2 Farameene Musatafa ﷺ
- Jo Namaze Fajar Ba Jamaat Ada Karke Zikrullah Karta Rahe Yaha Tak Ke Aaftab buland ho Gaya (Suraj Nikal Aaya Ho) Phir 2 Rikaat Padhe To use Poore Hajj Or Umre Ka Sawab Milega
- Jo Shaksh Namaze fajar Se farigh hone Ke Baad Apne Musalle Me (Yaani Jaha Namaz Padhi Ho) Baitha Rahe Hatta Ke Ishraq Ke Nafal Padh Le Sirf Khair Hi Bole To Uske Gunaah Bakhsh Diye Jate Hain Agar Che Samundr Ke Jhaag Se Bhi Zyada Ho
Hadees Ka Mafhoom
Hadeese Paak Ke Is Hisse " Apne Musalle Me Baitha rahe Ki Wazahat Karte Hue Hazrat Mulla Ali Qari Alihir Rahma Farmate Hain: Yaani Masjid Ya Ghar Me Is Haal Me Rahe ki Zikr Ya Gaur o Fikr Karne Ya Ilme Deen Seekhne Ya Sikhane Ya Baitullah Ke Tawaf Me Mashgool Rahe Neez "Sirf Khair Hi Khair Bole" Yaani Fajar Or Ishraq Ke Darmiyan Khair Yani Bhali Ke Siwa Koi Guftugu Na Kare Kyuke Ye Wo Baat Hai Jis Par Sawab Murattab Hota Hai
Namaze Ishraq Ka Waqt
Suraj Tulu Hone Se Kam Se Kam 20 Ya 25 Minutes Baad Se Le Kar Zahwaye Kubra Tak Namaze Ishraq Ka Waqt Rahta Hai
Tags
Zikro Azkar