Meri Samajh Nahin Aata Ki Log Apni Biwiyon Ka Muqabla Doosron Se Kaise Kar Dete Hain. Apni Biwi Kahte Hue Sharm Aati Hai? Kyon Nahin Kahte, Meri Biwi Hai? Jab Koi Cheez Khilaayenge, To Kahenge, "Aapki Bhabhi Ne Banaya Hai," "Aapki Bhabhi Ne Kaha Hai," "Aapki Bhabhi Ne Poocha Hai." Kyon Bhai? Wo Tumhari Biwi Nahin Hai Kya? Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Logon Ne Poocha Ki Aapko Tamaam Insaanon Mein Sabse Zyada Kis Se Muhabbat Hai? Aapne Farmaaya, "Mujhe Sabse Zyada Muhabbat Apni Biwi Aisha Se Hai." Phir Poocha Gaya, Uske Baad Kis Se? Aapne Kaha, "Us Apni Biwi Ke Walid Se." Ye Nahin Kaha Ki Sasur Se Ya Abu Bakr Se Ya Aapki Bhabhi Ke Walid Se, Balki Farmaaya, "Aisha Ke Walid Se." Pata Nahin Log Kaun Se Akhlaq Bayan Kar Rahe Hote Hain Ye Kehkar Ki "Aapki Bhabhi."
Bhai! Meri Biwi Kyon Nahin Kahte? Tumhe Apne Doston Par Fakhr Hota Hai To Tareef Ke Liye Unhe Mera Bhai Keh Le Te Ho. To Kya Biwi Tumhari Nahin? Ya Tumhe Usse Koi Sharm Mehsoos Hoti Hai? Agar Biwi Se Muhabbat Ka Izhaar Aur Biwi Ki Nisbat Doosron Ki Taraf Karna Akhlaq Hota, To Sabse Bade Akhlaq Ke Payambar Sallallahu Alaihi Wasallam Kabhi Sabke Samne Apni Biwi Se Muhabbat Ka Izhaar Nahin Karte, Balki Kahte, "Tumhari Bhabhi Se!" Yaad Rakhiye, Ye Ek Nafsiyati Baat Hai. Jab Aap Khud Kisi Cheez Ki Nisbat Taalluq Doosre Ki Taraf Kar Den, To Insaan Use Apna Samajhne Lagta Hai.
Aapke Ghar Koi Mehmaan Aaye, Koi Aapse Gaadi Maange, Paise Maange Ya Koi Bhi Cheez Maange, To Aap Dete Hue Kahte Hain, "Apna Hi Samjho." Kya Isse Wo Gaadi, Maal Ya Ghar Uska Bhi Ho Jata Hai? Nahin! Balki Uske Nafsiyat Mein Ye Jumla Asar Kar Jata Hai Ki "Tumhara Hi Hai, Apna Hi Samjho," Aur Wo Be Takalluf Ho Jata Hai. Aap Kahte Hain, "Tumhari Bhabhi Ne Khana Banaya Hai." Wo Foran Kahega, "Bhabhi Ke Haath Ke Khane Se Maza Aa Gaya, Bhabhi Se Kehna Phir Humein Bulaayein, Bhabhi Ke Haath Mein Zayka Hai." Lekin Yehi Jumla Agar Aap Kahte Ki "Khana Meri Biwi Ne Banaya Hai," To Kisi Ki Mazaal Nahin Thi Ki Wo Keh De, "Tumhari Biwi Shandaar Hai," Ya "Apni Biwi Se Kehna Mujhe Phir Se Bulaaye!"