Hazrat Syedna Imam Hussain (رضي الله عنه ) Aur Dusre Hazrat Ahl-e-bait Karam Ka Zikr Nazm Mein Ya Nasr Mein Karna Aur Sunna Yaqeenan Jaiz Hai, Aur Ba'is-e-khair O Barkat Aur Nuzool-e-rahmat Hai, Lekin Is Silsile Mein Neeche Likhi Hui Chand Baaton Ko Dhyaan Mein Rakhna Zaroori Hai:
Is Article Ko Hindi Me Padhne Ke Liye Idhar Click Kijiye
Zikre Shahadat
- Zikr-e-shahadatein Mein Sahih Riwayat Aur Sachche Waqiyat Bayan Kiye Jayein. Aaj Kal Kuch Peshawar Muqarrirun Aur Sha'uron Ne Aam Ko Khush Karne Aur Taqreeron Ko Jamane Ke Liye Ajeeb-ajeeb Qisse Aur Anokhi Nrali Hikayat Aur Garhi Hui Kahaniyan Aur Karamat Bayan Karna Shuru Kar Diya Hai, Kyun Keh Aawam Ko Aisi Baatein Sunay Mein Maza Aata Hai, Aur Aaj Kal Ke Aksar Maqariron Ko Allah Aur Rasool Se Zyaada Aawam Ko Khush Karne Ki Fikr Rehti Hai, Aur Zahiri Taur Par Is Jhoot Mein Maza Zyaada Hai Aur Jalsay Zyaadatar Ab Mazedaariyon Ke Liye Hi Hotay Hain. Aala Hazrat Maulana Shah Ahmed Raza Khan (rahmatullah Alaih) Farmatay Hain: "shahadat Name Nazm Ya Nasr Jo Aaj Kal Aawam Mein Raajj Hain, Aksar Riwayaat Baatilah ( Galat Riwayat) Be Sar-o-paasay Mamlool Aur Akaazi'b Mauzoo'a Par Mushtamal Hain, Aisay Bayaan Ka Parhna Aur Sunna, Woh Shahadat Nama Ho Khwah Kuch Aur Majlis Milad Mein Ho Khwah Kahin Aur Mutlaqan Haram O Na Jaiz Hai. [ Fatawa Rizwiyya Jild 24, Safa 514, Matbu'a Raza Foundation Lahore]" Aur Issi Kitaab Ke Safah 522 Par Itna Aur Hai: Yunhi Marsiye. Aisi Cheezon Ka Parhna Sunna Sab Gunah O Haram Hai. Hadees Paak Mein Hai: "naha Rasoolullah Allahi 'anil Marasi." Rasoolullah Allaho 'anha Ne Marsiyon Se Mana Farmaya.
- Zikr-e-shahadat Ka Maqsad Un Waqiat Ko Sun Kar Ibrat O Naseehat Haasil Karna Ho, Aur Saath Hi Saath Saaliheen Ke Zikr Ki Barkat Haasil Karna Bhi, Ronay Aur Rulane Ke Liye Waqiaat Karbala Bayan Karna Na Jaiz O Gunah Hai. Islam Mein 3 Din Se Zyaada Meyt Ka Sog Jaiz Nahi. Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi Farmatay Hain: "shari'at Mein Aurat Ko Shauhar Ki Mot Par Chaar Mahine Das Din Sog Manaane Ka Hukm Diya Hai, Auron Ki Maut Ke Teesray Din Tak Ijazat Di Hai, Baqi Haram Hai, Aur Har Saal Saug Ki Tajdeed ( Yani Har Saal Ghum Ko Naya Karna) To Kisi Ke Liye Halal Nahi. [ Fatawa Razawiyya Jild 24, Safah: 495.]
Aur Rona Rualana Sab Rafziyon Ke Tor Tareeqay Hain, Kyun Ke In Ki Qismat Mein Hi Yeh Likha Hua Hai. Rafzi Gham Manatay Hain Aur Khariji Khushi Manatay Hain, Aur Sunni, Waqiyat Kar Bala Se Naseehat-o-ibrat Hasil Kartay Hain, Aur Deen Ki Khidmat Ke Liye Qurbaniyan Dete Hain Aur Musibaton Par Sabr Karne Ka Sabak Lete Hain Aur Un Ke Zikr Ki Barkat Aur Faiz Patay Hain. Haan Agar In Ki Musibaton Ko Yaad Kar Ke Gham Ho Jaaye Ya Aansu Nikal Aaye To Yeh Mohabbat Ki Pehchan Hai. Matlab Yeh Hai Ke Ek Hota Hai Gham Manana Aur Gham Karna, Aur Ek Hota Hai Gham Ho Jana Gham Manana Aur Karna Na Jaiz Hai, Aur Dhyan Anay Par Khud-bakhud Ho Jaaye To Jaiz Hai.
Usefull Links 👇👇👇