Hum Ramzan Kaise Guzare

  1. Sab Se Pahle Sehri Me Uth Kar Sab Se Pahle Tahajjud Ki 4-6 Ya 8 Rikaat Padh Kar Apne Rab Se Ro Ro Kar Dua Mangiye, Allah Or Uske Rasool Ki Raza Mangiye, Jannat Mangiye Jahannam Se Panah Or Apne Rizq Or Apne Bache Bachiyo Ke Ache Naseeb Mangiye, Phir Mnsaib Miqdar Me Sehri Kijiye हिंदी में पढ़िए
  2. Fajar Ki Azaan Or Namaz Ke taqreeban 30 Miniute Ke Time Gap Me Tilawate Quran Or Kalmaye Taiyyeba Or Istighfar Ki Kasrat Kijiye 
  3. Fajar Ki Namaz Padh Kar Ho Sake To Suraj Ugne Tak Masjid Me Zikro Tilawat Kare Or Suraj Ugne Ke Baad Ishraq Ki 2 Rikaat Nafal Namaz Padhiye. Phir 2 Rikaat Chahst Ki Nafal Namaz Bhi Padhiye, (Chasht Ki Namaz Ishraq Ke Fauran Baad Or 10 11 Baje, Dono Me Se Kisi Bhi Time Padh Sakte Hain)
  4. Jitna Zyada Ho Sake Quran Paak Ki Tilawat Kijiye, Tilawat e Quran Ko 5 Waqt Ki Namazo  Me Taqseem Kar Lijiye, 1 Paare Me 20 Page Hote Hain 20*5=4 Har Namaz Ke Baad Agar Hum Sirf 4 Page Padhe To 5 Namaz Ke Baad Hum 20 Page Padh Kar Nihayat Aasani Se 1 Quran Majeed Mukammal Kar Sakte Hain. Isi Tarah 8 Page Me 2, Or 12 Page Me 3 Quran Majeed Ba Aasani Mukammal Ho Sakti Hai
  5. Jab Bhi Khali Waqt Mile To Kalmaye Taiyyeba Duroode Paak Or Istighfar Ki Khoob Kasrat Kijiye
  6. Asar Se Maghrib Ke Beech Ka Waqt Bahut Qeemti Hai, Dua Ki Qubooliyat Ka Waqt Hai, Tilawat Kijiye Or Iftar Se Pahle Apne Rab Se Gidgida Kar Apne Gunaho Ki Muafi Mangiye
  7. Maghrib Ki Namaz Ke Baad 2 Rikaat Awwabeen Ki Nafal Namaz Padhiye. Is Namaz Ka Bahut Faida Hai Ye Namaz Magrib ki Sunnat Or Nafl Ko Mila Kar Ek Sath 6 Rikat Ya 2-2 Rikaat Kar Ke Alag Alag Bhi Padhi Ja Sakti Hai
  8. Taravih Ki Namaz Ke Baad Agar Jitna Waqt Mile Use Ghoom Phir Kar Barbad Karne Ke Bajye Ziyada Se Ziyada Qaza Namaze Padhne Ki Koshish Kijiye. Or Qaza Namazo Ke Liye Sab Se Aasan Tarika Ye Hai Ki Jis Waqt Ki Farz Namaz Padhe Uske Baad usi Waqt Ki Pahle Qaza Hui Namaz Ki Qaza Padh Le
  9. Har Tarah Ke Gunaho Se Bachiye, Jaise Ki Kisi Ki Geebat (Peeth Piche Burai Karna) Jhoot Or Chugli Se Bachiye, Gali Or Buri Bato Or Jhagda Karne Se Bachiye, Apni Baat Se Kisi Ka Dil Na Dukhaiye, Music Se Bachiye, Apna Time Game Khelne T.V. Ya Facebook Instagram YouTube Whatsapp Me Bina Matlab Time Barbad Karne Se Parhez Kijiye, Kahi Aisa Na Ho Gunah Karne Se Hamara Roza Allah Ki Bargah Me Qubool Na Ho Or Hum Din Bhar Bhooke Pyase Rah Kar Roza Qubool Hone Ki Jhooti Umeed Me Poora Mahina Guzar De



Post a Comment

Previous Post Next Post