Aurat Islam Ke Baad

Aurat Islam Ke Baad

    Islam Mein Aurat Ki Azmat Aur Huqooq: Nabi-e-Rahmat Ka Be-misal Ehsaan


    Jab Humare Rasool-e-rahmat Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ Khuda Ki Taraf Se "Deen-e-islam" Lekar Tashreef Laaye, To Duniya Bhar Ki Sataayi Hui Auraton Ki Qismat Ka Sitara Chamak Utha. Aur Islam Ki Badolat, Zalim Mardon Ke Zulm O Sitam Se Kachli Aur Rondi Hui Auraton Ka Darja Is Qadar Buland O Baala Ho Gaya Ke Ibadat O Mamlaat, Balke Zindagi Aur Maut Ke Har Marhala Aur Har Mod Par Auratein Mardon Ke Dosh-dosh Khadi Ho Gayi Aur Mardon Ki Barabari Ke Darje Par Pohanch Gayi. Mardon Ki Tarah Auraton Ke Bhi Huqooq Muqarrar Ho Gaye Aur Unke Huqooq Ki Hifazat Ke Liye Khudawandi Qanoon Aasman Se Nazel Ho Gaye, Aur Unke Huqooq Dilane Ke Liye Islami Qanoon Ke Matheti Mein Adalatein Qaim Ho Gayi. Auraton Ko Maal Kaana Huqooq Hasil Ho Gaye, Chundanche Auratein Apne Mehr Ki Raqam, Apni Tijaratain, Apni Jaidaadon Ki Malik Ban Gayi, Aur Apne Maa-baap, Bhai-behen, Aulaad Aur Shohar Ki Meeraas Ki Waris Qarar De Gayi. Gharaz, Wo Auratein Jo Mardon Ki Jootiyon Se Zyada Zaleel Aur Khwaar Aur Intehai Majboor Aur Laachaar Theen, Wo Mardon Ke Dilon Ka Sukoon Aur Unke Gharon Ki Malika Ban Gayi. Chundanche Qur'an-e-majeed Ne Saaf Saaf Lafzon Mein Ilan Farma Diya Ke...

خَلَقَ لَكُمْ مِّنْ اَنْفُسِكُمْ اَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوْۤا اِلَیْهَا وَ جَعَلَ بَیْنَكُمْ مَّوَدَّةً وَّ رَحْمَةًؕ        (پ۲۱، روم : ۲۱)
Allah Ne Tumhare Liye Tumhari Jins Se Biwiyan Paida Kar Diyaan Taake Tumhein Unse Taskeen Hasil Ho Aur Usne Tumhare Beech Mohabbat Aur Shafqat Paida Kar Di.

 

    Ab Koi Mard Bila Wajah Na Auraton Ko Maar Peet Sakta Hai, Na Unhe Gharon Se Nikaal Sakta Hai, Aur Na Koi Unke Maal O Asbaab Ya Jaidaadon Ko Cheen Sakta Hai. Balki Har Mard Mazhabi Tor Par Auraton Ke Huqooq Ada Karne Par Majboor Hai. Chundanche Khudawand-e-qudoos Ne Qur'an-e-majeed Mein Farmaaya Ke: 

وَ لَهُنَّ مِثْلُ الَّذِیْ عَلَیْهِنَّ بِالْمَعْرُوْفِ۪      (پ۲، البقرہ ۲۲۸)
Auraton Ke Mardon Par Aise Hi Huqooq Hain Jaise Mardon Ke Auraton Par Achay Sulook Ke Saath.

    Aur Mard Ke Liye Farman Jari Farma Diya Ke...

وَ  عَاشِرُوْهُنَّ  بِالْمَعْرُوْفِۚ (پ۴، النساء : ۱۹)
Aur Achhe Salook Se Aurton Ke Saath Zindagi Basar Karo.

    Tamam Duniya Dekh Le Ke Deen Islam Ne Mian Biwi Ki Ijtimai Zindagi Ki Sadarat Agarche Mard Ko Ata Farmaayi Hai Aur Mardon Ko Auraton Par Hakim Bana Diya Hai Taake Nizam-e-khandaari Mein Agar Koi Badi Mushkil Aan Padhay To Mard Apni Khudadad Taqat Aur Salahiyat Se Is Mushkil Ko Hal Kar De. Lekin Iske Saath Saath Jahan Mardon Ke Kuch Haqooq Auraton Par Wajib Kar Diye Hain, Wahan Auraton Ke Bhi Kuch Haqooq Mardon Par Laazim Thehraye Gaye Hain. Is Liye Aurat Aur Mard Dono Ek Doosre Ke Haqooq Mein Jakhde Hue Hain Taake Dono Ek Doosre Ke Haqooq Ko Ada Kar Ke Apni Ijtimai Zindagi Ko Shaadmani Aur Musarrat Ki Jannat Bana Dein Aur Nifaq Aur Shaqqaq Aur Ladai Jhagray Ke Jahannum Se Hamesha Ke Liye Azaad Ho Jayein.

    Aurat Ko Darajaat Aur Maratib Ki Itni Buland Manzilon Par Pohnchaa Dena Yeh Hazoor Nabi-e-rahmat Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Woh Ehsaan Azeem Hai Ke Tamam Duniya Ki Auratein Agar Apni Zindagi Ki Aakhri Saans Tak Is Ehsaan Ka Shukriya Ada Karti Rahein, Phir Bhi Woh Is Azeem-ul-shaan Ehsaan Ki Shukar Guzari Ke Farz Se Sabakdosh Nahi Ho Sakti. Subhan Allah! Tamam Duniya Ke Mohsin-e-azam Hazoor Nabi Akram Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Shaan-e-rahmat Ka Kya Kehna?

Wo Nabiyo Mein Rehmat Laqab Pane Wala
Muraden Ghareebon Ki Bar Lane Wala
 
Museebat Mein Ghairon Ke Kaam Ane Wala
Wo Apne Paraye Ka Gham Khane Wala
 
Faqeeron Ka Mawaa Zaeefon Ka Malja
Yateemon Ka Wali Ghulamon Ka Maula

Aurat Islam Se Pahle (Part 01)

 

1 Comments

  1. Assalamu Alaikum, I'm Your New Follower And I Learned A Lot Of Knowladge From Your Posts Or Instagram Stories Jazak Allah Khair

    ReplyDelete
Previous Post Next Post