Farmane Mustafa ﷺ Hai
Jo Maghrib Ke Baad 6 Rikaat Is Tarah Ada Kare Ki Inke Dauran Koi Buri Baat Na Kahe To Ye 6 Rikaat 12 Saal Ki Ibadat Ke Barabar Hongi. (Sunane Ibne Maja, Jild 2 Page 45, Al Hadees 1167)
Awwabeen Ki Namaz Ka Tarika
Magrib Ki 3 Rikaat Farz Padhne Ke Baad 6 Rikaat ek Hi Niyyat Se Padhiye, Har 2 Rikaat Par Qa,ada Kijiye Or Us Me At-Tahiyyat, Durood e Ibraheem Or Dua Padhiye, Pahli Teesri Or Panchvi Rikaat Ke Ibtida Me Sana Tawooz Tasmiya Bhi Padhiye, Chatwi Rikaat Ke Qaide Ke Baad Salam Pher Dijiye, Pahli 2 Rikaat Sunnate Muakkida Hui, Or Baki 4 Rikaat Nafal. Ye Hai Awwabeen (Yaani Tauba Karne Walo) ki Namaz. Chahe To 2-2 Rikaat Kar Ke Bhi Padh Sakte Hain, Bahare Shariyat Hissa 4 Page 15 or 16 Par Hai: Baad Maghrib 6 Rikaat Mustahab Hain Unko Salatul Awwabeen Kahte Hain Khwah Ek Salam Se Sab Padhe Ya 2 Se Ya 3 Se, Or 3 Salam Yaani Har 2 Rikaat Par Salam Pherna Afzal Hai (Durre Mukhtar, Raddul Mukhtar Jild 2 Page 547)