Rayaj Yahi Hai Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko Meraj Sharif Rajab Ki 27wi Shab Me Hijrat Se Pahle Makka Muazzma Me Hazrate Umme Haani Ke Ghar Se Huyi 📕 Zarqaani, jild 1, safah 355 Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko 34 Baar Meraj Huyi 33 Baar Ruhani Yaani Khwab Me Aur 1 Baar Jismani Yaani Jaagte Hue 📕 Madarejun Nubuwat, jild 1, safah 288
Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko Raat Hi Raat Ek Aan Me Masjide Haram Se Masjide Aksa Le Jaaya Gaya Phir Wahan Se Saaton Aasmano Ki Sair Karayi Gayi Phir Sidrah Se Aage 50000 Hijaabat Tai Karaye Gaye Jannat Wa Dozakh Dikhayi Gayi Aur Sabse Badhkar Khuda Ka Deedar Hua, magar Jaisa Ki Munkereen Ki Aadat Hai Har Baat Ka Inkaar Karne Ki To Ispar Bhi Aitraaz Kiya Jaata Hai Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko Meraj Jism Ke Saath Huyi Hi Nahin Balki Khwab Me Aisa Hua, kyunki Aisa Ho Hi Nahin Sakta Ki Koi 27 Saal Ka Safar Ek Pal Me Kar Aaye, to Sawal Ye Hai Ki Agar Khuda Ki Qudrat Ka Iqraar Aql Ke Hisaab Se Kiya Jaaye Tab To Ye Bhi Nahin Ho Sakta Masjide Haraam Yaani Kaaba Muazzama Se Baitul Muqaddas Ka Safar Karne Me 1 Mahine Se Zyada Lag Jaate The Jiski Doori 666 Meel Hai
1 Meel = 1.60934 Kilometer666 Meel = 1.60934 = 1071 KilometerPhir Itna Jaana Aur Wapas Aana Yaani1071 + 1071 = 2142 Kilometer
Ab Ye Bataiye Ki 2142 Kilometer Ka Safar Agar Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Tez Ghode Se Bhi Karte To Ek Ghoda Agar Bahut Tezz Daude To Uski Speed 70 Kilometer Per Ghante Ki Hogi, is Hisaab Se 2142 / 70 = 30.6 Aur Agar Oont Se Safar Karte Tab, oont Ki Raftaar To Ghode Se Kam Hi Hoti Hai, matlab Ye Ki 30 Ghante Se Bhi Zyada Waqt Lagta Aapko Aane Aur Jaane Me, to Agar Aql Ke Hisaab Se Hi Maanna Hai To Masjide Haraam Se Masjide Aksa Ke Safar Ka Bhi Inkaar Karo Kyunki Agar Ek Hi Raat Me Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Aasmano Ki Sair Nahin Kar Sakte, Jannat Dozakh Nahin Dekh Sakte, Khuda Ka Deedar Nahin Kar Sakte To Phir Ek Hi Raat Me Kaaba Se Masjide Aksa Bhi Nahin Pahunch Sakte. Agar Wo Namumkin Hai To Ye Bhi Namumkin Hai, magar Aisa To Kar Hi Nahin Payoge Kyunki Ye Namumkin Kaam Us Raat Mumkin Hua Hai. Agar Inkaar Karenge To Kaafir Ho Jayenge. Rub Taala Quran Me Irshad Farmata Hai Ki: "Paak Hai Wo Zaat Jo Le Gaya Apne Bande Ko Raat Hi Raat Masjide Haraam Se Masjide Aksa" 📕 Paara 15, Surah Asra, Aayat 1 Aql Se Faisla Karne Waalo Tumhari Aql Ke Parkhachche Ud Jayenge, agar Ek Mahine Ka Safar Ek Aan Me Ho Sakta Hai Balki Hua Hai Quran Shahid Hai To Phir 27 Saal Ka Safar Bhi Ek Aan Me Ho Sakta Hai. Agar Ye Mumkin Hai To Wo Bhi Mumkin Hai. Iske Alawa Teen Aur Daleel Hai Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko Meraj Huyi Aur Jism Ke Saath Huyi:
Allah Is Aayat Me Farmata Hai Ki Apne Bande Ko Le Gaya, to Banda Kisko Kahte Hain Is Par Imaam Raazi Alaihirrahma Farmate Hain Ki: "Abd Ka Itlaaq Rooh Aur Jism Dono Par Hota Hai" 📕 Mafatihul Gaib, Jild 20, Safah 295 Aur Iski Sarahat Khud Quran Muqaddas Me Maujood Hai, Maula Farmata Hai Ki: "Kya Tumne Nahin Dekha Jisne Mere Bande Ko Namaz Se Roka"📕 Paara 30, Surah Alaq, Aayat 9 "Aur Ye Ki Jab Allah Ka Banda Uski Bandagi Karne Ko Khada Hua To Qareeb Tha Ki Wo Jinn Uspar Thatha Ki Thattha Ho Jaayen" 📕 Paara 27, Surah Jinn, Aayat 19
