Imam Malik Bin Anas

Imam Malik Ka Taruf

    Karoron Malikio Kay Azeem Peshwa, (Hazrat Imam Malik-bin-anas) Ka Naam ‘malik’ Aur Kunniyat ‘abu Abdullah’ Hay. Aap Chaar Mujtahid Imaamo Main Say Aik Mashhoor Imam Aur Taba’ Tabi’i Hain. Aap Ki Wiladat Mashhoor Qol Kay Mutabiq (Ek Riwayat Ke Mutabik 7 Rabi Ul Aakhir) 93 Hijri  Main Madinah Shareef Mayn Hui Aur Madinah Pak Main Hi Aap Ka Intikaal Huwa

Husoool E Ilm

    Aap رحمۃُ اللہِ علیہ Alaih Ke Ustaadh Mein Zyada Tar Madina Sharif Ke Buzurgan-e-deen Shamil Thay, Allama Zurqani رحمۃُ اللہِ علیہ Likhte Hain: Aap Ne No Sau (900) Se Zyada Mashaikh Se Ilm Hasil Kiya. (Sharh Al-zurqani 'ala Al-muwatta,) Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ka Hafiza (Memory) Bohat Uchch Darje Ka Tha, Aap Farmate Thay Ke Jis Cheez Ko Maine Yaad Kar Liya Phir Use Kabhi Nahi Bhoola."

Aalim-e-madinah Kaun Hain

    Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Woh 'aalim Hain Jin Ki Khushkhabri Allah Ta'ala Ke Pyare Pyare Aakhri Nabi, Maki-madani, Muhammad-e-arabi  Ne Irshad Farmayi Thi. Chunanche, Hazrat Imam Muhammad Bin Isa Termezi رحمۃُ اللہِ علیہ Apni Kitab "Jaami' Termezi" Mein Hadees Sharif Riwayat Farmatay Hain: 'anqareeb Log Ilm Ki Talash Mein Tez Raftari Se Safar Karenge Lekin Woh Madina Ke 'aalim Se Zyada 'ilm Wala Kisi Ko Nahi Paayenge.' 

Madine Mein Sawari Se Parhez.

    Hazrat Imam Shafi'i رحمۃُ اللہِ علیہ Farmate Hain: Main Ne Madinah Munawwarah Mein Hazrat Imam Malik (May Allah Have Mercy On Him) Ke Darwaze Par Khurasan Ya Misr Ke Ghode Bandhe Dekhe. Ye Ap (May Allah Have Mercy On Him) Ko Butur-e-hadiyyah (Gift) Pesh Kiye Gaye Thay, Is Qadar Aala Ghode Main Ne Kabhi Nahin Dekhe Thay. Chunanche, Main Ne Arz Kiya: Ye Ghode Kitne Umda Hain! Farmaya: Main Ye Sab Apko Tohfa Mein Deta Hoon. Main Ne Arz Kiya: Ek Ghora Apne Liye Tor Lejiye. Farmaya: Mujhe Allah Pak Se Haya Ati Hai Ke Us Mubarak Zameen Ko Apne Ghode Ke Qadmon Tale Raundoon Jis Mein Us Ke Pyarey Payamber, Madinay Ke Tajdar (Peace Be Upon Him) Mojood Hain, Yaani Ap  Karoza-e-anwar Hain.

Imam Shafi'i Imam Malik Ke Paas

    Iam Shafi'i رحمۃُ اللہِ علیہ Hazrat Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ki Khidmat Mein Hazir Hue Aur Arz Ki: Mein Aap Se Mo'atta (Ya'ni Hadees-e-pak Ki Kitab) Padhna Chahta Hoon. Hazrat Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Farmaya: Mere Katib (Writer) Habib Ke Paas Chale Jao, Woh Uski Qira'at Karta Hai. Aap رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Arz Ki: Allah Pak Aap Se Raazi Ho! Mujh Se Aik Safa'ah Sun Lijiye, Agar Mera Padhna Achha Lage To Mein Aap Ko Padh Kar Sunaunga, Warna Chhod Doonga. Hazrat Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Irshaad Farmaya: Padhiye! Aap Ne Aik Safa'ah Padha Aur Khaamosh Ho Gaye. Farmaya: Mazeed Padhiye. Aap Aik Safa'ah Padh Kar Phir Khaamosh Ho Gaye. Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Phir Irshaad Farmaya: Mazeed Padhiye! Aap Ne Phir Padha To Imam Malik Ko Bohat Achha Laga. Phir Aap Ne Imam Malik Ke Haan Poora Mo'atta Padhi Aur Jab Dobara Hazir-e-khidmat Hue To Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Irshaad Farmaya: Koi Aisa Shakhs Talash Karo Jo Tumhein Padhaye. To Hazrat Imam Shafi'i رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Arz Ki: Hazoor! Mein Chahta Hoon Ke Aap Khud Mujh Se Sunen, Agar Acha Na Padh Sakoon To Koi Padhane Wala Talash Kar Loonga Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Irshaad Farmaya: Achha! Theek Hai, Padhiye! To Hazrat Imam Shafi'i رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Poora Mo'atta Shareef Zubaani Suna Diya. Aap Farmate Hain: Is Par Imam Malik رحمۃُ اللہِ علیہ Ne Mujhe Dua Dete Hue Naayat Khushi Ka Izhar Farmaya.

Imam Malik Ke Talluq Se Ulama Ke Aqwal :


Imam Aazam Abu Hanifa

    Main Ne Imam Malik Se Zyada Jald Sahi Jawab Dene Wala Or Kamil Niqad Hadees Kisi Ko Nahi Dekha

Imam Shafai

    Imam Malik Ulama Ke Darmiyan Ke Darakhshindah Sitare Hain, Agar Imam Malik Or Sufiyan Bin Oyainah Na Hote To Hijaj Ka Ilm Rukhsat Ho Jata

Imam Malik Tabeen Ke Baad Makhlooqe Khuda Par Hujjat Hain

Imam Ahmed Bin Hambal

    Imam Malik Ahle Ilm Ke Sardar Hain Or Wo Aor Fiqah Me Imam Hain, Imam Malik Jaisa Kaun Hai ? Wo Aqlo Adab Ke Sath Apne Pesh Ru Ulamaye Islam Ki Pairvi Karne Wale Hain

Post a Comment

Previous Post Next Post