Palestine Se Mohabbat Zaroori... Kyon? (Part 2)

Aapne Sabhi Chhote-bade Bachon Aur Bade-budhon Aur Mahilaon Ko Masjid Al-aqsa Aur Palestine Ki Ahmiyat Batayin.



  • Qayamat Ki Alamat Mein Se Ek Hazrat Isa Ki Vaapsi Is Shehar Ke Makaam Safed Minar Ke Paas Hogi.
  • Is Shehar Ke Makaam "bab-e Lud" Par Isa Alaihissalam Dajjal Ko Qatl Karenge.
  • Palestine Hi Arze Mahshar Hai.
  • Isi Shehar Se Hi Yajooj Majooj Ka Qital Aur Fasad Shuru Hoga.
  • Palestine Ko Namaz Ke Farz Hone Ke Baad "qibla-e-awwal" Hone Ka Ejaz Bhi Haasil Hai. Hijrat Ke Baad Jibreel Alaihissalam Allah Ke Hukm Se Namaz Ke Dauran Hi Muhammad ﷺ Ko Masjid Al-aqsa Se Baitullah (kaaba) Ki Taraf Rukh Karaya Gaya Tha, Jis Masjid Mein Ye Waqiya Pesh Aaya Tha, Vah Masjid Aaj Bhi Masjid-e-qibla-e-tain Kehlata Hai.
  • Huzoor Akram ﷺ  Meeraj Ki Raat Aasman Par Le Jaane Se Pehle Makkah Mukarrama Se Baitul Mukaddas (palestine) Laye Gaye.
  • Allah Ke Rasool ﷺ   Ki Ikhteda Mein Sare Nabiyo Ne Yahaan Namaz Ada Farmayi.
  • Islam Ka Sunehri Daur Farooqi Mein Duniya Bhar Ke Fatah Ko Chhod Kar Mahaz Palestine Ki Fatah Ke Liye Khud Umar (Razi Allahu Anhu) Gaye Aur Yahaan Par Jakar Namaz Ada Karna, Is Shehar Ki Azmat Ko Batata Hai.
  • Dusri Baar, Yaani 27 Rajab 583 Hijri Jumma Ke Din Ko Salaauddin Ayyubi Ke Haathon Is Shehar Ka Dobara Fatah Hona.
  • Baitul Mukaddas Ka Naam "quds" Quran Se Pehle Tak Hua Karta Tha, Quran Nazil Hua To Iska Naam "masjid-e-aqsa" Rakha Gaya, Is Shehar Ke Husool Aur Roomiyo Ke Jabr Ko Bachane Ke Liye 5000 Se Zyada Sahaba Kiram (Razi Allahu Anhum) Ne Jaame Shahadat Noosh Kiya, Aur Shahadat Ka Baab Aaj Tak Band Nahi Hua, Silsila Abhi Tak Chal Raha Hai, Ye Shehar Is Tarah Shuhada Ka Sheher Hai.
  • Masjid-e-aqsa Ki Ki Ahmiyat Haramain Ki Tarah Hai,
  • Ummat-e-muhammadi Haqiqat Mein Is Mukaddas Zameen Ki Waris Hai.
  • Palestine Ki Azmat Ka Andaaza Is Baat Se Bhi Lagaya Ja Sakta Hai Ki Yahaan Par Padhi Jaane Vaali Har Namaz Ka Ajr 500 Guna Bada Kar Diya Jaata Hai.

Palestine se mohabbat zaroori... Kyon? (Part 1)

Post a Comment

Previous Post Next Post