Bataiye Namaz Rooh Padhti Hai Ya Jism Ya Ki Dono? Zaahir Si Baat Hai Ki Dono, to Meraj Me Bhi Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ka Jism Aur Rooh Dono Maujood Thi Saari Duniya Jaanti Hai Ki Meraj Me Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ke Liye Burraq Laaya Gaya. Agar Meraj Rooh Ki Thi To Burraq Ka Kya Kaam? Kya Burraq Rooh Ko Uthaane Ke Liye Laaya Gaya Tha? Agar Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ko Meraj Khwab Me Hoti To Munkir Inkaar Kyun Karta? Kyunki Khwab Me Aasman Ki Sair Karna Koi Kamaal To Nahin. Matlab Ye Ki Meraj Jism Ke Saath Hi Huyi. 📕 Ruhul Bayan, Paara 15, Safah 8
Huzoor Ne Khuda Ka Deedar Kiya "Aankh Na Kisi Taraf Phiri Aur Na Had Se Badhi" 📕 Paara 27, Surah Najm, Aayat 17 Matlab Ye Ki Shabe Meraj Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Apne Rub Ko Apne Sar Ki Aankhon Se Dekha. Usi Dekhne Ko Maula Taala Farmata Hai Ki Na To Dekhne Me Hi Aankh Pheri Aur Na Hi Behosh Hue, jaisa Ki Hazrat Moosa Alaihissalam Rub Ke Jalwo Ki Taab Na Laa Sake Aur Behosh Ho Gaye. Aur Is Dekhne Ki Tafseel Khud Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Is Tarah Irshad Farmate Hain: Izzat Waala Jabbar Yahan Tak Qareeb Hua Ki 2 Kamano Ya Usse Bhi Kam Faasla Rah Gaya 📕 Bukhari, Jild 2, Safah 1120
Chaaron Khulfa Yaani Hazrat Abu Bakr Siddiq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Usmaan Gani, Hazrat Maula Ali Wa Abdullah Ibne Abbas, Abdullah Bin Haarish, Abi Bin Ka'ab, Abu Zar Gaffari, Maaz Bin Jabal, Abdullah Ibne Masood, Abu Hurairah, Anas Bin Maalik Aur Bhi Bahut Se Sahaba Ka Yahi Mazhab Hai Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Apne Sar Ki Aankhon Se Rub Taala Ko Dekha. 📕 Shifa Sharif, Jild 1, Safah 119
Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ke Meraj Jismani Ke Tallauq Se Bukhari Wa Muslim Wa Abu Daood Wa Ibne Maaja Wa Shifa Sharif Wagairah Me In Jalilul Qadr Sahaba Ikraam Se Hadise Paak Marwi Hai,jinme Hazrat Abu Bakr Siddiq Umar Faarooq Usmaan Gani Maula Ali Abi Bin Ka'ab Osama Bin Zaid Anas Bin Maalik Bilal Bin Hamama Bilal Bin Sa'ad Jabir Bin Abdullah Huzaifa Bin Eehaan Samrah Bin Jundab Sahal Bin Sa'ad Shaddad Bin Roosi Habib Bin Sanaan Abdullah Bin Abbas Abdullah Bin Umar Abdullah Bin Umru Abdullah Bin Zubair Abdullah Bin Oofi Abdullah Bin Sa'ad Abdullah Bin Masood Abdurrahman Bin Aabis Abbas Bin Abdul Muttalib Maalik Bin Saamad Abul Hamra Abu Aiyub Ansari Abu Hurairah Abu Darda Abu Zar Gaffari Abu Sayeed Khudri Abu Sufiyaan Asma Bint Abi Bakr Umme Haani Umme Kulsum Bint Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ummul Momeneen Aaysha Siddiqa Ummul Momeneen Umme Salma Rizwanullahe Taala Alaihim Ajmayeen 📕 Ruhul Bayaan,paara 27,safah 168
Iske Alawa Bhi Deegar Fuqha Wa Ayimma Ka Yahi Mazhab Raha Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Khuda Ka Deedar Kiya 📕 Almustadrak,jild 1,safah 65 📕 Fathul Baari,jild 7,safah 174 📕 Khasaise Kubra,jild 1,safah 161 📕 Zarqaani,jild 6,safah 118
