Aala Hazrat Ashrafi Miya

Aala Hazrat Ashrafi Miya

Hazrat Sayyed Shaah Abu Ahmad Ali Husain Ashrafi Miyan Rajshahi Khichochvi Rahmatullāhi Alaihi:


Alqaab:

A’ala Hazrat, Qutb-ul-Masha’ikh, Qiblatul Uama, Jameel-ul-Tareeqain, Mehboobe Rabbaani.

Wilaadat:

Aap Ki Wilaadat 22 Rabi Ul Aakhir 1266 Hijri Ko Peer Ke Roz Subah Saadiq Ke Waqt Hui.
Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Haaji Sayyed Saadaat Ali Ashrafi Bin Sayyed Shaah Qalandar Bakhsh Rahmatullāhi Alaihi Hai.
Aap Hasani Saadaat Hain. Aap Hazrat Ghauṡ E Aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani Rahmatullāhi Alaihi Ki Nasl Se Hain.

Early Life And Education:

Aap Ki Wilaadat Ke Baad Aap Ke Waalide Mohtaram Ne Aap Ko Ghusl Diya. Phir Aap Ke Haath Me Qalam Diya Aur Use Siyaahi Me Doobokar Aap Ka Haath Pakadkar ALLĀH (Ism-e-Jalaalat) Likhaaya. Phir Zam Zam Me Shaehd Milaakar Aap Ke Munh Me Rakha. Phir Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani Rahmatullāhi Alaihi Ki Dargaah Mubarak Ka Surma Aap Ki Aankho Me Lagaaya.
Aap Bachpan Se Hi Muttaqi Aur Parhezgaar The. Aur Paabande Shariat The.

Education:

  • 4 Saal 4 Mahine Aur 4 Din Ki Umr Me Shaikh Allama Maulana Gul Muhammad Khalilabadi Ke Paas Aap Ki Bismillāh Khwaani Ki Gai.
  • Maulana Amaanat Ali Kichhochhawi Se Aap Ne Faarsi Ki Ta’aleem Haasil Ki.
  • Maulana Salaamat Ali Gorakhpuri Aur Maulana Qaadir Baksh Kichhochhawi Se Majeed Ta’aleem Haasil Ki.
  • Aap Ne 16 Saal Ki Umr Me Tamaam Uloom Ki Ta’aleem Haasil Kar Li.

Spiritual Journey:

  • 1282 Hijri (1865 A.D.) Me Aap Apne Bhai Hazrat Allama Sayyed Shaah Abu Muhammad Ashraf Husain Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Hue Aur Un Se Uloom-e-Baatini Ki Ta’aleem Haasil Ki.
  • 1290 Hijri (1873 A.D.) Me Hazrat Ne Aap Ko Khilaafat Ata Farmaai.
  • Is Ke Baad Kuchh Arse Tak Aap Aastaana E Aaliya Ashrafiya Par Tanhaai Me Mujaahida Me Mashgool Rahe.

Islamic Contributions:

Aap Ne Hindustan, Pakistan, Bangladesh, Nepal, Egypt, Iraq, Yemen, Syria, Turkey Aur Dusre Mulko Me Islaam Aur Chishti Ashrafi Silsila Isha’at Ki.
Aap Ne Bahot Saari Masjide, Madrasa Aur Idaare Taameer Kiye. Jin Me Madrasa Ashrafiya (Kichhauchha), Aur Jaame Ashraf (Kichhauchha) Saamil Hain.
Hazrat Haafiz E Millat Haafiz Abdul Azeez Rahmatullāhi Alaihi Ne Aap Ke Daste Mubarak Se ‘Daar-ul-Uloom Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom (Mubarakpur)’ Ki Bunyaad Rakhi.
Aap Ki Ta’aleem Aur Faiz Se Be-Shumaar Logo Ko Hidaayat Mili.

Spiritual Recognition:

Masha’ikh Aur Ulama Aap Ko Hum-Shabeeh E Ghauṡ E Aazam Kehte The.
Jab Aap Sundh Sharif, Mewat Me Huzur Qutub E Aalam Fardwakt Hazrat Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi Rahmatullāhi Alaihi Ki Khidmat Me Tashreef Le Gye Aur Unke Sahabzade Shams Ul Aarifeen Mujjadid E Wakt Hazrat Allama Molana Abdullah Sha Sahab Qadri Rajshahi Rahmatullāhi Alaihi Se Mulaqat Hui To Unhone Aapko Dekhar Farmaya Qibla Peer Jii Sahab Janab Ka Garden Se Aur Ye Chehra Ka Hissa Hazrat Ghous Pak Rahmatullāhi Alaihi Se Bilkul Mushaba Hai.

