Sawal : Taraweeh Sunnat Hai Ya Nafl..?
Jawab : Taraweeh Mard Or Aurat Sab Ke Liye Sunnate Muakkida Hai. Is Ka Chodna Jaiz Nahi,
Sawal : Taraweeh Ki Kitni Rikaat Hain..? हिंदी में पढ़िए
Jawab : Taraweeh Ki 20 Rikaat Hain
Sawal : 20 Rikaat Taraweeh Ki Kya Hikmat Hai...?
Jawab : 20 Rikaat Taraweeh Me Hikmat Ye Hai Ki Sunnaton Se Faraiz Or Wajibat Ki Takmeel Hoti Hai, Or Subah Se Sham Tak Farz Or Wajib 20 Rikaat Hain, To Munasib Hua Ki Taraweeh Bhi 20 Rikaat ho Taki Mukammal Karne Wali Sunnato Ki Rikaat Or Jin Ki Takmeel Hoti Hai Yani Farz Or Wajib Ki Rikaat Ki Tadaad Barabar Ho Jaye
Sawal : Taraweeh Ki 20 Rikaat Kis Tarah Padhi Jaye..?
Jawab : 20 Rikaat 10 Salam Se Padhi Jaye Yaani Har 2 Rikaat Par Salam Phera Jaye Or Har Tarweeha Yaani 4 Rikaat Par Itni Der Baithna Musatahab Hai Ki Jitni Der Me 4 Rikaat Padhi Hain.
Sawal : Taraweeh Ki Niyaat Kis Tarah Ki Jaye...?
Jawab : Niyyat Ki Main Ne 2 Rikaat Namaz Sunnat rasool Allah Ki Allah Taala Ke Liye Piche Is Imama Ke Munh Mera Kaba Shareef Ki Taraf Allah Akbar
Sawal : Tarweeha Ki Halat Me Chupka Baitha Rahe Ya Kuch Padhe...?
Jawab : Ikhtiyar Hai Chahe Chup Baitha Rahe Chahe Kalma Ya Durood Shareef Padhe Or Aam Taur Par Taraweeh Ki ye Dua Padhi Jati Hai
سُبْحَانَ ذِی الْمُلْکِ وَالْمَلَکُوْتِ سُبْحَانَ ذِی الْعِزَّةِ وَالْعَظَمَةِ وَالْهَيْبَةِ وَالْقُدْرَةِ وَالْکِبْرِيَآئِ وَالْجَبَرُوْتِ سُبْحَانَ الْمَلِکِ الْحَيِ الَّذِی لَا يَنَامُ وَلَا يَمُوْتُ سُبُّوحٌ قُدُّوْسٌ رَبُّنَا وَرَبُّ الْمَلَائِکَةِ وَالرُّوْحِ ط اَللّٰهُمَّ اَجِرْنَا مِنَ النَّارِ يَا مُجِيْرُ يَا مُجِيْرُ يَا مُجِيْر
Sawal : Taraweeh Jamaat Se Padhna Kaisa HaiJawab : Taraweeh Jamat Se Padhna Sunnate Kifaya Hai Yaani Agar Masjid Me Taraweeh Ki Jamat Na Hui to Muhalla Ke Sab Log Gunah Gar Honge Or Agar Kuch Logo Ne Masjid Me Jamaat Se Padh Liya To Sab Bariuz zimma Ho Gaye
Sawal : Taraweeh Me Quraan Majeed Mukammal Karna Kaisa Hai...?
Jawab : Poore Mahine Ki taraweeh Me Ek Baar Quraan Majid Khatm Karna Sunnate Muakkida hai Or 2 Baar Khatm Karna Afzal Hai Or 3 Baar Karna Mazeed Afzaliyat Rakhta Hai, Is Shart Par Ki Muqtadiyon Ko Takleef Na Ho Magar Ek Baar Khatm Karne Me Muqtadiyon ki Takleef Ka Lihaaz Nahi
Sawal : Bila Uzre Sharai Baith Kar Taraweeh Padhna Kaisa Hai...?
Jawab : Bila Uzr Taraweeh Baith Kar Padhna Makrroh Hai, Balki Baad Fuqahae Kiram Ki Nazdeek To Namaz Hogi Hi Nahi
Sawal : Kuch log Shru Rikaat Se Shareek Nahi Hote Balki Jab imam Ruku Me Jane Lagta Hai To Shareek Hote Hain, Unke Liye Kya Hukm Hai...?
Jawab : Na Jaiz Hai, Aisa Hargiz Nahi Karna Chahiye Ki Is Me Munafiqeen Se Mushabihat Payi Jati Hai.