Ghair Islami Tehwar Aur Ayyam Mananay Par Secular Aur Liberal Logon Ka Reactions
Ghair Islami Tehwar Aur Ayyam Manane Se Jab Ahl-e-Ilm Aur Deen-daar Log Mana Karte Hain To Secular Aur Liberal Logon Ka Ek Giroh Akhbar Mein Likhna Aur TV Par Bolna Shuru Kar Deta Hai Ke Fula Fula Din Mananay Mein Kya Haraj Hai? Aise Logon Par Hairat Hoti Hai Ke Unhein Islam, Qur'an, Hadith, Deen Aur Imaan Ka Kuch Paas Hi Nahi, Ke Jin Cheezon Ko Khawand-e-Kareem Aur Uske Rasool ﷺ Ne Bohat Wazeh Alfaz Mein Najaiz Aur Haraam Qarar Diya Aur Jiske Mutaalliq Tafseeli Ahkaam Diye Hain, Unhi Haraam Kaamon Ki Woh Log Wakalat Aur Himayat Karte Hain Jo Kalma Padhtay Hain Aur Khud Ko Musalman Kehte Hain Lekin Nihayat Deeda Dili Se Qur'an Aur Hadith Ko Pas-e-Pusht Daal Kar Khullam Khulla Islami Taleemat Ka Mazaq Udaate Aur Deeni Ahkaam Batane Walon Par Taan-o-Tashniy'a Karte Hain. Unhi Najaiz Rusoomat Aur Af'aal Mein Se Ek Marwajeh Christmas Day Ka Manana Hai. Qur'an Aur Hadith Ke Manne Walon Ko Unhi Ke Muqaddas Faramīn Ki Roshni Mein Kuch Sochne Ki Dawat Di Jaati Hai.
Christmas Ki Tareekhi Haisiyat Aur Hukm Shari'ah
Christmas Ki Tareekhi Haisiyat Aur Hukm Shari'ah Bayan Karte Hue Ulema Kiram Farmate Hain Ke Isaiyon Ke Yahan Christmas Day Ki Koi Tareekhi Haisiyat Nahi, Yeh 14 Sadi Isvi Ka Ek Haadis (Naya) Tehwaar Hai. Lekin Duniya Bhar Ke Isaiyon Ne Is Ikhtiraai (Khud-saakhta) Tehwaar Ko Itni Mazbooti Se Thaama Ke Yeh Sadiyon Se Isaiyon Ki Pehchaan Aur Shi'ar Ban Gaya Hai. Har Church Aur Isaai Tanzeem Gahen Is Tareekh Mein Mauzayyen Ki Jaati Hain Aur Duniya Ko Yeh Bawar (Zehan Nasheen) Kiya Jaata Hai Ke Goya Yeh Masiheeyon Ka Azeem-ul-shaan Tehwaar Hai Jismein Arbon Dollar Ki Sharab Na Sirf Pee Jaati Hai, Balkay Lutai Jaati Hai. Phir Arbon Dollar Ki Aatishbaaziyon Aur Aatishi Mawaad Se Europe Aur America (Isi Tarah Ghalaiban Poori Duniya) Ke Darwazay Aur Aasman Ki Fiza Tharra Uthti Hai. Hafta Das Din Tak Gandhak Ki Badboo Se Mulk Ka Mulk Mehkta Rehta Hai. Be-har Haal, Christmas Day Unka Mazhabi Tehwaar Ho Ya Na Ho Magar Aaj Qaumi Tehwaar Ki Haisiyat Ikhtiyar Kar Gaya Hai. Jis Se Musalmanon Ka Door Rehna Laazim Aur Zaroori Hai.
Huzoor ﷺ Ka Farmaan Aur Is Se Mutalliq Shari'ah Ahkaam
Huzoor Alayhis-salatu Was-salam Ke Is Farmaan Ki Wajah Se من تشبه بقوم فھو منہم۔ Yani Jis Ne Kisi Qoum Ki Mushabihat Ikhtiyar Ki Woh Unhi Mein Se Hai. (Musnad Ahmad) Aur Sunan Abi Dawood Kitaab Al-Jihad Mein Safah 29, Jild 2 Mein Hai: من جامع المشرك وسكن معه فانه مثلہ۔ Yani Jis Ne Kisi Mushrik Ke Saath Ishtiraak-e-amal Aur Raah O Rasm Kiya Woh Usi Ke Tarah Hai. Musalmanon Ke Liye Haraam Hai Ke Unke Tehwaaroon Mein Apne Gharon Ko Unhein Cheezon Se Muzaiyyen Karein Jin Se Woh Log Karte Hain, Phir Is Tareekh Mein Unhein Tohfa Dena Aur Unse Tohfa Lena Bhi Haraam O Mamnoo' Hai Aur Agar Christmas Day Ki Tazeem Maqsood Ho To (Ma'azallah) Yeh Kufr Hai.
Islamic Perspective on Celebrating Christmas
Dur Mukhtaar Jild 2, Safah 350 Aur Radd Al-Mukhtaar Jild 5, Safah 481 Mein Hai: الاعطاء باسم النيروز والمهرجان (بان يقال هدية هذا اليوم - ش ) لا يجوز اى الهدايا باسم هذين اليومين حرام وان قصد تعظيمه كما يعظمه المشركون يكفر. Yani Nowruz Aur Mehrjan (Majusiyon Ki Eidon Ke Naam) Ke Naam Par Atiya Ka Tabadla "Yeh Keh Kar Ke Yeh Aaj Ka Hudiya Hai" Jaiz Nahi. Yani In Dono Dinon Ke Naamon Par Tohfa Dena Lena Haraam Hai Aur Agar Mushrikeen Majusi Ki Tarah Unki Tazeem Bhi Karega To Kufr Hoga. Aur Un Ki Tarah Mubarakbaadiyon Ka Tabadla Bhi Haraam O Na Jaiz Hai Jisse Musalmanon Ko Bachna Zaroori Hai. Aatish Baazi To Yun Bhi Haraam O Bad Anjaam Aur Shaitani Kaam Hai Jismein Ziyae Maal (Maal Ka Zaya Hona) Ke Saath Saath Jaan Ke Khatrey Ka Bhi Andesha Qawi Hai.
Dangers of Fireworks and Celebrating Christmas
Chunanchah Har Christmas Day Ke Moqa Par Europe Aur America (Samit Kai Mumalik) Mein Darjano Jaanain Zaya Hoti Hain (Jiska Andaza Akhbaarat Wagera Ke Muta'ala Se Bakhubi Lagaya Ja Sakta Hai). Musalmanon Par Farz Hai Ke Woh Apne Maal O Jaan Ko Halaak Hone Se Bachayein Aur Aatish Baazi Shaitani Kaarsazi Se Door Rahen.
Follow Us for More Islamic Content & Updates:
JazakAllah Khair for your support and attention!