Namaz Ki Farziyyat Or Ahmiyyat

Namaz Kis Par Farz Hai...?

    Har Musalman Aaqil Baligh Mard-o-aurat Par Rozana 5 Waqt Ki Namaz Farz Hai. Us Ki Farziyyat (Yani Farz Hone) Ka Inkar Kufr Hai. Jo Jaan Boojh Kar Ek Namaz Tark Kare Woh Sakht Gunahgar Or Azabe Naar Ka Haqdar Hai. हिन्दी में पढ़े

Namaz Ke Mutalliq Chand Aayate Mubaraka

Allah Paak Irshad Farmata Hai:

وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ لِذِكْرِىٓ  ۝١٤ 

   Tarjuma Kanzul Irfan: Or Meri Yaad Ke Liye Namaz Qaim Rakh.

Ek Or Muqam Par Irshad Hota Hai : 


وَٱلَّذِينَ هُمْ عَلَىٰ صَلَوَٰتِهِمْ يُحَافِظُونَ ۝ اُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْوَٰرِثُونَ ۝ ٱلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلْفِرْدَوْسَ هُمْ فِيهَا خَـٰلِدُونَ ۝ 


    Tarjuma Kanzul Irfan: Or Woh Jo Apni Namazo Ki Hifazat Karte Hain. Yahi Log Waris Hain. Ye Firdaus Ki Miras Payenge. Wo Us Me Hamesha Rahenge

Ek Or Muqam Par Irshad Hota Hai :

    Tarjuma Kanzul Irfan: Or Namaz Qaim Rakho Or Zakat Do Or Rasool Ki Farma Bardari Karte Raho Is Umeed Par Ki Tum Par Raham Kiya Jaye


Namaz Ke Mutalliq 2 Ahadise Mubaraka 

  1.     Hazrat Ibn-e-Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Piyare Piyare Aqa, Madinay Wale Mustafa ﷺ Ne Hazrat Mu'adh رضي الله عنه Ko Yaman Ki Taraf Rawana Kiya To Farmaya Ke Tum Ahl-e-kitab Ke Paas Ja Rahe Ho To Unhein Is Baat Ki Da'wat Dena Ke Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi Aur Be Shak Muhammad ﷺ  Allah Pak Ke Rasool Hain. Agar Woh Is Mein Farmaa Bardaari Karein To Unhein Batana Ke Allah Kareem Ne Un Par Din Raat Mein Paanch Namazain Farz Farmayi Hain. Phir Agar Woh Yeh Bhi Maan Jaayein To Unhein Sikhaana Ke Allah Pak Ne Un Par Zakat Farz Ki Hai Jo Unke Maaldaron Se Li Jayegi Aur Un Hi Ke Faqiron Ko Di Jayegi. Phir Agar Yeh Bhi Maan Lein To Un Ke Behtareen Maalon (Yaani Zakat Me Behtreen Maal Wasool Na Karna. Balki Darmiyani Maal Lena Haa Agar Khud Malik Hi Behtreen Maal Apni Khushi Se De To Unki Marzi Hai) Se Bachna Aur Sitam Rasidah Ki Bad Dua Se Darna Ke Us Ke Aur Rab Ke Darmiyan Koi Aad Nahi.
  2.     Hazrat Abdullah Bin Masood رضي الله عنه Se Marwi Ke Ek Sahib Se Ek Gunah Saadir Ho Gaya, Isne Sarwar-e-kainat (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Aakar Us Ki Khabar Di, Chunaanche Yeh Ayat-e-kareemah Nazil Hui.

    Tarjuma Kanz Ul-'Irfan: Aur Din Ke Dono Kinaaron Aur Raat Ke Kuch Hisse Mein Namaz Qaim Rakho. Beshak Nekiyan Buraaiyon Ko Mita Deti Hain, Yeh Naseehat Manne Walon Ke Liye Naseehat Hai.


    Unho Ne Arz Ki, "Ya Rasool Allah! Kya Yeh Khaas Mere Liye Hai?" Farmaya: "Meri Saari Ummat Ke Liye Hai.


    Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan Naemi رحمۃاللہ علیہ Is Hadees Paak Ki Sharah Me Likhte Hain: Yani Yeh Ayat Agar Cheh Tere Bare Mein Utri Magar Is Ka Hukm Aam Hai. Koi Musalman Koi Gunah Sagheerah Kare, Us Ki Namazain Waghairah Maafi Ka Zariya Hain. Is Se Maloom Hua Ke Ajnabi Se Khulwat Aur Boos O Kinara Gunah Sagheerah Hai, Haan Yeh Jurm Baar Baar Karne Se Kabeerah Ban Jayega Kyunke Sagheerah Par Dawam (Yaani Hamesha) Kabeerah Hai.
    Mazeed Farmatay Hain: Yeh Hadees Us Ke Liye Hai Jo Ittefaqan Aisa Maamla Kar Baithay Phir Sharminda Ho Kar Taubah Karay, Lihaza Hadees Par Yeh I'tiraz Nahi Ke Is Mein Un Harkaton Ki Ijazat De Di Gayi. Mazeed Farmatay Hain: Maaloom Hua Ke Yeh Aasaaniyan Sirf Is Ummat Ke Liye Hain, Guzashta Ummaton Ki Muaafi Bohat Mushkil Hoti Thi.

۝

Post a Comment

Previous Post Next Post