Ab Jo Log Ye Aitraz Karte Hain Ki Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Khuda Ko Nahin Dekha Balki Jibreele Ameen Ko Dekha To To Main Unse Kahna Chahunga Ki Kya Mere Aaqa Jibreel Ko Dekhne Ke Liye Sidrah Tashrif Le Gaye The,are Jo Khud 24000 Martaba Mere Aaqa Ki Baargah Me Aaye Hon Unhein Dekhna Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ke Liye Koi Kamaal Nahin,balki Wo To Huzoor Ke Hi Ghulam Hain Khud Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki "Mere Do Wazeer Aasman Me Hain Jibrayeel Aur Mikayeel" 📕 Tirmizi,jild 2,safah 208
Wazeer Kiske Hote Hain Zaahir Si Baat Hai Ki Baadshah Ke Hote Hain,agar Huzoor Farmate Hain Ki Ye Dono Mere Wazeer Hain To Matlab Baadshah Aap Khud Hue,to Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ke Liye Ye Koi Kamaal Ki Baat Nahin Ki Jibreel Ko Dekh Liya Balki Kamaal Yahi Hai Ki Khuda Ko Dekha,phir Motariz Ka Ummul Momeneen Sayyadna Aaysha Siddiqa Raziyallahu Taala Anha Ka Ye Qaul Pesh Karna Ki "Jo Ye Kahe Ki Huzoor Ne Khuda Ko Dekha To Wo Jhoota Hai" Ye Qaul Aapke Ijtehaad Par Tha Magar Yahan Aapke Ijtehaad Se Bada Huzoor Ka Qaul Maujood Hai Ki Khud Aap Farmate Hain Ki "Maine Apne Rub Ko Ahsan Surat Me Dekha" 📕 Mishkat,safah 69
Aur Munkir Ka Quran Ki Ye Daleel Laana Ki Khuda Ko Koi Aankh Nahin Dekh Sakti To Iska Jawab Ye Hai Ki Is Duniya Me Khuda Ko Koi Aankh Nahin Dekh Sakti Warna Hadiso Se Saabit Hai Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki "Kal Tum Apne Rab Ko Be Hijaab Dekhoge"📕 Bukhari,kitabut Tauheed,hadees 7443 📕 Ibne Maaja,hadees 185
To Jab Maidane Mahshar Me Tamam Musalman Khuda Ka Deedar Karenge To Huzoor Ke Liye Kya Mushkil Rahi,to Ab Kahne Waala Kah Sakta Hai Ki Wo Duniya Doosri Hogi Jahan Khuda Ka Deedar Hoga To Motariz Ka Aitraz Yahin Se Khatm Ho Gaya Aur Sawal Ka Jawab Khud Ba Khud Mil Gaya Ki Jahan Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Khuda Ka Deedar Kiya Tha Wo Duniya Bhi Doosri Duniya Thi Ye Duniya Nahin Thi,ek Aakhiri Baat Ye Ki Jab Bhi Koi Kisi Ko Apne Yahan Daawat Par Bulaye Aur Mehmaan Ke Saamne Mezbaan Khud Na Aaye To Ise Tauheen Samjha Jaata Hai,usi Tarah Ye Baat Khuda Ki Shaan Ke Bayeed Hai Ki Wo Khud Hi Huzoor Ko Bulaye Unke Liye Jannat Sajaye Jahannam Ko Bujha De Hooro Malak Ka Mela Laga Le Aur Khud Hi Unke Saamne Na Aaye Aur Apna Deedar Na Karaye Ye Na Maanne Waali Baat Hai
Stay Connected For Authentic Islamic Knowledge & Inspiration!
Jazak Allah Khair For Engaging With Our Content! If You Found It Valuable, We Invite You To Join Our Growing Community For More Insightful Teachings, Daily Updates, And Motivational Posts.
👉 Follow Us On Instagram – Links To All Our Social Media Platforms Are In Our Bio! Whether It's WhatsApp Channel, Facebook, YouTube, Twitter, Or Telegram, Find It All In One Place.
🌐 Explore Our Websites:
- Roman: www.barkatikashana.blogspot.com
- Urdu: www.barkatikashana1312.blogspot.com
- Hindi: www.barkatikashanaa.blogspot.com
📧 For Inquiries Or Feedback: islamicprofile1312@gmail.com
May Allah Paak Guide Us All And Bless Us With His Mercy. Let’s Continue To Learn, Grow, And Strengthen Our Faith Together.
Tags
Bettering Ourselves
Blessings of Islamic Months
Daily Prayers & Remembrances
Islamic Matters
Lessons from the Quran
Palestine 🇵🇸
Rights of the Four Companions
Wisdom of Elders
Women’s Circle