Imam Azam Ka Youm-e-urs
Shaban Al-mu'azzam Ki 2 Tareekh Ko, Karoron Hanafiyon Ke Azeem Peshwa, Imam Azam Abu Hanifah رحمۃ اللہ علیہ Ka Youm-e-urs Hai. Aap Ka Asal Naam Nu'man, Walid-e-girami Ka Naam Saabit, Aur Kuniyat Abu Hanifah Hai. Aap 70 Hijri Mein Iraq Ke Mashhoor Shahr "Kufah" Mein Paida Huay, Aur 150 Hijri Mein 2 Shaban Al-mu'azzam Ko 80 Saal Ki Umar Mein Wafat Paayi. Aaj Bhi Baghdad Sharif Mein Aap Ka Mazar-e-faiz-ul-anwar, Marja-e-khala'iq Hai.
Imam Azam Ki Azmat Aur Sha'n
Aap Ki Sha'n Aur Azmat Ka Andaza Is Baat Se Lagaya Ja Sakta Hai Ke Aap Ka Zikr Hadith Paak Mein Mojood Hai. Jaise Ke Sahih Muslim Mein Hai:
"لَوْ كانَ الـدِّينُ عِندَ الثُّرَيَّا، لَذَهَبَ به رَجُلٌ مِنْ فَارِسَ، أوْ قَالَ، مِنْ أَبْنَاءِ فَارِسَ حَتَّى يَتَنَاوَلَهُ"
"Agar Ilm Surayya (Athvayen Aasman Ke Sitare) Par Bhi Hota, To Ek Farsi Mard Wahan Se Le Aata". Sahih Muslim, 4/1982, Hadith: 2546
Ulama Ke Tassurat
A'ala Hazrat Imam Ahl-e-sunnat, Imam Ahmad Raza Khan (رحمۃ اللہ علیہ) Farmate Hain: "Woh Shakhs Imam-ul-aima, Malik-ul-azimma, Kashif-ul-ghamma, Siraj-ul-ummah, Sayyiduna Imam Abu Hanifah (رحمۃ اللہ علیہ) Hain."Fatawa Razwiyah, 23/226
Imam Shams-ud-din Muhammad Bin Ala' Shafi'i (رحمۃ اللہ علیہ) Farmate Hain: "Jab Humse Sawal Kiya Jata Ke Imamat Mein Sab Se Afzal Kaun Hai? Hum Kehte Hain: Abu Hanifah (Nu'man Bin Sabit)." Uqood-ul-jawahir-ul-munifah, S: 93]
Ilm Aur Fiqh Mein Imam Azam Ki Maharat
Humare Imam-e-azam رحمۃ اللہ علیہ Nihayat Ibadat-guzar, Muttaqi, Logon Par Mehrban, Ilm-e-deen Ke Badshah Aur Ummat Ke Azeem Peshwa Hain, Aap Ko Ahadith Mein Zabardast Maharat Hasil Thi, Masail Aise Yaad Thay Jaise Surah Fatiha, Mushkil Se Mushkil Mas'alah Minto Mein Hal Farma Diya Karte The
Zindagi Ke Haseen Pehlu
Aap Ki Zindagi Ke Haseen Pehluon Ko Jan'nay Ke Liye, Maktaba Tal-madinah Ke Risalah "Ashkon Ki Barsat" Ka Muta'ala Karein!
Ho Na'ib-e-sarwar-e-do Alam, Imam-e-azam Abu Hanifah
Siraj-e-ummat, Faqih-e-afkham, Imam-e-azam Abu Hanifah
Tags
Bettering Ourselves
Blessings of Islamic Months
Islamic Matters
Lessons from the Quran
Prayers & Sunnah
Urs Celebrations & Traditions
Wisdom of Elders