hona.
- Dusri Se Pehle Qa'da Na Karna Aur Char Rakaat Wali Mein Teesri Par Qa'da Na Hona.
- Ayate Sajdah Padhi To Sajdah Tilawat Karna Aur Sahoo Ho To Sajdah Sahoo Karna.
- Do Farz Ya Do Wajib Ya Wajib-farz Ke Darmiyan Teen Tasbeeh Ki Miqdar Waqfa Na Hona.
- Imam Jab Qirat Kare Buland Awaaz Se Ya Aahista, Us Waqt Muqtadi Ka Chup Rehna, Aur Siwa Qirat Ke Tamam Wajibaat Mein Imam Ki Ita'at Karna.