Shane Maula Ali

Shane Maula Ali


Khuda O Mustafa Ke Mahboob

    Hazrat Sayyedna Sahal Bin Saad Radi Allahu Anhu Se Marwi Hai Ke Huzoor Nabi Akram, Noor-E-Mujassam Sallallahu Alaihi Wa Alaihi Wa Sallam Ne Khaibar Ke Din Irshad Farmaya: "Main Yeh Jhanda Kal Ek Aise Shakhs Ko Dunga, Jiske Haath Par Allah Paak Fatah Ata Farmaye Ga, Woh Allah Aur Uske Rasool Se Mohabbat Karta Hai Aur Allah Aur Uska Rasool Usse Mohabbat Farmate Hain." Rawi Kehte Hain: "Sahaba Kiram Radi Allahu Anhum Ajma'een Ne Woh Raat Badi Bechaini Se Guzari Ke Kis Khush Naseeb Ko Sarkar Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Jhanda Ata Farmainge."

    Subah Huzoor Nabi Akram Noor-E-Mujassam Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ne Farmaya: "Ali Bin Abi Talib Radi Allahu Anhu Kahan Hain?" Sahaba Kiram Radi Allahu Anhum Ajma'een Ne Arz Ki: Ya Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam, Woh Aankhon Ki Takleef Mein Mubtala Hain." Irshad Farmaya: "Unhain Mere Paas Lao!"

    Chunanche Jab Aap Radi Allahu Anhu Hazir-E-Khidmat Hue To Sarkar Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ne Unki Aankhon Par Apna Luabe Dahn (Thook Mubarak) Lagaya Aur Unke Liye Dua Farmayi. Iski Barakat Se Aap Radi Allahu Anhu Ki Aankhen Fauran Theek Ho Gayin Aur Aisi Theek Hui Ke Goya Ke Kabhi Takleef Thi Hi Nahi. Phir Rasool-E-Akram Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ne Unhein Jhanda Ata Farmaya, Ameer-Ul-Mu'mineen Hazrat Syedna Ali Al-Murtaza Karram Allahu Wajhah-Ul-Kareem Ne Arz Ki: "Ya Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam! Kya Main Un Logon Ke Sath Us Waqt Tak Ladun Jab Tak Ke Woh Hamari Tarah Musalman Na Ho Jayein?"

    Irshad Farmaya: "Narmi Se Kaam Lo, Unke Paas Pahunch Kar Pehle Unhein Islam Ki Taraf Bulao, Phir Unhein Batao Ke Islam Qubool Karne Ke Baad Un Par Allah Paak Ke Kya Huqooq Hain, Allah Paak Ki Kasam! Agar Tumhari Wajah Se Allah Paak Ek Aadmi Ko Bhi Hidayat Ata Farma De, To Yeh Tumhare Liye Surkh Oonton Se Bhi Behtar Hai." (Allah Walon Ki Baatein, Safha 141 Bahaawala Sahih Muslim Kitab Fazail-Us-Sahaba, Bab Min Fazail Ali Bin Abi Talib, Hadith: 6223, Safha 1101.)

Shaan-E-Mola Ali Mushkil Kusha

Ae Aashiqan-E-Sahaba Wa Ahl-E-Bait!

    Maula Ali Sher-E-Khuda Allah Paak Aur Rasool-E-Paak Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ke Mahboob, Maula Ali Sher-E-Khuda Qayamat Tak Ke Sayyidon Ke Walid, Mola Ali Sher-E-Khuda Duniya Ke Muqable Mein Aakhirat Se Mohabbat Karne Wale, Maula Ali Sher-E-Khuda Zahir O Baatin Ke Bohot Bade Aalim Aur Bohot Bade Muballigh, Mola Ali Sher-E-Khuda Pukhta Yaqeen Aur Aitamaad Ke Sath Durust Faislay Farmaane Wale, Mola Ali Sher-E-Khuda Muttaqiyon Ke Peshwa, Mola Ali Sher-E-Khuda Wada Poora Karne Wale, Mola Ali Sher-E-Khuda Deen Ke Dushmanon Se Dat Kar Muqabla Karne Wale Aur Unhein Barbaad Karne Wale, Mola Ali Sher-E-Khuda Imaan Walon Ke Sardar, Mola Ali Sher-E-Khuda Bin Maange Ata Farmaane Wale Aur Bohot Zyada Sakhaawat Farmaane Wale Hain.

