Tahajjud Ki Namaz

Salatul Lail

    Raat Me Baad Namaz Isha Jo Nafal Namaz Padhi Jaye Unko Salatul Lail Kahte Hain, Or Raat Ke Nawafil Din Ke Nawafil Se Afzal Hain, Sahi Muslim Shareef Me Hain Farmane Musatafa Sallahu Alaihi Wa Allihi Wasallam : Farzo Ke Baad Afzal Namaz Raat Ki Namaz Hai. Sahi Muslim Page 591 Hadees 1163

Tahajjud Or Raat Me Namaz Padhne Ka Sawab

  Salatul Lail Yaani Raat Ki Namazo Ki Ek Qism Tahajjud Hai Ki Isha Ke Baad Raat Me So Kar Uthe Or Nawafil Padhe, Sone Se Pahle Jo Jo Kuch Padhi Wo Tahajjud Nahi, Kam Se Kam Tahajjud Ki 2 Rikaat Hain Or Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Se 8 Tak Sabit Hai (Bahare Shariyat Hissa 4 Page 26-27) Is Me Qiraat Ka Ikhtiyar Hai Jo Chahe Padhe, Behtar Ye Hai Ki Jitna Quran Yaad Hai Wo Tamam Padh Lijiye Warna Ye Bhi Ho Sakta Hai Ki Har Rikaat Me Surah Fatiha Ke Baad 3 3 Baar Surah Ikhlas Padh Lijiye Ki Is Tarah Har Rikaat MeKhatme Quraan Ka Sawab Milega, Aisa Karna Behtar Hai, Bahar Haal Surah Fatiha Ke Baad Koi Bhi Surat Padh Sakte Hain (Fatawa Razaviyyah)

Tahajjud Ki Fazeelat

    Farmane Musatafa Sallallahu Alaihi Wasallam : Jannat Me Aise Bala Khane Hain Jin Ka Bahar Andar Se Or Andar Bahar Se Dekha Ja Sakta Hai, Ek Erabi Ne Uth Kar Arz Ki Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Kis Ke Liye Hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ye Us Ke Liye Hain Jo Narm Guftugu Kare, Khana Khilaye, Roze Rakhe, Or Raat Ko Uth Kar Allah Ke Liye Namaz Padhe Jab Log Soye Hue Ho. Sunane Tirmizi Jild 4 Page 237 Hadees 2535



Post a Comment

Previous Post Next Post