Happy New Year Kehna Islam Mein Jaiz Hai Ya Na Jaiz? Aam Sawal Ka Jawab

Happy New Year Kehna Islam Mein Jaiz Hai Ya Na Jaiz? Aam Sawal Ka Jawab

Is It Permissible to Wish English New Year ?

Question:

     Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu Kya Angrezi Saal Par Mubarakbad Dena Jaiz Hai? Hamare Baaz Ulama Ise Shiddat Se Mana Karte Hain Aur Baaz Najayaz Aur Haram Mante Hain. Mufti Sahib, Shariat Ke Sahi Hukm Se Humein Agah Farmaein.

Answer:

     Wa Alaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu. Yaqeenan Hum Musalmanon Ka Naya Saal Mah-e-Muharram Se Shuru Hota Hai Aur Humein Bohat Si Ibadat Mein Bhi Qamari Saal Ke Mahinon Se Chalna Hai, Jaise Ada-e-Zakat, Hajj, Roza, Qurbani Waghera. Magar Duniyawi Muamalat Mein Isawi Saal (Shamsi) Bhi Duniya Bhar Ki Qaumon Aur Mazhab Aur Hukoomat Mein Raaij Hai. Hum Khud Deeni Jalsay Ka Iniqad, Muqaddas Maqamat Ka Safar, Deeni Mulazimeen Ki Tankhah, Hatta Ki Shadi-Biyah Mein Bhi English Mah Aur Saal Ka Hisab Rakhte Hain. Aisa Hargiz Nahi Hai Ke Yeh Sirf Isaiyon Ka Saal Hai Aur Musalmanon Ka Nahi. Haan, Iski Aamad Par Jo Tareeqa Ahl-e-Maghrib Ne Ise Manane Ka Nikala Hai, Woh Kat'an Ghair-Islami Hai. Is Se Har Musalman Ko Bachna Zaroori Hai.

Permissibility of Wishing Happy New Year in Islam

    In Khurafaat Se Bachte Hue Agar Log Is Isawi Saal Ki Aamad Par Ek Doosre Ko Mubarakbad Dein, Dua Dein Aur Nasara Ke Tashabbuh Se Bachain, To Is Mein Harj Nahi. Ise Najayaz Aur Haram Kehna Kat'an Ghalat Hai. Naye Shamsi Ya Qamari Saal Ke Aghaz Par Ek Doosre Ko Mubarakbad Dete Hue, Khair O Barkat Ki Dua Dena Aur Nek Tamannao Ka Izhar Karna Mein Shar'an Koi Harj Nahi.

The Practice of the Companions of the Prophet (صلى الله عليه وآله وسلم)

As'hab-e-Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) Ka Mamool Tha Ke Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Par Woh Ek Doosre Ko Darja Zail Dua Sikhatay Thay:

اللّٰهُمَّ أدْخِلْهُ عَلَیْنَا بِالأمْنِ وَ الإیْمَانِ، وَالسَّلَامَةِ وَالإسْلَامِ، وَرِضْوَانٍ مِّنَ الرَّحْمٰنِ وَجِوَازٍ مِّنَ الشَّیْطَانِ.

Aye Allah! Is (naye mahine ya naye saal) Ko Hamare Upar Aman o Imaan, Salamat o Islam Aur Apni Raza Mandi, Aur Shaitan Se Panah Ke Saath Daakhil Farma.
( 📚Al-Tabarani, Al-Mu'jam Al-Awsat, 6:221, Hadith: 641📚 )

Why Wishing Happy New Year is Permissible

    Naye Saal Ki Mubarakbad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota Hai Ke Allah Ne Humein Zindagi Ka Ek Aur Saal Bhi Dikhaya Hai, Jismein Humein Taoba O Istighfar Aur Nek Amal Kamane Ka Mazeed Mauka Mila Hai. Yeh Mubarakbad Khushi Aur Allah Ta'ala Ke Shukr Ka Izhar Hai.

Is Se Wazeh Hota Hai Ke Yeh Ek Mubah Amal Samajhte Hue Naye Qamari Ya Shamsi Saal Ke Aghaz Par Mubarakbad Dena, Dua Dena, Nek Tamannao Aur Jazbat Ka Izhar Karne Mein Shar'an Koi Qabahat Nahi Hai.

Answered By

Sa'il Imam-e-Azam

Muhammad Kaleem Hanfi Rizvi Ghafarullah Ta'ala Qawi, Sahib Qasr Abu Hanifa Karla (Maghrib) Mumbai-70 Maharashtra, India. (Whatsapp Channel : Sunni Jamiatul Ahnaf)

Follow Us for More Islamic Content & Updates

    Is Post Ko Padhne Ke Baad, Agar Aapko Islam Se Related Mazeed Maloomat Aur Motivational Posts Chahiye, Toh Hamare Official Social Media Accounts Barkati Kashana Zaroor Follow Karein. Rozana Islamic Quiz Ke Liye Aap Hamare WhatsApp Channel Par Bhi Directly Jud Sakte Hain! Link Instagram Bio Mein Hai, Jahan Se Aap Hamare Updates Aur Resources Easily Access Kar Sakte Hain..

JazakAllah Khair For Your Support And Attention!

Post a Comment

Previous Post Next Post