Naam O Nasab O Huliya Mubarak

    Ameer-Ul-Mu'mineen Hazrat Syedna Mola Ali Mushkil Kusha Sher-E-Khuda Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Makkah Mukarramah Mein Paida Hue. Aap Ki Walida Maajida Hazrat Syyeda Fatima Bint-E-Asad Radi Allahu Anha Ne Apne Walid Ke Naam Par Aap Ka Naam "Haider" Rakha, Jabke Walid Ne Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ka Naam "Ali" Rakha. Huzoor-E-Parnoor Shafi' Yawm-Un-Nushoor Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ne Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ko "Asadullah" (Allah Ka Sher) Ke Laqab Se Nawaza. Iske Alawa "Murtaza" (Yani Chuna Hua), "Karrar" (Yani Palat Palat Kar Hamla Karne Wala), "Sher-E-Khuda," Aur "Mola Mushkil Kusha" Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ke Mashhoor Alqab Hain. Aap Makki Madni Aaqa, Pyaare Pyaare Pyaare Mustafa Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ke Chachazad Bhai Hain. (Miraat-Ul-Manajih J 8, Safha 412 Wa Ghair Makhsoos, Karamaat Sher-E-Khuda, Safha 11). Khalifa-E-Chaharum, Janasheen-E-Rasool, Zauj-E-Batool Hazrat Syedna Ali Bin Abi Talib Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ki Kunyat "Abu Al-Hasan" Aur "Abu Turab" Hai.

اس نے لقب خاکِ شہنشاہ سے پایا
جو حیدرِ کرّار، کہ مولا ہے ہمارا
(اعلیِ حضرت)

    Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem, Shahenshah-E-Abrar, Makke Madine Ke Tajdar Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ke Chacha Janab Abu Talib Ke Farzand-E-Arjumand Hain. Aam-Ul-Feel Ke 30 Saal Baad (Jab Huzoor Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ki Umr Shareef 30 Baras Thi) 13 Rajab-Ul-Murajjab Baroze Jumu'at-Ul-Mubarak Ko Paida Hue. Mola Mushkil Kusha Hazrat Syedna Ali Al-Murtaza Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ki Walida Maajida Ka Naam Hazrat Syeda Fatima Bint-E-Asad Radi Allahu Anha Hai. Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem 10 Saal Ki Umr Mein Hi Daira-E-Islam Mein Daakhil Ho Gaye The Aur Shahenshah-E-Nubuwwat, Tajdar-E-Risalat, Shafi'-E-Ummat Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ke Zer-E-Tarbiyat Rahe Aur Ta-Dam-E-Hayat Aap Sallallahu Alaihi Wa Alihi Wa Sallam Ki Imdaad O Nusrat Aur Deen-E-Islam Ki Himayat Mein Masroof-E-Amal Rahe. Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Muhajireen-E-Awwaleen Ashara Mubashshara Mein Shaamil Hone Aur Deegar Khususi Darjaat Se Musharraf Hone Ki Binaa Par Bahut Zyada Mumtaz Haisiyat Rakhte Hain. Ghazwa-E-Badr, Ghazwa-E-Uhud, Ghazwa-E-Khandaq Waghairah Tamaam Islami Jangon Mein Apni Bepanah Shuja'at Ke Sath Shirkat Farmate Rahe Aur Ghair Muslimon Ke Bade Bade Namwar Bahadur Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ke Qahirana Waar Se Wasil-E-Naar Hue. (Karamaat Sher-E-Khuda, Safha 12)

    Ameer-Ul-Mu'mineen Hazrat Syedna Usman-E-Ghani Radi Allahu Anhu Ki Shahadat Ke Baad Ansar Wa Muhajireen Ne Dast-E-Barkat Par Bait Karke Aap Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ko Ameer-Ul-Mu'mineen Muntakhab Kiya Aur 4 Baras 8 Maah 9 Din Tak Masnad-E-Khilafat Par Ronak Afroz Rahe. 17 Ya 19 Ramazan-Ul-Mubarak Ko Ek Badbakht Ke Qatilana Hamle Se Shadeed Zakhmi Ho Gaye Aur 21 Ramazan Shareef Yak Shamba (Itwaar) Ki Raat Jaam-E-Shahadat Nosh Farma Gaye. (Tareekh-Ul-Khulafa Safha 132, Asad-Ul-Ghaaba J 4 Safha 128, 132, Izalat-Ul-Khafa J 4, Safha 405, Ma'rifat-Us-Sahaba J 1 Safha 100 Wa Ghairah, Karamaat Sher-E-Khuda, Safha 11)

