Muharram Me Kya Jaiz Part 1

Kyu Manay Jata Hai Muharram

    Huzoor Ke Ahle Bait Mein Ek Badi Hasti, Imam Aali Muqam Saiyyduna Hussain رضي الله عنه, Bade Martabey Ke Malik Hain. Unko Sahaba Aur Ahle Bait Ke Taur Par Bhi Jana Jata Hai, Yaani Woh Huzoor Ke Pyare Bete Aur Nawase Hain. Woh Raat Bhar Ibadat Aur Quran Ki Tilawat Karne Wale, Muttaqi, Buzurg Aur Mazhabe Islam Ke Liye Gala Katwane Wale Shaheed Hain. Karbala Ke Maidan Mein Zalimon Ne Muharram Ke 10 Tarikh Ko Jumua Ke Din, 61 Hijri Mein, Huzoor Ke Wisal Ke Karib 50 Saal Baad Hazrat Imam Husain Or Unke Sathiyon Aur Ghar Walon Ko 3 Din Pyasa Rakh Kar Shaheed Kar Diya."

"Muharram Mein Kya Jaiz Hai? Jaaniye Muharram Ke Ahkam Aur Masail"

Niyaz Or Fatiha

    Sadqa Or Khairat Karte Hue, Hazrat Imam Hussain (رضي الله عنه) Aur Unke Saath Shahid Hone Walo Ko Sawab Pahunchane Ke Liye, Garibon, Miskino, Rishtedaron, Padosiyon Ko Khilana Pilana, Quran Ki Tilawat Karna Aur Fatiha Padhna Sawab Ka Kaam Hai. Isme Chand Baton Ka Khas Khayal Rakhna Zaroori Hai.
  1. Niyaz Or Fatiha Kisi Bhi Halal Or Jaiz Khane Pine Ki Cheez Par Ho Sakti Hai, Is Ke Liye Sharbat Or Khichde, Malide Ko Zaroori Khayal Karna Jihalat Hai, Albatta In Chizon Par Fatiha Dilane Me Bhi Koi Harj Nahi, Agar Koi In Sab Chizon Par Fatiha Dilata Hai To Wo Kuch Bura Nahi Karta, Haa Jo Inhen Zaruri Khayal Karta Hai Or In Ke Alawa Kisi Or Khane Pine Ki Jaiz Chizo Par Muharram Ki Fatiha Sahi Nahi Manta Wo Zaroor Jahil Hai
  2. Niyaz Or Fatiha Me Shekhi Khori Nahi Honi Chahiye. Sab Kuch Sirf Allah Walon Ke Zariye Allah Paak Ki Nazdiki Or Qurb Hasil Karne Ke Liye Hona Chahiye. Muhabbat Allah Ke Nek Bando Se Isliye Ki Jati Hai Ki Unki Muhabbat Se Allah Razi Hota Hai. Allah Ko Razi Karna Har Musalman Ki  Zindagi Ka Asli Maqsad Hai.
  3. Niyaz, Fatiha, Aur Buzurgon Ki Ya Burhon Ki Jo Musalmanon Me Raij Hain Aisa Karna Musalmanon Ke Liye Jaiz Aur Achay Kaam Hai, Lekin Farz Ya Wajib Nahin. Inko Na Karne Wala Gunahgaar Nahin Hai, Lekin Unse Rokne Aur Mana Karne Wala Gumrah-o-bad-mazhab Aur Buzurgon Ke Naam Se Jalne Wala Hai.
  4. Niyaz And Fatiha Ke Liye Baal Bachon Ko Tang Karne Ya Kisi Ko Pareshan Karne Ki Ya Khud Pareshan Honay Ki Ya Un Kamoon Ke Liye Qarzah Lene Ki Koi Zaroorat Nahi. Jaisa Aur Jitna Mauqa Ho Utna Karein, Aur Kuch Bhi Na Ho To Khali Quran Ya Kalma Tayyiba Ya Durood Sharif Waghera Ka Zikr Kar Ke Ya Nafl Namaaz Ya Roze Rakh Kar Sawab Pohanchaya Jaye To Ye Bhi Kaafi Hai. Aur Mukammil Niyaz Aur Poori Fatiha Hai, Jis Mein Koi Kami, Yani Shar'ie Khamee Nahi Hai. Khuda-e-ta'ala Ne Islam Ke Zariye Bandon Par Un Ki Taqat Se Zyada Bojh Nahi Dala. Zakat Ho Ya Sadqa Fitr Aur Qurbani Sirf Unhein Par Farz O Wajib Hain Jo Sahib-e-nisab, Yani Shar'ie Tor Par Maldar Hon. Hajj Bhi Us Par Farz Kiya Gaya Jis Ke Bas Ki Baat Ho, Aqeeqa Aur Walima Unhein Ke Liye Sunnat Hain Jin Ka Mauqa Ho Jab Ke Ye Kaam Farz O Wajib Or Sunnat Hain. Aur Niyaz O Fatiha, 'Urs Waghairah' To Sirf Bid'at-e-hasanah, Yani Sirf Acche Aur Mustahabb Kaam Hain, Farz O Wajib Nahi Hain, Yani Shar'ie Tor Par Laazim O Zaroori Nahi Hain. Phir Niyaz O Fatiha Ke Liye Qarzay Lenay, Pareshan Honay Aur Baal Bachon Ko Tang Karne Ki Kya Zaroorat Hai, Balke Halal Kamai Se Apnay Bachon Ki Parwarish Karnay, Bazaate Khud Ek Bara Kar-e-khair, Yani Sawab Ka Kaam Hai. Khulasa Ye Hai Ke Urs, Niyaz, Fatiha, Etc., Buzurgo Ki Yaad Manane Ki Jo Log Mukhalifat Karte Hain, Woh Ghalati Par Hain Aur Jo Log Sirf In Kaamon Ko Hi Islam Samjhe Hue Hain Aur Shar'ee Tor Par Inhe Lazim O Zaroori Khayal Karte Hain, Woh Bhi Badi Bhool Mein Hain.
  5. Niyaz Aur Fatiha Ki Ho Ya Koi Aur Khanay Peenay Ki Cheez, Usko Lutana, Bheed Mein Phenkna, Ki Unki Be-adbi Ho, Pairo Ke Neechay Aaye Ya Naali Waghera Gandi Jagahon Par Gire, Ek Galat Tareeqa Hai, Jis Se Bachna Zaroori Hai, Jaisa Ke Muharram Ke Dino Mein Kuch Log Puri, Gulgule Ya Biscuit Waghera Chhaton Se Phenktay Aur Lutate Hain, Ye Na Munasib Harkatein Hain.
  6. Niyaz-o-fatiha" Yaani Buzurgo Ko Unke Wisal Ke Baad Ya Aam Murdo Ki Ruh Ko Unke Marnay Ke Baad Sawab Pahunchane Ka Matlab Sirf Yahi Nahi Ke Khana Peena Samne Rak Kar Aur Quran Kareem Parh Kar Isal-e-sawab Kar Diya Jaye, Balkay Dusre Deeni, Islami Ya Aam Musalmanon Ko Nafa Pahunchane Wale Kaam Kar Ke Unka Sawab Bhi Pahunchaya Ja Sakta Hai.
Jaise Kisi Ghareeb Bimaar Ka Ilaj Kra Dena, Kisi Baal-bachay Daar Beghar Musalman Ka Ghar Banwa Dena. Kisi Be-qasoor Qaidi Ki Madad Kar Ke Jail Se Rehai Dilana. Jahan Masjid Ki Zarurat Ho Wahan Masjid Banwa Dena. Apni Taraf Se Imam Aur Muazzin Ki Tankhwa Jari Kar Dena. Masjid Mein Namaziyon Ki Zaruraton Mein Kharch Karna. Ilm-e-deen Hasil Karne Walon Ya Ilm Phelane Walon Ki Madad Karna. Deeni Kitaben Chhapwa Kar Taqseem Karana. Deeni Madarse Chalana. Rastay Aur Sarakain Banwana Ya Unhein Sahi Karana. Raston Mein Raahgiron Ki Zarurat Ke Kaam Karana Waghera Waghera.

