Safar Ka Mahina Manhos Nahi


Kya Safar Ke Mahine Mein Shadi Waghera Kar Na Sharaiyat Mein Mana Hai?

Hadees Sharif

    Safar Ke Mahine Mein Nikah Karna Bilashuba Jaiz Hai. Baaz Log Safar Ke Mahine Mein Is Aetqaad Ki Bunyaad Par Shaadi Nahi Karte Ke Is Mahine Mein Balaayein Waghaira Utarti Hain Aur Yeh Manhoos Mahina Hai. Yeh Aetqaad Mahez Batil O Mardod Hai, Jiski Koi Asal Nahi, Balkay Zamana-e-jahiliyat Mein Log Ise Manhoos Samajhte Thay, To Sarkar ﷺ Ne Is Ko Manhoos Samajhne Se Mana Farmay, Jaisa Ki Mishkat ul Masabeeh Me Hai Tarjuma: Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya: Adwa Nahi Yani Marz Lagna Or Mutaddi Hona Nahi Hai Or Na Bad Faali Hai Or Na Ullu Manhoos Hai Or Na Hi Safar Ka Mahina Manhoos Hai


Farmane Aala Hazrat

    Sayyidi A'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Rahmatullahi Alaih) Se Is Tarah Ka Ek Sawaal Poocha Gaya Ke Mah-e-muharram Ul Haram Aur Safar Ul Muzaffar Mein Nikah Karna Mana Hai Ya Nahi, To Aap Rahmatullahi Alaih Ne Jawab Dete Huye Irshaad Farmaya, Nikah Kisi Mahine Mein Mana Nahi. (Fatawa Razawiyya, Vol. 11, Page 265, Printed By Raza Foundation, Lahore)


Farmane Sadrush Shariah

    Sadrush Shariah (Rahmatullahi Alaih) Farmatay Hain: Mah-e-safar Ko Log Manhoos Jaantay Hain, Is Mein Shaadi Byaah Nahin Karte, Larkiyo Ko Rukhsat Nahin Karte, Aur Bhi Is Qisam Ke Kaam Karne Se Parhez Karte Hain Aur Safar Karne Se Guraiz Karte Hain, Khaas Tor Par Mah-e-safar Ki Ibtedai Terikhain Bohat Zyada Najis Maani Jaati Hain Aur Unko Terah Tezi Kehte Hain. Ye Sab Jahalat Ki Baatein Hain. Hadees Mein Farmaya Ke Safar Koi Cheez Nahi, Yani Logon Ka Isay Manhoos Samajhna Ghalat Hai." (Bahar-e-shariat, Jild 3, Safa 659, Matbu'at Maktabat Al-madina)


Farmane Mufti Jalaluddin Amjadi

    Mufti Jalal-ud-din Amjadi (Rahmatullahi Alaih) Farmatay Hain: Yakum Safar Say 13 Safar Tak Aur Yakum Rabi-ul-awwal Say 12 Rabi-ul-awwal Tak Shadi Byah Karna Bila Shuba Jaiz Hai Shar'an Koi Haraj Nahin. Inn Tareekhon Mein Shadi Byah Karne Ko Manaa Karna Jahalat O Nadani Hai. (Fatawa Faiz Al-rasool, Vol. 1, Pg. 562, Printed By Shabbeer Brothers)


Safar Mahine Me Urs Ki Tarikhen

1 Safar Haji Waris Ali Deva Sharif

3 Safar Urs Hazrat Khwaja Dana Sura Gujrat

5 Safar Urs Aala Hazrat Kashmiri

6 Safar Urs Shareh Bukhari Ghoosi Sharif

11 Safar Urs Jilani Miya ( Father Of Tajushshariya)

18 Safar Urs Hazrat Data Ganj Bakhsh Lahori

22 Safar Urse Hazrat Shah Mina Lucknow

25 Safar Urs Aala Hazrat Barelly Sharif

27 Safar Wisal Sultan Salahuddin Ayyubi


Post a Comment

Previous Post Next Post