اصل نسل صفا، وجہ وصل خدا
باب فضل ولایت پے لاکھوں سلام 
(اعلیٰحضرت)

    Aap Ka Qad Mubarak Na Zyada Lamba Aur Na Zyada Chhota Tha Balke Aap Miyana Qamat The, Aap Ki Aankhen Badi Badi Aur Chehra Mubarak Intehai Khubsurat Tha Jaise Chaudhvin Ka Chand. Hazrat Ali Karram Allahu Wajhahu Al-Kareem Ke Dono Kandhon Ke Darmiyan Faasla Tha. Aap Ki Hatheliyan Aur Kandhon Ki Haddiyan Bhaari Thin Aur Aap Ki Gardan Mubarak Chaandi Ki Surahi Jaisi Thi, Aap Ke Sar Mubarak Par Baal Peshaani Par Nahi Balke Peeche Ki Taraf The, Aap Ki Darhi Mubarak Ghani Thi Jis Ka Har Baal Baghair Khizab Ke Siyah Tha. Aap Ke Baazu Aur Haath Sakht Mazboot The. (Al-Riyaz Al-Nadra, J 3, Safha 107-108)

مرتضیٰ شیر خدا، مرحب کشا، خیبر کشا
سرورا، لشکر کشا، مشکل کشا، امداد کن (اعلیٰحضرت)

Shere Khuda Ka Bachpan

    Pyare Islami Bhaiyo! Agar Hum Mola Ali Mushkil Kusha, Shere Khuda Karam Allahu Wajhahu Al-Kareem Ka Bachpan Dekhein To Woh Bhi Be-Nazeer Aur Be-Misal Tha. Aap Razi Allahu Ta'ala Anho Bachpan Hi Se Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wa Aalihi Wasallam Ki Sohbat Mein Reh Kar Tarbiyat Hasil Karte. Rehmat Do Aalam Sallallahu Alaihe Wa Aalihi Wasallam Ne Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ki Kifalat Farmaayi. Aap Ne Bachpan Hi Mein Islam Qubool Kiya, Chhoti Si Umar Mein Neki Ke Kaamon Mein Barh Chadh Kar Hissa Liya, Aur Is Raah Mein Aane Wali Rukawatein Aap Ki Tarbiyat Ka Hissa Bani. Sher-E-Khuda Razi Allahu Ta'ala Anho Ke Mubarak Bachpan Ka Ek Khoobsurat Goshah Mulahiza Farmayein.

Shere Khuda Ki Pehli Ghiza

    Aap Razi Allahu Ta'ala Anhu Ki Walida-Majida Hazrat Sayyida Fatimah Bint Asad Razi Allahu Ta'ala Anha Farmati Hain Ke Ameer-Ul-Mu'mineen Hazrat Sayyidna Ali Al-Murtaza Karram Allahu Ta'ala Wajhahu Al-Kareem Jab Paida Hue To Aap Sallallahu Alaihe Wa Aalihi Wasallam Ne Unka Naam Ali Rakha Aur Apna Lu'aab Aap Ke Moun Mein Daala Aur Apni Zaban Unhein Chusne Ke Liye Dee. To Aap Karam Allahu Wajhahu Al-Kareem Zaban-E-Mubarak Ko Chushtay Hue Neend Ki Aaghosh Mein Chalay Gaye. Jab Agla Din Aaya To Hum Ne Aap Karam Allahu Wajhahu Al-Kareem Ko Doodh Pilane Ke Liye Ek Daai Ko Bulaaya, Lekin Aap Ne Doodh Nahi Piya. Jab Is Baat Ki Khabar Rehmat Aalam Sallallahu Alaihe Wa Aalehe Wasallam Ko Dee Gayi To Aap Sallallahu Alaihe Wa Aalehe Wasallam Ne Tashreef Laakar Apni Zaban-E-Athar Aap Razi Allahu Ta'ala Anho Ke Moun Mein Daali. Hazrat Sayyidna Ali Karam Allahu Wajhahu Al-Kareem Zaban-E-Aqdas Ko Chusne Lagay Aur Chushtay Hue Phir Neend Ki Aaghosh Mein Chalay Gaye. Phir Jab Tak Allah Azza Wa Jall Ne Chaaha, Isi Tarah Ka Maamla Hota Raha. (Al-Sirah Al-Halabiyyah, J 1, S 382)

