Sach Ki Barkat

Sach Ki Barkat Se 60 Daaku Ne Tauba Ki

    9 Zil Huj Sharif Ko Ek Ladka Apne Ghar Se Bahar Nikala Aur Khet Mein Hal Chalane Wale Ek Bail Ke Piche Ho Liya. Achank Bail Us Ladke Ki Janib Muda Aur Naam Lekar Yun Bola: 'ai Phulaan! Tum Khelkood Ke Liye Nahin Paida Kiye Gaye.' Ladke Ne Bail Ko Is Tarah Baat Karte Suna To Khaufzada Ho Kar Phauran Ghar Aaya Aur Ghar Ki Chat Par Pahuncha. To Kya Dekhta Hai Ki Senkdo Mile Door Maidane Arafat Ka Manzar Dikhai De Raha Hai Jisme Hujjaje Kiram Gharo Se Door Allah Pak Ki Riza Ke Husool Ki Khatir Jam The. Us Ladke Ne Yeh Dekha To Apni Wālida Ki Khidmat Mein Hazir Ho Kar Arz Guzār Hua: 'meri Pyaari Ammi Jaan! Mujhe Allah Pak Ki Riza Ke Liye Rahe Khuda Mein Waqf Kar Dijiye Aur Mujhe Bagdad Sharif Ja Kar Ilme Deen Hasil Karne Aur Allah Pak Ke Nek Bando Ki Khidmat Mein Hazir Ho Kar Unka Faizan Hasil Karne Ki Izazat Inayat Farmayiye.' Ammi Jaan Ne Is Ka Sabab Pucha To Us Ladke Ne Bade Ehtaram Ke Saath Saara Waqia Kah Sunaya. Allah Pak Ki Marzi Aur Riza Par Ammi Jaan Ne Labbaik Kaha Aur Rahe Khuda Ke Is Nanhe Musafir Ke Liye Saman Taiyar Karna Shuru Kar Diya Aur Chalees Dinar (yani Sone Ke Sikke) Apne Lakhthe Jigar (yani Son) Ki Kamiz Ke Andar Diye. Phir Safar Par Rawana Hone Se Pehle Apne Lakhthe Jigar Se Wada Liya Ki Hamesha Aur Har Hal Me Sach Bolna Aur Is Ke Baad Apne Bete Ko Yeh Kehte Hue Al-wadaa Kiya: 'jao! Maine Tumhe Rahe Khuda Mein Hamesha Ke Liye Waqf Kar Diya, Ab Main Yeh Chehara Qiyamat Se Pehle Na Dekhoongi.' (allah Ki Yeh Nek Bandi Janti Thi Ki Ab Main Jeete Je Apne Bete Ko Nahin Dekh Sakungi.) हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए


Maan Ki Naseehat Maanne Ka Sila

    Yeh Ladka Ek Chhote Se Qafila Ke Saath Baghdad Ki Janib Chal Pada, Raaste Mein Ek Waqia Paish Aaya Ki 60 Daaku Qafila Ka Raasta Rok Kar Lootmaar Karne Lage, Unhone Kisi Ko Bhi Na Chhoda Aur Har Ek Se Us Ka Maal-o-asbaab Cheen Liya Magar Is Ladke Ko Kam Umr Jaante Huye Kisi Ne Kuch Bhi Na Kaha, Ek Daaku Ne Qareeb Se Guzarte Huye Aise Hi Poocha: Kya Tumhare Paas Bhi Kuch Hai? Ladke Ne Bina Dare Jawab Diya: Haan! Mere Paas 40 Deenar (Yaani Chalees Sone Ke Sikke) Hain. Daaku Ne Samjha Ki Yeh Hamse Mazak Kar Raha Hai Aur Aage Chala Gaya, Is Ladke Se Kisi Aur Daaku Ne Bhi Poocha To Usse Bhi Yehi Jawab Diya Ki Us Ke Paas 40 Sone Ke Sikke Hain. Jab Yeh Dono Daaku Apne Sardar Ke Paas Gaye To Use Bataya Ki Humne Qafila Mein Ek Aisa Jawaan Mand Ladka Dekha Jo Is Haalat Mein Bhi Hamse Nahi Darta Aur Hamse Mazak Karta Hai. Sardar Ne Kaha: Kya Mazaak Kar Raha Hai? Usko Bula Kar Lao. Jab Woh Ladka Aaya To Sardar Ke Puchhne Par Ab Bhi Wahi Kaha Jo Pehle Kaha Tha, Ki Mere Paas Chalees Sone Ke Deenar Hain, Sardar Ne Talashi Li To Waqai Us Ke Libaas Mein Se Chalees Deenar (40 Sone Ke Sikke) Mil Gaye. Ladke Ke Is Sach Bolne Par Sab Hairaan Hue Aur Us Se Sach Bolne Ka Sabab Poocha To Ladka Kehne Laga: Meri Ammi Ne Ghar Se Nikalte Huye Wada Liya Tha Ki Hamesha Aur Har Haal Mein Sach Bolna Aur Main Apni Ammi Ka Wada Nahi Tor Sakta. Daakuon Ka Sardar Yeh Sun Kar Ro Pada Aur Kehne Laga: Haaye Afsos! Yeh Ladka Apni Ammi Se Kiye Huye Waade Ki Is Tarah Paasdari Kare, Aur Ek Main Hoon Ki Saala Saal Ho Gaye Apne Rab Ke Ahad Ki Khilaaf Varji Kar Raha Hoon. Us Sardar Ne Rote Huye Rahe Khuda Ke Is Nanhe Musafir Ke Haath Par Tauba Kar Li Aur Us Ke Baaki Saathi Bhi Yeh Kehte Huye Tauba Karne Lage Ki Ai Sardar! Jab Lootmaar Ke Bure Kaamon Mein Tu Hamara Sardar Tha Ab Neki Ki Raah Par Bhi Tu Hi Hamara Sardar Hoga.

Nigahe Vali Me Yeh Taaseer Dekhi, Badalti Hazaro Ki Taqdeer Dekhi

    Ai Aashikane Gause Aazam! Rahe Khuda Ka Yeh Nanha Musafir Koi Aur Nahin, Balki Hamare Aur Aap Ke Pyare Pyare Piro Murshid, Piron Ke Peer, Peer Dast Geer, Roshan Zameer, Kutbe Rabbani, Mahboobe Subhani, Peer-e Laasani, Peer-e Peera, Mere Meeraan Shaikh Sayyid Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Bhagdai The. Sach Bolne Ki Bhi Kya Khoob Barkaten Hain Ki Sach Ki Barkat Se Daakuon Ko Sardar Samet Tauba Ki Saadat Nasib Ho Gayi. Har Musalman Ko Chahiye Ki Woh Apne Deeni Aur Dunyawi Tamam Muamalat Mein Sach Bole, Sach Bolna Najat Dilane Aur Jannat Mein Le Jane Wala Kaam Hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post