Aale Mustafa Marehrwi: A Beacon of Knowledge and Spirituality
Alqaab (Titles):
Sayyed-ul-Ulama, Imaam-ul-Munaazireen.
Birth and Lineage
Aap Ki Wilaadat 25 Rajab 1333 Hijri (9 June 1915 A.D.) Ko Budh Ke Roz Marehra Me Hui. Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Sayyed Shaah Aale Ibaa Basheer Haidar Bin Bin Sayyed Husain Haidar Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Aur Waalida Ka Naam Sayyeda Ikraam Faatima Shahar Banu Binte Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismāeel Hasan Barkaati Hai. Aap Husaini Saadaat Hai. Aur Hazrat Sayyed Zaid Bin Imaam Zain-ul-Aabideen Radiy-Allāhu Anhu Ki Nasl Se Hain.
Early Education and Spiritual Training
4 Saal, 4 Mahine Aur 4 Din Ki Umr Me Aap Bismillāh Khwaani Ki Gai. Huzoor Ghauṡ E Aazam Abdul Qaadir Jilani Ke Daste Mubarak Se Likhi Hui ‘Bismillāh’ Se Shuruat Ki Gai. Aap Ne Apni Waalida Sayyeda Ikraam Faatima Shahar Banu, Haafiz Aashiq Ali Barkaati Aur Haafiz Saleem-Ud-Deen Saahab Se Ta’aleem Haasil Ki Aur 8 Saal Ki Umr Me Haafize Qur’an Hue. Apni Waalida Se Faarsi Ki Ta’aleem Haasil Ki Aur Apne Maamu Hazrat Taaj-Ul-Ulama Mufti Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan Rahmatullāhi Alaihi Se Faarsi Ki Kitaabo Ki Mazeed Ta’aleem Haasil Ki. Phir Aap Ne Ajmer Me Hazrat Sadr-Ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullāhi Alaihi Se Ta’aleem Haasil Ki. Aap Ne Bahra Tayyiba College Aligarh Muslim University Se 1375 Hijri (1956 A.D.) Me Diploma In Indian Medicine & Surgery (D.I.M.S.) Ki Degree Bhi Haasil Ki.
A Multifaceted Scholar and Spiritual Leader
Aap Ek Azeem Aalim, Mufti, Mufassir, Mohaddeeṡ, Mufakkir, Muhaqqiq, Khateeb, Munaazir, Shaayar, Tabeeb, Siyaasat-Daan, Soofi, Aur Aarif The.
Positions and Leadership Roles
Aap Mumbai Bakr Qassaab Jama’at Ke Qaazi Aur Imaam The.
Aap Khaanqaah-E-Marehra Ke Sajjaada Nasheen Aur Mutawalli Bhi Rahe.
Aap ‘All India Sunni Jamiatul Ulama’ Ke Baani Me Se Hain Aur Aap Us Ke Sadr Bhi Rahe.
Notable Publications and Works
Aap Ki Likhi Hui Mash'hoor Kitaaben:
- Khuba E Sadaarat
- Sirat E Khwaja Ghareeb Nawaaz
- Muqaddas Khaatoon
- Nayi Roshni
- Faiz E Tambeeh
Personal Life and Marriage
Aap Ka Nikaah Qaisar Jahaan Begum Binte Sayyed Aale Habeeb Se Hua. Aap (Apne Naana) Hazrat Sayyed Shaah Ismāeel Hasan Urfe Shaah Ji Miyan Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain. (Aap Ke Maamu) Hazrat Taaj-Ul-Ulama Mufti Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan Rahmatullāhi Alaihi Ne Bhi (1362 Hijri Me) Aap Ko Khilaafat Ata Farmaai Hai.
Spiritual Successors (Khulfa)
Aap Ke Khulfa:
- Hazrat Sayyed Aale Rasool Hasnain Miyan Urfe Nazmi Miyan Barkaati Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi
- Hazrat Sayyed Muhammad Ashraf Barkaati Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi
- Hazrat Taaj-Ush-Shariah Allama Mufti Akhtar Raza Khan Bareilwi Rahmatullāhi Alaihi
- Hazrat Maulana Sakhaawat Ali Rahmatullāhi Alaihi (Maghar)
Wisaal (Passing Away)
Aapka Wisaal 11 Jamaadi Us Saani 1394 Hijri (1 July 1974 A.D.) Ko Shabe Peer Ko 60 Saal Ki Umr Me Hua.
Aap Ka Mazaaar Marehra (Uttar Pradesh) Me Hai.
Conclusion
Allah Ta’ala Apne Habeeb Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me Aur Hazrat Sayyed-Ul-Ulama Sayyed Aale Mustafa Marehrwi Rahmatullāhi Alaihi Aur Tamaam Auliya Allāh Aur Ahle Bait Ke Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishq E Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifaazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae. Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyaabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Ja'iz Muraado Ko Puri Farmae. Aameen.