Imam Shafai Ka Ta'aruf
Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Idris Shafai Rahmatullah Alayh Dosri Sadi Hijri Ke Azeem Imam Aur Aali Shan Mujtahid The. Aap Rahmatullah Alaih Ka Nasab Mubarak Abde Manaf Par Ja Kar Nabi-E-Karim, Raufo-Rahim ﷺ Ke Nasab Mubarak Se Ja Milta Hai. Aap Rahmatullah Alayh 150 Hijri Mein Palestine🇵🇸 Ke Ek Qasbe (Village) Mein Paida Hue. (Kitab Al-Thiqat Li Ibn Hibban, Bab Al-Meem, Al-Raqm 2997 Muhammad Bin Idris Al-Shafai, Jild 5, P 406)
Walida Ka Khwab
Imam Shafai Rahmatullah Alaih Ki Wiladat Se Pehle Unki Walida Hazrat Sayyidatuna Fatimah Bint Abdullah Rahmatullah Alaiha Ne Ek Khwab Dekha Ke Unke Jism Se Mushtari Nami Mashhoor Sitara Nikla Aur Misr Mein Ja Kar Gira, Phir Har Shahar Mein Iske Tukde Muntashir Ho Gaye. Maahirin-E-Taabeer Ne Is Khwab Ki Yeh Taabeer Bayan Ki Ke Aap Ke Batn Se Ek Aisa Azeem Us Shaan Aalim Paida Hoga Jiska Ilm Misr Mein Aam Hoga Aur Wahan Se Aalam-E-Islam Mein Phaile Ga. (Tareekh Baghdad, Zikr Man Ismuhu Muhammad… Alkh, Muhammad Bin Idris, 2/57)
Maula Ali Ne Angoothi Ata Farmai
Ek Buzurg Farmate Hain Ke Maine Hazrat Sayyiduna Imam Shafai Rahmatullah Alaih Ko Farmate Suna: "Maine Khwab Mein Hazrat Sayyiduna Maula Ali Murtaza Radiyallahu Anhu Ko Dekha Ke Aap Radiyallahu Anhu Tashreef Laye. Main Jaldi Se Aap Ki Taraf Lapka, Salam Arz Kiya Aur Musafaha Kiya. Aap Radiyallahu Anhu Ne Mujhe Seene Se Laga Liya Aur Apni Ungli Se Anguthi Nikaal Kar Meri Ungli Mein Pehna Di."
Subah Jab Main Neend Se Bedar Hua To Muabbir (Khwab Ki Tabeer Batane Wale) Se Apna Khwab Bayan Kiya. Tabeer Sun Kar Unhone Farmaya: "Aye Abu Abdullah! Aap Ko Khush Khabri Ho! Aap Ka Masjid-E-Haram Mein Hazrat Sayyiduna Ali Radiyallahu Anhu Ka Deedaar Karna Azab-E-naar (Dozakh Ke Azaab) Se Nijaat Ki Basharat Hai. Aap Ka Unse Musafaha Karna Yaum-E-Hisab (Qayamat Ke Din) Mein Aman Ki Alamat Hai. Aur Jo Unhone Aap Ki Ungli Mein Anguthi Pehnai, To Iska Matlab Ye Hai Ke Anqareeb Sari Duniya Mein Aap Ki Shohrat Aisi Hogi Jaisi Hazrat Sayyiduna Ali Radiyallahu Anhu Ki Hai." (Tareekh Baghdad, Al-Raqm 454, Muhammad Bin Idris Al-Shafai, Jild 2, Page 58)
Imam Malik Rahmatullah Alaih Se Iktisab-E-Faiz
Manqool Hai Ke Jab Aap Rahmatullah Alaih Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Ki Khidmat Mein Hazir Hue Aur Arz Ki: "Main Aap Se 'Muwatta' Parhna Chahta Hoon." Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Farmaya: "Mere Katib Habib Ke Paas Chale Jao, Woh Iski Qira'at Karta Hai." Aap Rahmatullah Alaih Ne Arz Ki: "Allah Pak Aap Se Razi Ho! Mujh Se Ek Safha Sun Lijiye, Agar Mera Padhna Acha Lage To Main Aap Ko Padh Kar Sunau Ga, Warna Chhod Dunga." Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Irshad Farmaya: "Padhiye!" Aap Rahmatullah Alaih Ne Ek Safha Padha Aur Khamosh Ho Gaye.
Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Farmaya: "Mazeed Padhiye!" Aap Rahmatullah Alaih Ne Ek Safha Padha Aur Phir Khamosh Ho Gaye. Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Phir Irshad Farmaya: "Mazeed Padhiye!" Aap Rahmatullah Alaih Ne Phir Padha To Imam Malik Rahmatullah Alaih Ko Bahot Acha Laga. Phir Aap Rahmatullah Alaih Ne Imam Malik Rahmatullah Alaih Ke Haan Puri Muwatta Parhi Aur Jab Dobara Hazir-E-Khidmat Hue To Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Irshad Farmaya: "Koi Aisa Shakhs Talash Karo Jo Tumhein Padhaye." To Hazrat Sayyiduna Imam Shafai Rahmatullah Alaih Ne Arz Ki: "Huzoor! Main Chahta Hoon Ke Aap Khud Mera Padhna Sama'at Farmaayein, Agar Acha Na Parh Sakoon To Koi Padhane Wala Talash Kar Lunga." Imam Malik Rahmatullah Alai Ne Irshad Farmaya: "Acha! Theek Hai, Padhiye!" To Hazrat Sayyiduna Imam Shafai Rahmatullah Alaih Ne Az Awwal Ta Aakhir Puri Muwatta Sharif Zubaan Se Parh Daali. Aap Rahmatullah Alai Farmate Hain: Is Par Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Ne Mujhe Dua Di Aur Intihai Khushi Ka Izhaar Farmaya. (Hilyat Ul-Awliya, Al-Imam Ash-Shafai, 9/78, Hadith: 13177/13178/13180 Bataghayir)
Imam Shafai Ki Zahanat Aur Khidmat-E-Hadith
Allah Pak Ne Imam Shafai Rahmatullah Alayh Ko Bohat Unchi Zehni Salahiyat Aur Ilm-E-Deen Ki Bulandiyon Se Nawaza Tha. Hazrat Abu Ubaid Rahmatullah Alayh Farmate Hain: "Ma Ra’aytu Ahadan A’qala Min Al-Shafai" (Yani Main Ne Imam Shafai Rahmatullah Alayh Se Zyada Aqalmand Nahi Dekha). (Hilyat Al-Awliya, 9/101, Al-Imam Al-Shafai, Hadith: 13217)
Imam Shafai Ke Fazl Wa Kamal Ka Andaza Is Baat Se Bhi Lagaya Ja Sakta Hai Ke Huzoor-E-Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: "عَالِمُ قُرَیْشٍ یَمْلَاُ طَبَاقَ الْاَرْضِ عِلْمًا" (Yani Quraysh Ka Ek Alim Duniya Ko Ilm Se Bhar Dega). Bohat Se Ulama-E-Kiram Ne Farmaya Ke Is Hadees-E-Pak Mein Imam Shafai Rahmatullah Alayh Ki Taraf Ishara Hai. Allama Abdul Ra’uf Munawi Rahmatullah Alayh Farmate Hain: "Is Hadees Pak Mein Quraysh Ke Jis Alim Ka Zikar Hai, Woh Imam Shafai Rahmatullah Alayh Hain." (Faiz Al-Qadeer, 2/134, Taht Al-Hadith: 1460
Imam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullah Alayh Farmate Hain: "Jis Tarah Hazrat Sayyiduna Umar Bin Abdul Aziz Pehli Sadi Ke Mujaddid Thay, Usi Tarah Imam Shafai Rahmatullah Alayh Doosri Sadi Ke Mujaddid Hain." Hilyat Al-Awliya, 9/105, Al-Imam Al-Shafai, Hadith: 13236
Imam Ahmad Bin Hanbal Mazeed Farmate Hain: "Meri Tees Saal Ki Koi Raat Aisi Nahi Guzri Jisme Maine Imam Shafai Rahmatullah Alayh Ke Liye Dua Na Ki Ho." Hilyat Al-Awliya, 9/105, Al-Imam Al-Shafai, Hadith: 13237
Imam Shafai Rahmatullah Alayh Zindagi Bhar Hadees-E-Nabawi Ki Khidmat Karte Rahe. Jab Aap Iraq Tashreef Laye, To Wahan Ke Ulama-E-Kiram Ne Aap Ko "Nasir Al-Hadith" Ka Laqab Diya. Hilyat Al-Awliya, 9/114, Al-Imam Al-Shafai, Hadith: 13277
Imam Ahmad Bin Hanbal Rahmatullah Alayh Farmate Hain:
"Maine Imam Shafai Rahmatullah Alayh Se Zyada Kisi Ko Hadees Ki Itteba Karne Wala Nahi Dekha." Hilyat Al-Awliya, 9/114, Al-Imam Al-Shafai, Hadith: 13276