Marriage And Family:

1285 Hijri (1868 A.D.) Me Aap Ka Nikaah Hazrat Sayyad Shaah Himaayat Ashraf Bin Sayyed Shaah Naqi-ud-Deen Ashraf Biskhari Ki Saahabzaadi Se Hua.

Hajj:

Aap Ne 4 Martaba Hajje Baitullāh Ki Sa’adat Haasil Ki.
(1) 1293 Hijri (1876 A.D.)
(2) 1323 Hijri (1906 A.D.)
(3) 1329 Hijri (1911 A.D.) Me (Is Hajj Me Aap Ne Ta’if, Baitul Muqaddas Palestine🇵🇸, Homs, Aleppo Aur Damascus (Syria) Karbala Sharif, Baghdad Sharif Aur Egypt Ki Ziyarat Bhi Ki)
(4) 1354 Hijri (1936 A.D.)

Meeting With A'ala Hazrat:

Ek Martaba Aap Hazrat Mehboob-E-Ilāhi Nizaam-Ud-Deen Auliya Rahmatullāhi Alaihi Ke Mazaaar Par Faatiha Khwaani Ke Baad Baahar Tashreef Laaye To A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi Rahmatullāhi Alaihi Se Mulaaqaat Hui. A’ala Hazrat Ne Aap Ko Dekhkar Ek Sher Irshaad Farmaaya: Ashrafi Aye Rakht Aa’ina Husne Khoobaan, Aye Nazar Kardah O Parwardah Seh Mehboobaan. (Tarjuma: Aye Ashrafi Miyan Aap Husne Khoobiyo Ka Aa’ina Ho, Aap Teen Mehboobo Ke Nazar Kardah Aur Faiz Ata Kardah Ho.) 3 Mehboob Se Muraad Mehboob E Sub’hāni Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani, Mehboob E Ilāhi Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya Chishti Aur Mehboob E Yazdaani Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangeer Simnani Rahmatullāhi Alaihi Hain

Khilaafat And Spiritual Lineage:

Aap Hazrat Allaama Sayyed Shaah Abu Muhammad Ashraf Husain Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain.
Hazrat Qutub E Aalam Fardwakt Miya Rajsha Sahab Qadri Sundhvi Rahmatullāhi Alaihi Ne Aapko Silsila E Qadriya Zahidiya Ki Ijazat Ke Sath Sultan Ul Azkaar Wa Deegar Ijazat Di Aur Ek Duni Ata Farmayi.

Wisaal:

Aap Ka Wisaal 11 Rajab 1355 Hijri (27 September 1936 A.D.) Ko Subha Ke Waqt Ba’halate Zikr Hua.
Aap Ka Mazaar Kichhauchha (Uttar Pradesh) Me Hai.

Du’a:

ALLĀH Ta’ala Us Ke Habeeb Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me Aur Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Rajshahi Rahmatullāhi Alaihi Aur Tamaam Auliya Allāh Aur Ahle Bait Ke Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishq E Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifaazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae, Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyaabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaa’iz Muraado Ko Puri Farmae.
Aameen.


Stay Connected For Authentic Islamic Knowledge & Inspiration!

JazakAllah Khair For Engaging With Our Content! If You Found It Valuable, We Invite You To Join Our Growing Community For More Insightful Teachings, Daily Updates, And Motivational Posts.

👉 Follow Us On Instagram – Links To All Our Social Media Platforms Are In Our Bio!
Whether It's WhatsApp, Facebook, YouTube, Twitter, Or Telegram, Find It All In One Place.

🌐 Explore Our Website: www.barkartikashana.blogspot.com

📧 For Inquiries Or Feedback: islamicprofile1312@gmail.com

May Allah Paak  Guide Us All And Bless Us With His Mercy. Let’s Continue To Learn, Grow, And Strengthen Our Faith Together.

Post a Comment

Previous Post Next Post