🚧 Hawa Ke Rukh Badalne Se Los Angeles Mein Hungama!
🔺 Hazaron Makaanat Aur Imaratein Jal Kar Tabah!
🕬 Washington/ New American President Donald Trump Ne 7 January 2025 Ko Dhamki Di Thi Ke Agar 20 January Se Qabl Hamas Ne Israeli Qaidiyon Ko Riha Nahi Kiya To Middile East Ko Jahannum Bana Denge. Unke Is Bayan Ki Tafseel Geo News Ki Website Par Maujood Hai Aor Al-Arabiya Urdu Ki Website Par Bhi Dekhi Ja Sakti Hai.
Allah Rabb-ul-Izzat Ki Qudrat Dekhiye! Jis Din Ye Dhamki Di Gayi, Usi Roz Yani 7 January 2025 Ko American State California Ke Sabse Bade Shehar Los Angeles Ke Aas Pass Ke Ilaqe Pacific Palisades Ke Janglaat Mein Ek Aag Bhadak Uthi Jisne Dekhte Hi Dekhte Shehar Ka Rukh Kar Liya Aur Los Angeles Mein Lakhon Gharon Aur Makaanat Ko Raakh Ke Dher Mein Badal Diya.
America, Jo Khud Ko Duniya Ki Super Power Qarar Deta Hai, Is Qudrati Aafat Ke Samne Bebas Ho Gaya Hai Aur 12 Hazar Aag Bujhane Ka Amla, 1100 Fire Engines, 60 Aircrafts Aur 143 Pani Ke Tankers Ki Intehai Koshishon Ke Bawajood Tareekh Ki Is Badtareen Aag Par Ab Tak Qabu Nahi Paya Jaa Saka Hai. Mahireen Ka Kehna Hai Ke Is Par Qabu Paane Mein Mazeed Kai Hafte Lag Sakte Hain.
🔖 14 January Tak Media Reports Ke Mutabiq:
- Taqreeban 40,000 Acres Area Jal Kar Khaak Ho Chuka Hai.
- 25 Afraad Halaak Ho Chuke Hain, Kai Laapata Hain.
- 12,000 Se Zyada Makaanat Aur Buildings Tabah Ho Chuki Hain.
- 200,000 Se Zyada Afraad Ko Naqal Makani Par Majboor Hona Pada Hai.
- Jabke Aindah Hafta Kharab Mausam Ki Wajah Se Kai Nai Abadiyaan Aag Ki Lapet Mein Aane Ka Andesha Hai Jiske Bina Par Mazeed Ek Lakh 66 Hazar Afraad Ko Apne Gharo Ko Khali Karne Ki Warning De Di Gayi Hai.
Filmi Duniya (Hollywood) Ke Ma'roof Adakar Jin Mein Mark Hamill, Mandy Moore Aur James Woods Shamil Hain, Apne Qeemti Gharon Se Mehroom Ho Chuke Hain Aur Digar Hazaron Afraad Ke Saath Mehfooz Maqamat Par Panah Lene Par Majboor Hain. Unke Aali Shaan Mahal Numa Gharo Ko Aag Ne Khandar Mein Tabdeel Kar Diya Hai.
Is Mauqa Par Jin Logon Ne Naqal Makani Ki Thi, Wo Ab Hasrat Bhari Nigahon Se TV Par Apne Gharon Ko Jalte Hue Dekh Rahe Hain Jabke Kuch Log Jale Hue Makaanat Ki Taraf Dobara Rukh Kar Rahe Hain Jahan Dhuan Uth Raha Hai Aur Wo Apne Gharon Ko Dekh Kar Gham Se Nidhal Ho Rahe Hain.
Aise Naazuk Halaat Mein Loot Maar Ke Waqiat Bhi Kasrat Se Ho Rahe Hain Jiski Bina Par Mutassir Ilaqon Mein Raat Ka Curfew Nafiz Kar Diya Gaya Hai.
Algharaz Allah Ki Qudrat Ke Samne Duniya Ka Super Power Bebas Hai Aur Is Waqia Mein Insaniyat Ke Liye Ghoro Fikr Ka Maqam Hai.