Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu: Nasab, Alqabat, Aur Fazail

Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu: Nasab, Alqabat, Aur Fazail


Naam Aur Nasab

Hazrat Urwa Ibn Zubair Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai
Hazrat Syedina Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Ka Naam Abdullah ibn Usman ibn Aamir ibn Amr Ibn Kaab Ibn Saad Ibn Taim Ibn Murrah ibn Kaab Hai. Murrah Ibn Kaab tak Aap Kay Silsila E Nasab Me Kul 06 Wasite Hain. Aur Allah Kay Nabi Kay Nasab Me Bhi Murrah ibn Kaab tak 06 Wasite Hai. Aur Murrah ibn Kaab Par Abu Baqr Siddique Ka Silsila Sarkar E Do Aalam ﷺ Se Jaa Milta Hai.

References:

  • (Mujam Al Kabir Lil Tabarani, Nasab Abu Baqr Siddique, Vol: 01, Pg: 51, #01)
  • (Imam Ibn Hajar Asqalani, Al Isaba Fi Tamyiz Al Sahaba, Vol: 04, Pg:144)


Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Ka Isme Girami

01) Abdullah Ibn Usman:

“Syedna Abdullah Ibn Zubair Radiallahu Anhu Apne Walid Se rivayat karte hai kay Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Ka Naam Abdullah Ibn Usman Hai”
(Sahih Ibn Hibban, Vol: 09, Pg: 06, #6825)

 

02) Abdul Kaaba:

“Jamhoor Ahle Nasab Kay Nazdiq Aapka Kadim Naam Abdul Kaaba Tha. Musharraf Ba Islam Hone Kay baad Aapka Naam Allah Kay Nabi ﷺ Ne Abdullah Rakh Diya”
(Al Istiyab Fi Marifat E Sahaba, Vol: 03, Pg: 315)
(Imam Abu Al Abbas Mohideen, Riyaz An Nazara, Vol: 01, Pg:77)

 

03) Atiq:

“Imam Ibn Ishaq Rahmatullah Alaih Farmate ye naam Aapke Walid ne rakha tha, Hazrat Moosa Ibn Talha Radiallahu Anhu Farmate hai ye Naam Aapki Walida Ne Rakha”
(Imam Abu Al Abbas Mohideen, Riyaz An Nazara, Vol: 01, Pg:77)

Siddique E Akbar Radiallahu Anhu Kay Alqabat

Hazrat Syedna Abu Baqr Siddique Kay 02 Mashoor Alqabat hai:
i) Atiq
ii) Siddique

Jahannam Se Aazadi Kay Sabab Atiq Hogaye

Hadees:
Hazrat Abdullah Ibn Zubair Se Marwi Hai Hazrat Abu Baqr Siddique Ka Naam Abdullah Tha. Nabi E Akram ﷺ Ne Unhe Farmaya:

“أنت أطيق من النار” (Tum Jahannam Se Aazad Ho). Tabse Aapka Naam Atiq Hogaya.
(Imam Ibn Hibban Sahih Ibn Hibban, Vol: 09, Pg: 06)

Hadees:

“Umm-ul-Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Rivayat Hai Ki Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Huzoor ﷺ ki Khidmat Me Hazir Huwe to Aap ﷺ Ne Farmaya Tum Allah Taala ki taraf se aag se aazad ho, Pas ussi din se Aap Radiallahu Anhu Ka Naam Atiq rakh diya gaya”
(Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3679)
(Imam Ibn Hibban Sahih, Vol: 05, Pg: 279, #6864)
(Imam Hakim Al Mustadraq, Vol:02, Pg: 450, #3557)

Hadees:

“Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Nabi ﷺ Ne Sahaba Se Farmaya Jisko Dozakh Se Aazad Shaks ko Dekhna hai to Abu Baqr ko Dekh le. Us Din Se Atiq Naam Mashoor Hogaya”
  • References:
    (Imam Tabarani, Al Mujam Ul Awsat, Vol: 06, Pg: 456 #9384)
    (Imam Ibn Athir Usdul Ghaba Fi Marifat E Sahaba, Vol: 03, Pg: 316)
    (Imam Jalaludin Suyuti, Tarikhul Khulfa, Pg: 26)

ii) Siddique:
Tasdeeq E Meraj Kay Sabab Siddique Hogaye

Hadees:

“Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Meraj Ki raat Rasoolullah ﷺ Ne Jibril E Ameen Alaihsalam Se Kaha Aye Jibril Alaihsalam Meri Kaum Mujh par tohmat lagaygi. Woh Meri tasdeeq nahi karegi, Jibril E Ameen Alaihisalam ne Kaha Agar Aapki Kaum tohmat lagaygi to kya huwa Abu Baqr Radiallahu Anhu to Aapki Tasdeeq Karenge kyuki Aap Siddique Hai.”
  • References:
    (Imam Ibn Saad At Tabaqat Ul Kubra Vol: 01, Pg: 215)
    (Imam Tabarani, Al Mujam Ul Awsat, Vol:05, Pg: 662, #7148, 7173)

Hadees:

“Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Jab Nabi ﷺ Ki Meraj Huwi Makkah Kay Kaafir Hazrat Abu Baqr Kay paas pahuche aur kahne lage kya aap is baat ki tasdeeq karte hai jo Aapke Dost Yaani Nabi ﷺ Ne ki hai kay Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa ki sair ki. Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Anhu Ne Farmaya Kya Aap ﷺ Ne Sach Me Aisa kaha hai? Unhone Kaha Haan, Farmaya Phir Haan Mai Tasdeeq Karta hoon.”
  • References:
    (Imam Hakim Al Mustadraq, Vol: 04, Kitab Marifat E Sahaba, Pg: 65 #4515)
    (Imam Abdur Razzaq Al Musannaf Vol: 05, Pg: 438)
    (Imam Abu Yaala Al Musnad Vol: 10, Pg: 45)

Siddique E Akbar Kay Fazail Hadees E Sahih Se

Jawan Mardo Me Sabse Pahle Islam Kabool Karne Waale

Hadees:

“Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Hazrat Abu Bakr Radiallahu Anhu Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ko Hum Sab Se Ziyadah Mahboob They, Aur Hum Sab Se Behtar Aur Hamare Sardar They. Aap Guftagu Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Farmaya: Mardo’n Me Sab Se Pahle Islam Qubool Karne Waale Hazrat Abu Bakr They.”
  • References:
    (Imam Ibn Hibban Sahih, Vol: 15, Pg: 278, #6862)
    (Imam Bazzar Al Musnad, Vol: 01, Pg: 373, #251)

Siddique E Akbar Kay Liye Dua E Rehmat

Hadees:

“Hazrat Syedna Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai ki Do Jahan Kay Taazdar Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Allah Abu Baqr Par Rahem Farmaye Ki Inhone Apni Beti Ka Nikaah Mujhse Kiya Aur Mujhe Darul Hizrat Tak pahuchaya Neez Apne Maal Se Bilal ko aazad Kiya”
  • References:
    (Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Vol: 05, Pg: 398, #3714)

Mehboob E Habib E Khuda ﷺ

Hadees:

Hazrat Amr Ibn Aas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Nabi ﷺ Ne Mujhe Ghazwa Dhaat Is Salasil ka Amir E Lashkar Bana kar rawana farmaya Jab Wapas Aaya to Nabi ﷺ Ki Khidmat Me Arz Guzar Huwa Auraton Me Aapko Sabse Zyada Muhabbat Kis Se Hai Farmaya Ayesha.
Mene Arz Ki Mardo Me to Kaha Unke Walid Abu Baqr Se.

  • References:
        (Sahih Bukhari, Fazail E Sahaba, Baab Fazail E Abu Baqr Siddique #2384)
        (Sahih Bukhari, #3662, #4358)
        (Sahih Muslim, Kitabul Manakib, Baab Fazail E Abu Baqr Siddique, #2384)
        (Imam Tirmizi, Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, #3885,3886) 

Conclusion
Hazrat Abu Baqr Siddique Radiallahu Anhu Ki Zindagi Ke Har Pehlu Me, Unka Silsila E Nasab, Unke Alqabat, Aur Unke Fazail Ke Hawalay Se Gharaz humari Zindagi Mein Aksar Unse Ilm Aur Hidayat Ke Liye Raahnuma Hona Chahiye.

Post a Comment

Previous Post Next Post