Ye Sab Aise Kaam Hain Ke Unhein Kar Ke Ya Un Par Kharcha Kar Ke, Buzurgoon Ya Baray Boorhoon Ke Liye Isal-e-sawab Ki Niyat Kar Li Jaye To Ye Bhi Ek Qisam Ki Behtareen Niyaz-o-fatiha Hai, Zindon Aur Mardon Sabhi Ka Is Mein Nafa Aur Faida Hai.
    Hadees-e-pak Mein Hai Ke Huzoor Pak Ke Ek Sahabi Hazrat Sa'd Ibn Abadah (رضي الله عنه) Ki Maa Ka Wisal Hua To Wo Bargaah-e-risalat Mein Hazir Hue Aur Arz Kiya: Ya Rasool Allah ! Meri Maa Ka Intiqal Ho Gaya Hai, To Kaunsa Sadqa Behtar Rahega. Sarkar  Ne Farmaya: Pani Behtar Rahega. Unhone Ek Kunwaan Khudwa Diya Aur Uske Qareeb Khade Ho Kar Kaha: 'hazihi Li' ummi Sa'd' (Yeh Kunwaan Meri Maa Ke Liye Hai). Mishka'at Bab Fadl-e-sadaqah : 169. Yani Jo Log Is se Pani Piyen, Uska Sawab Meri Maa Ko Pohunchta Rahe.
    Sharheen-e-hadith Farmatay Hain: Hazoor Ne Pani Iss Liye Farmaya Ke Madinah Tayyiba Mein Pani Ki Qillat Thi, Peenay Ka Pani Khareedna Parta Tha, Ghareebon Ke Liye Dikkat Ka Samna Tha, Iss Liye Hazoor Ne Hazrat Saad Se Kunwan Khodne Ke Liye Farmaya. Iss Hadith Se Yeh Baat Saaf Ho Jaati Hai Ke Murdon Ko Kar-e-khair Ka Sawab Pohanchta Hai, Aur Yeh Ke Jis Cheez Ka Sawab Pohanchana Ho, Uss Khanay Peenay Ki Cheez Ko Samnay Rakh Kar Yeh Kehne Mein Koi Haraj Nahi Ke Iss Ka Sawab Flaan Ko Pohanchay, Kyunki Hazrat Saad Ne Kunwan Khudwa Kar Kunway Ki Taraf Ishara Kar Ke Yeh Alfaaz Kahe Thay, Lekin Iss Ko Zaroori Bhi Nahi Samajhna Chahiye Ke Khana Pani Samnay Rakh Kar Yahi Isal-e-sawab Jaiz Hai, Door Se Bhi Keh Sakte Hain, Aur Kuchh Na Kahein Dil Mein Koi Neek Kaam Kar Ke Ya Kuchh Parh Kar Ya Khilaa Pila Kar Kisi Ko Sawab Pohanchane Ki Niyat Kar Le Tab Bhi Kaafi Hai. Allah Ta'ala Sawab Dene Wala Hai, Woh Dilon Ke Ahwaal Se Khub Waqif Hai. Yeh Sab Tareeqay Durust Hain, Unn Mein Se Jo Kisi Tareeqay Ko Galat Kahe Wohi Khud Galat Hai.





Post a Comment

Previous Post Next Post