Hazrat Abu Bakr Or Hazrat Umar Ki Shan, Maula Ali Ki Zaban Se

Hazrat Abu Bakr Or Hazrat Umar Ki Shan, Maula Ali Ki Zaban Se

Hazrat Abu Bakr Aur Umar Razi Allah Anhuma Ki Afzal Shakhsiyaat



Muftari Ki Saza

Maula Ali Ne Farmaya: Jo mujhe Hazrat Abu Bakr aur Umar (Razi Allah Anhuma) se afzal kahe ga, toh main usay muftari ki (yani bohtaan lagane walay ko di janay wali) saza doon ga. (Tareekh Ibn Asakir, 383/30)

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Sab Se Behtar

Hazrat Ali Ne Farmaya: Is ummat mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke baad sab se behtar Hazrat Abu Bakr aur Umar (Razi Allah Anhuma) hain. (Tareekh Ibn Asakir 346/30, Multaqatan)

Imam Zahabi Rahmatullahi Alaih ne farmaya ke yeh qoul Hazrat Ali (Razi Allah Anho) se manqool hai. (Tareekh Al-Khulafaa, Safa 34)

Shukr Guzar Aur Allah Ke Pasandeeda

Maula Ali Farmate Hain: Hazrat Abu Bakr Siddiq (Razi Allah Anho) shukr karne walon aur Allah ke pasandeeda bandon ke ameen hain. Aap un sab se zyada shukr karne walay aur sab se zyada Allah ke pasandeeda hain. (Tafseer Tabri)

Bahaduri Ka Be-Misal Namuna

Maulaye Kainat Ne Farmaya: Hum mein sab se zyada bahadur Hazrat Abu Bakr Siddiq (Razi Allah Anho) hi thay. (Musnade Bazzar 14/3, Hadees: 761)

Yaad rakho! Woh (yani Hazrat Abu Bakr Siddiq Razi Allah Anho) insaanon mein sab se zyada raham dil, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke yaar-e-ghaar aur apne maal se Hazrat Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko sab se zyada nafa pahunchane walay hain. (Al-Riyadh Al-Nadrah, 130/1)

Sab Se Afzal Sahabi

Farmane Maula Ali: Hum sab Sahaba mein Hazrat Abu Bakr Siddiq (Razi Allah Anho) sab se afzal hain. (Al-Riyadh Al-Nadrah, 1/138)

Siddiq Ka Laqab

Hazrat Ali Ne Qasam khakar irshaad farmaya: “Allah Paak ne Abu Bakr ka naam 'Siddiq' aasman se naazil farmaya hai.” (Mustadrak Alas-Sahihayn, 4/4, Hadith: 4461)

Ek Or Dusri Jgah Farmaya: Main to Hazrat Abu Bakr Siddiq (Razi Allah Anho) ki tamaam neekiyon mein se sirf ek neeki hu. (Fazail Abi Bakr Al-Siddiq Lil Ashari, Safa 51, Raqm: 29, Tareekh Ibn Asakir, 383/30)

Nabi Kareem Ke Baad Behtareen Shakhsiyaat

Maula Ali Farmate Hain: Huzoor Nabi Kareem Ra'uf aur Raheem Sallallahu Alaihi Wasallam ke baad sab se behtareen shakhsiyaat Hazrat Abu Bakr aur Umar (Razi Allah Anhuma) hain. Kisi momin ke dil mein meri muhabbat aur Hazrat Abu Bakr aur Umar (Razi Allah Anhuma) ka bughz jama nahi ho sakte, aur na hi meri dushmani aur Hazrat Abu Bakr aur Umar (Razi Allah Anhuma) ki muhabbat jama ho sakti hai.

Jannat Ka Ijazat Nama

Ek dafa Hazrat Abu Bakr Siddiq (Razi Allah Anho) aur Hazrat Maula Ali Sher-e-Khuda (Razi Allah Anho) ki mulaqat hui, toh Siddiq Akbar Maula Ali ko dekh kar muskaraane lagay. Hazrat Ali Al-Murtaza ne poocha: “Aap kyun muskara rahe hain?”

Hazrat Abu Bakr Siddiq ne farmaya:

“Maine Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko yeh farmate suna ke Pul Siraat se wahi guzray ga jise Ali Al-Murtaza tehreeri ijazat nama deinge.”

Yeh sun kar Hazrat Ali Al-Murtaza bhi muskara diye aur kehne lage:

“Kya main aap ko Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taraf se aap ke liye bayan ki gayi khushkhubri na sunaoon ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaya: Pul Siraat se guzrne ka tehreeri ijazat nama sirf usi ko milega jo Abu Bakr Siddiq se muhabbat karne wala ho ga.” (Al-Riyadh Al-Nadrah, 1/207)

Post a Comment

Previous Post Next Post