Fatwa Dene Ki Ijaazat
Allah Pak Ne Imam Shafi'i Rahmatullahi Alaih Par Ilm Ka Aisa Darwaza Khola Jis Ki Misaal Nahi Milti. Aap (Rahmatullahi Alaih) Ki Qabilat Aur Ilmi Sha'an O Shaukat Ka Andaaza Is Baat Se Bikhobi Lagaya Ja Sakta Hai Ke Jab Aap Rahmatullahi Alaih Ki Umar Mubarak Sirf Pandrah (15) Baras Hui To Kaamil Aitmaad Aur Bharpoor Itmi'naan Ki Wajah Se Aap Ke Ustad-e-Muhtaram Aur Makkah Al-Mukarramah Ke Mufti-e-Azam Hazrat Sayyiduna Muslim Bin Khalid Zinji Rahmatullahi Alaih Ne Imam Shafi'i Rahmatullahi Alaih Ko Fatwa Nawis Ki Ijaazat Ataa Farma Di. (Kitab Al-Thiqaat Li Ibn Hibban, Muhammad Bin Idris Al-Shafi'i, Bab Al-Meem, Raqam: 2997, 5/406)
Imam Shafi'i Rahmatullah Alaih Ke Asatiza
Imam Shafi'i Rahmatullah Alaih Ko Apne Zamane Ke Behtareen Ulama O Mashaikh Se Faiz Hasil Karne Ka Sharaf Hasil Hua. Aap Rahmatullah Alaih Ne Malikiyon Ke Azeem Peshwa Hazrat Sayyiduna Imam Malik Rahmatullah Alaih Se Bhi Bohat Istifada Kiya. Yoon To Aap Rahmatullah Alaih Ke Asatiza Ki Tadaad Bohat Zyada Hai Lekin Jis Shaksiyat Ka Rang Aap Rahmatullah Alaih Mein Sab Se Zyada Nazar Aata Hai Wo Imam A'zam Abu Hanifa Rahmatullah Alaih Ke Shaagird Rashid Imam Muhammad Bin Hasan Shaybani Rahmatullah Alaih Hain. Hazrat Sayyiduna Muhammad Bin Shuja' Rahmatullah Alaih Farmate Hain Ke Ek Martaba Imam Shafi'i Rahmatullah Alaih Ne Intihai Mushkil Mas'alah Ka Hal Pesh Kiya Jo Khud Unke Nazdik Bhi Hairat Angaiz Tha, To Irshaad Farmaya: "Yeh Humare Ustad-e-Muhtaram Imam Muhammad Bin Hasan Shaybani Rahmatullah Alaih Ka Faiz Hai." (Maqamat-e-Imam-e-Azam, S. 525)
Imam Shafi'i Rahmatullah Alaih Farmate Hain: "Main Bees Saal Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Ki Khidmat Mein Raha Hoon Aur Maine Unse Jis Qadr Istifada Kiya Hai, Agar Use Tehreeri Shakal Di Jaye To Use Uthane Ke Liye Ek Oont Darkar Hoga. Bilashuba Agar Imam Muhammad Na Hote To Mujhe Fiqahat (Deen Ki Samajh) Naseeb Na Hoti." (Maqamat-e-Imam-e-Azam, S. 531 Multaqatan) Imam Malik Rahmatullah Alaih Aur Imam Muhammad Rahmatullah Alaih Jaise Sahiban-e-Ilm O Fazl Ulama Ke Faizan Ne Imam Shafi'i Rahmatullah Alaih Ko Ilm Ka Samundar Bana Diya Tha. Aap Rahmatullah Alaih Na Sirf Hafiz-ul-Hadith (Yani Ek Lakh Hadeeso Ke Hafiz) The Balki Hadith Ke Ma'ani O Matalib, Rawiyon Ke Halaat Aur Hadith Ki Sahihiyat Waghaira Parakhne Mein Bhi Zabardast Maharat Rakhte The.
Stay Connected For Authentic Islamic Knowledge & Inspiration!
JazakAllah Khair For Engaging With Our Content! If You Found It Valuable, We Invite You To Join Our Growing Community For More Insightful Teachings, Daily Updates, And Motivational Posts.
👉 Follow Us On Instagram – Links To All Our Social Media Platforms Are In Our Bio!
Whether It's WhatsApp, Facebook, YouTube, Twitter, Or Telegram, Find It All In One Place.
🌐 Explore Our Website:
📧 For Inquiries Or Feedback:
May Allah Paak Guide Us All And Bless Us With His Mercy. Let’s Continue To Learn, Grow, And Strengthen Our Faith Together.
Tags
Bettering Ourselves
Blessings of Islamic Months
Islamic Matters
Palestine 🇵🇸
Prayers & Sunnah
Urs Celebrations & Traditions