Namaz Ki Sunnatain

    इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए


Sawal: Namaz Ki Sunnatain Bayan Farmayen

Jawab: Namaz Ki Sunnatain Ye Hain:

  • Tahrīmah Ke Liye Hath Uthāna Aur Hath Ki Ungliyan Apne Haal Par Chhodna.
  • Buqat Takbīr Sar Nah Jhukana Aur Hatheleyon Aur Ungaliyon Ke Peeth Ka Qibla Rukh Hona.
  • Takbīr Se Pehle Hath Uthāna, Isi Tarah Takbīr Qunūt Aur Takbīrāt-e-'eidain Mein Kānon Tak Hath Le Jāne Ke Baad Takbīr Kahna.
  •  Aurat Ko Sirf Mounh Tak Hath Uthana.
  • Imam Ka Allahu Akbar, Sami'a Allah Li-man Hamidah Aur Salam Buland Awaaz Se Kehna.
  • Ba'd Takbīr Hath Latakaye Baghair Foran Baandh Lena, Sana, Ta'awwuz, Tasmiyah Parhna, Aur Āmīn Kehna Aur In Sab Ka Āhista Hona.
  • Pehle Sana Parhna, Phir Ta'awwuz, Phir Tasmiyah, Aur Har Ek Ke Baad Doosre Ko Foran Parhna.
  • Rukū' Mein Teen Baar Subhāna Rabbiyal-'azīm Kehna Aur Ghutno Ko Hathon Se Pakadna Aur Ungliyan Khūb Khulī Rakhna.
  • Aurat Ko Ghutne Par Hath Rakhna Aur Ungliyan Kushāda Nah Rakhna, Hālat Rukū' Mein Peeth Khūb Bichhi Rakhna.
  • Rukū' Se Uthtay Waqt Hath Latakā Hua Chhod Dena.
  • Rukū' Se Uthtay Mein Imam Ko Sami'a Allahu Li-man Hamidah Kehna, Muqtadi Ko Rabbana Lakal Hamd Kehna Aur Munfarid (akele Padhne Wale Ko) Ko Donon Kehna.
  • Sajdah Ke Liye Aur Sajdah Se Uthne Ke Liye Allahu Akbar Kehna.
  • Sajdah Mein Kam Se Kam Teen Baar Subhāna Rabbiyal-a'la Kehna.
  • Sajdah Karne Ke Liye Pehle Ghutna, Phir Hath, Phir Nāk, Phir Peshānī Zameen Par Rakhna Aur Sajdah Se Uthtay Waqt Pehle Peshānī, Phir Nāk, Phir Hath, Phir Ghutna Zameen Se Uthāna.
  • Sajdah Mein Bāzū Krwa'ton Se Aur Pait Rānon Se Alag Hona, Aur Kutte Ki Tarah Kalāi Zameen Par Nah Bichāna.
  • Aurat Ka Bāzū Kro'ton Se, Pait Rānon Se, Rān Pandeliyon Se Aur Pandeliyan Zameen Se Milā Dena.
  • Donon Sajdoo'n Ke Darmiyān Tashahhud Ki Tarah Bai'thna Aur Hathon Ko Rānon Par Rakhna.
  • Sajdoo'n Mein Hathon Ki Ungliyon Ka Qibla Rukh Hona Aur Mili Hui Hona.
  • Aur Pā'on Ki Das'oon Ungliyon Ke Peeth Zameen Par Lagna, Yani Ungliyon Ka Qibla Ki Taraf Mūdna.
  • Dusri Raka'at Ke Liye Pānjon Ke Bal Ghutnon Par Hath Rakh Kar Uthna.
  • Qa'dah Mein Bāyān Pā'on Bichha Kar Donon Sureen Us Par Rakh Kar Bai'thna.
  • Dāhina Qadam Khara Rakhna Aur Dāhine Qadam Ki Ungliyan Qibla Rukh Karna.
  • Aurat Ko Donon Pā'on Dāhini Janib Nikāl Kar Bāyīn Sureen Par Bai'thna.
  • Dāhinā Hāth Dāhine Rān Par Aur Bāyin Hāth Bāyīn Rān Par Rakhna Aur Ungliyān Apni Hālat Par Chhodna.
  • Shahādat Par Ishārah Karna.
  • Qa'dah Ākhirah Mein Tashahhud Ke Ba'd Darūd Shareef Aur Du'ā-e-māsūrah Parhna.

Post a Comment

Previous Post Next Post