Pyare Islami Bhaiyo!

    Mutaddid Ahadees Mubarka Mein Nabi Akram, Noor-e-Mujassam Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Aap Karram Allahu Wajhahu al-Kareem Ki Jo Shaan Bayan Farmayi Hai, Aaiye! Unmein Se Chand Farman-e-Mustafa Sallallahu Alaihe Wa Aalehe Wasallam Sunte Hain. Chunanche:

(1) Sarkar Sallallahu Alaihe Wa Aalehe Wasallam Ne Hazrat Ali Se Farmaya:
"إِنَّكَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُونَ مِنْ مُوسَى إِلَّا أَنَّهُ لَا نَبِيَّ بَعْدِی"
Yani Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Musa (Alaihis-Salaam) Ke Nazdeek Haroon (Alaihis Salaam) Ka Maqam Tha Magar Ye Ke Mere Baad Koi Nabi Nahi. (Muslim, S: 1310, Hadith: 2404)

(2) "عَلِي مَنِي بِمَنْزِلَةِ رَأْسِي مِنْ بَدَنِ"
Yani Ali Ka Talluq Mujh Se Aisa Hi Hai Jaise Mere Sar Ka Talluq Mere Jism Se Hai. (Kanz al-Ummal, 6/277, Hadith: 32911)

(3) "أَنَا دَارُ الْحِكْمَةِ وَعَلِى بَابُھا"
Yani Main Hikmat Ka Ghar Hoon Aur Ali Iska Darwaza Hain. (Tirmidhi, 5 S: 402, Hadith: 3744)

Farmane Hazrat Usman Ghani

Amir-ul-Mu'mineen, Imam al-Adileen Hazrat Sayyidna Umar Farooq-e-Azam Razi Allahu Ta'ala Anho Irshad Farmate Hain: Hazrat Ali al-Murtaza Karam Allahu Wajhahu al-Kareem Ko Teen (3) Aisi Fazilatain Hasil Hain Ke Agar In Mein Se Ek (1) Bhi Mujhe Naseeb Ho Jaati To Woh Mere Nazdeek Surkh Onthon Se Bhi Mehboob Tar Hoti. Sahaba-e-Karam Ne Poocha: Woh Teen (3) Fazail Kaun Se Hain? Farmaya:

(1) Allah Azza Wa Jallah Ke Pyare Habeeb Habeeb-e-Labeeb Sallallahu Alaihe Wa Aalihi Wasallam Ne Apni Sahabzadi Hazrat Fatimah al-Zahra Razi Allahu Ta'ala Anha Ko Unke Nikah Mein Diya. (2) Unki Rehaish Rasul-e-Kareem Sallallahu Alaihe Wa Aalihi Wasallam Ke Saath Masjid-e-Nabawi al-Sharif Mein Thi Aur Unke Liye Masjid Mein Woh Kuch Halal Tha Jo Unhein Ka Hissa Tha. (3) Ghazwah Khaybar Mein Unhein Parcham-e-Islam Ata Farmaya Gaya. (Mustadrak J 4, S 94, Hadith 4689)

   Sayyidna Farooq-e-Azam Razi Allahu Ta'ala Anho Ne Farmaya Ke Hazrat Ali (Razi Allahu Ta'ala Anho) Hum Mein Sab Se Bade Qazi Aur Hazrat Ubayy Bin Ka'b (Razi Allahu Ta'ala Anho) Hum Mein Sab Se Bade Qari Hain. (Al-Musnad Li Imam Ahmad Bin Hanbal, J 8, S 6, H 21143, Karamat Shir-e-Khuda, S: 22)

