इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए |
Bismillahir-rahmanir-raheem: Paarah 19, Surat-un-naml Ki Tiswein Aayat Ka Hissa Bhi Hai Aur Alag Se Quran Majeed Ki Ek Poori Aayat Mubarakah Bhi, Jo Ke Do Surton Ke Mabeen Fasla Ke Liye Utaari Gayi.
Bismillah Sharif Ki Barkat:
Hazrat Jabir Bin Abdullah (Ra) Farmate Hain: Jab 'bismillahil-rahmanir-raheem' Nazil Hui To Badal Mashriq Ki Taraf Daure, Hawayein Sakin Ho Gayin, Samandar Josh Mein Aagaya, Choopayon Ne Ghor Se Sunne Ke Liye Apne Kaan Laga Diye Aur Shayateen Ko Aasmanon Se Patthar Maare Gaye. Allah Pak Ne Farmaya: "Mujhe Meri Izzat O Jalal Ki Qasam! Jis Cheez Par 'bismillahil-rahmanir-raheem' Parhi Gayi, Main Usme Barkat Doonga.
Hazrat Safwan Bin Salim (Ra) Farmate Hain: "Insan Ke Saazo-samaan Aur Libas Ko Jinnat Istemal Karte Hain. Isliye Tum Mein Se Jab Koi Shakhs Kapda Pehnne Ke Liye (Uthaye Ya Utaar Kar) Rakhe To 'bismillah Sharif' Parh Liya Kare. Un Ke Liye Allah Pak Ka Naam Mohar Hai. (Yani Bismillah Parhne Se Jinnat Un Kapron Ko Istemal Nahi Karenge.)
Bismillah Durust Padhiye :
Bismillahhir-rahmanir-raheem" Parhne Mein Durust Makharij Se Haroof Ki Adaigi Lazmi Hai. Aur Kam Az Kam Itni Awaz Bhi Zaroori Hai Ke Rukawat Na Hone Ki Surat Mein Apne Kaanon Se Sun Sakein. Jald Bazi Mein Baaz Log Haroof Chabaa Jate Hain. Jaan Boojh Kar Is Tarah Padhna Mamnoo Hai Aur Ma'ani Fāsid (Yani Kharaab) Hone Ki Surat Mein Gunah. Lihaza Jaldi Jaldi Padhne Ki Adat Ki Wajah Se Jo Log Ghalat Parh Daalte Hain Woh Apni Islah Kar Lein. Neez Jahan Poori Parhne Ki Koi Khaas Wajah Mojud Na Ho Wahan Sirf 'bismillah' Keh Lena Bhi Durust Hai.
Bismillah Kijiye Kehna Mamnoo Hai:
Baaz Log Is Tarah Keh Dete Hain, 'bismillah Kejiye!' Aao Jee, Bismillah! Maine Bismillah Kar Daali. Tajir Hazraat Jo Din Mein Pehla Samaan Bechte Hain, Us Ko Aam Tor Par Bohni Kaha Jata Hai Magar Baaz Log Is Ko Bhi 'bismillah' Kehte Hain, Maslan, "Meri Toh Aaj Abhi Tak Bismillah Hi Nahi Hui!" Jin Jumlon Ki Misalen Pesh Ki Gayi Hain, Yeh Sab Ghalat Andaaz Hain. Isi Tarah Khana Khate Waqt Agar Koi Aajata Hai To Aksar Khanay Wala Us Se Kehta Hai, Aaiye Aap Bhi Kha Lijiye, Aam Tor Par Jawaab Milta Hai, 'bismillah' Ya Is Tarah Kehte Hain, 'bismillah Kejiye!' Bahar-e-shariat, Hissa 16, Safha 32 Par Hai Ke "Is Mauqe Par Is Tarah Bismillah Kehne Ko Ulama Ne Bohat Sakht Mamnoo Qarar Dia Hai. Haan Yeh Keh Sakte Hain, 'bismillah' Parh Kar Kha Lijiye. Balkay Aise Mauqe Par Dua'iya Alfaaz Kehna Behtar Hai, Maslan Bark-allahu Lana Wa Lakum, Yaani Allah Pak Hamein Aur Aapko Barkat De. Ya Apni Madri Zubaan Mein Keh Dijiye. Allah Pak Barkat De.