      Hazrat Sayyidna Abu Zagal Razi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Amir-ul-Mu'mineen Hazrat Sayyidna Ali al-Murtaza Karam Allahu Wajhahu al-Kareem Ne Farmaya:"Meri 5 Baatein Yaad Rakho (Aur Yeh Aisi Umda Aur Naayab Baatein Hain Ke) Agar Tum Onthon (Camel)  Par Sawar Ho Kar Inhein Talash Karne Niklogay To Onth Thak Jaayenge Lekin Yeh Baatein Nahin Mil Paayengi:

(1) Banda Sirf Apne Rabb Se Umeed Rakhe. (2) Apne Gunahon Ki Wajah Se Darta Rahe. (3) Jahil Ilm Ke Bare Mein Sawal Karne Se Na Sharmaye. (4) Aur Agar Aalim Ko Kisi Mas'alah Ka Ilm Na Ho To (Har Giz Na Bataye Aur La Ilmii Ka Izhaar Aur Saaf Inkaar Karte Hue) "Wallahu A'lam" Yani Allah Sab Se Zyada Ilm Wala Hai Kehne Se Na Ghabraye. (5) Iman Mein Sabr Ki Woh Haisiyat Hai Jaisi Jism Mein Sar Ki, Us Ka Iman (Kamil) Nahin Jo Be Sabri Ka Muzahira Karta Hai."(Allah Walon Ki Baatein, S: 143, Bi-Hawaala Shua'b al-Iman Li al-Bayhaqi, Bab Fi al-Sabr Ala al-Masa'ib, Hadith: 9718, J 7, S 124, Bi-Taghir Qaleel)

Muhabbat Ali Ka Taqaza

    Amir-ul-Mu'mineen Hazrat Sayyidna Ali al-Murtaza, Sher-E-Khuda Karam Allahu Ta'ala Wajhahu al-Kareem Ne Farmaya: Rasul-e-Kareem, Ra'oofoon Raheem Sallallahu Alaihe Wa Aalehe Wasallam Ke Baad Sab Se Behtar Abu Bakr Aur Umar Hain. Phir Farmaya:

"لَا يَجْتَمِعُ حُبِّي وَبُغْضُ أَبِي بَكْرٍ وَعُمَرَ فِي قَلْبِ مُؤْمِنٍ"
Yani Meri Muhabbat Aur (Shaikhayn-e-Kareemayn) Abu Bakr Aur Umar Ka Bughd Kisi Mo’min Ke Dil Mein Jama Nahin Ho Sakta. (Al-Mu'jam al-Awsat li al-Tabarani, Jild 3, S: 79, Hadith 3920, Karamat-e-Shir-e-Khuda, S: 25)

    Subhan Allah Azza Wa Jall! Goya Mola Ali Karam Allahu Wajhahu al-Kareem Khud Farma Rahe Hain Ke Agar Mujh Se Muhabbat Karne Ka Daawa Hai To Shaikhain Kareemayn Se Bhi Muhabbat Karni Ho Gi, Warna Meri Muhabbat Koi Faida Nahin De Gi. Allah Paak Humein Tamam Khulafa-e-Rashideen Aur Sahaba-e-Karam Razi Allahu Ta'ala Anhum Ajma'een Se Muhabbat Karne Aur Unka Adab Aur Ehteram Bajalana Ki Tawfeeq Ata Farmaaye. Ameen Bijaahi al-Nabi al-Ameen Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam 


Stay Connected For Authentic Islamic Knowledge & Inspiration!
Jazak Allah Khair For Engaging With Our Content! If You Found It Valuable, We Invite You To Join Our Growing Community For More Insightful Teachings, Daily Updates, And Motivational Posts.

👉 Follow Us On Instagram – Links To All Our Social Media Platforms Are In Our Bio! Whether It's WhatsApp Channel, Facebook, YouTube, Twitter, Or Telegram, Find It All In One Place.

🌐 Explore Our Websites:

📧 For Inquiries Or Feedback: islamicprofile1312@gmail.com

May Allah Paak Guide Us All And Bless Us With His Mercy. Let’s Continue To Learn, Grow, And Strengthen Our Faith Together.

Post a Comment

Previous Post Next Post