Aashurah Yaani Daswi Muharram Ka Roza Pichhle Ek Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Hai Aur Tamam Ambiya Ye Roza Rakha Karte The Balki Tamam Wahshi Aur Zahreele Jaanwar Bhi Ye Roza Rakhte Hain
📕 Bahare Shariyat, Hiissa 5, Safah 136
📕 Jaame Sageer, Jild 4, Safah 215
📕 Nuzhatul Majalis, Jild 1, Safah 145
Ramzan Ke Baad Sabse Afzal Roza Muharram Yaani Aashrah Ka Aur Farz Namazon Ke Baad Sabse Afzal Namaz Tahajjud Ki Hai
📕 Muslim,jild 1, Safah 823
Siyah Sittah Ki Hadise Paak Hai Ki Jab Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Madina Sharif Tashrif Laayen To Aapne Aashurah Ke Din Yahudiyon Ko Roza Rakhte Hue Dekha To Unse Poochha Ki Tum Log Ye Roza Kyun Rakhte Ho To Unhone Kaha Ki Is Din Allah Ne Moosa Alaihissalam Ko Nijaat Di Aur Firaun Ko Lashkar Sameit Dariya Me Dubo Diya To Bataur Shukrane Me Hazrat Moosa Alaihissalam Ne Is Din Roza Rakha To Hum Bhi Unke Maanne Waale Hain To Hum Bhi Roza Rakhte Hain, To Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki Moosa Alaihissalam Ki Muafiqat Karne Me Hum Tumse Kahin Zyada Haqdaar Aur Unke Zyada Qareeb Hain, To Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Khud Bhi Is Din Roza Rakha Aur Sahaba Ko Bhi Hukm Diya Tab Sahaba Ne Arz Ki Ki Ya Rasool Allah Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Is Din Ki Tazeem Me To Yahood Roza Rakhte Hain To Aap Farmate Hain Ki Theek Hai Agar Hum Agle Saal Rahe To In Sha Allah 9wi Muharram Ka Bhi Roza Rakhenge Taaki Unse Mushabihat Na Ho Magar Isi Saal Aapka Wisaal Hua
📕 Abu Daood, Jild 2, Safah 256
Lihaza 9 Aur 10 Dono Din Roza Rakha Jaaye, Ek Aur Baat Jin Logon Ka Ramzan Ka Koi Bhi Roza Kabhi Ka Bhi Chhoota Hua Ho To Wo Niyat Ramzan Ke Qaza Ki Hi Karen Is Tarah Unka Ramzan Ka Roza Bhi Ada Ho Jayega Aur Maula Ne Chaha To Muharram Ke Din Roza Rakhne Ka Bhi Sawab Payenge
Jo Aashurah Ke Din Apne Ghar Waalon Par Aur Dino Se Zyada Kharch Karega To Usko Allah Saal Bhar Tak Kushaadgi Ata Farmayega
📕 Mishkat, Safah 170
📕 Guniyatut Talebeen, Jild 2, Safah 54
📕 Faizul Qadeer, Jild 6, Safah 236
Jo Shakhs Aashurah Ke Din Yateem Ke Sar Par Haath Pherega To Maula Use Har Baal Ke Badle Ek Neki Aur Jannt Me Ek Darja Bulandi Ata Farmayega
📕 Mishkat,safah 423
📕 Guniyatut Talebeen, Jild 2, Safah 53
Jo Aashurah Ke Din Surma Lagayega To Uski Aankhen Na Dukhegi
📕 12 Maah Ke Fazayal, Safah 266
Jo Aashurah Ke Din Gusl Karega To Saal Bhar Tak Wo Kisi Marz Me Mubtela Na Hoga
📕 Guniyatut Talebeen, Jild 2, Safah 53
Jo Aashurah Ke Din Kisi Beemar Ki Iyadat Karega To Tamam Bani Aadam Ki Iyadat Ka Sawab Milega,jisne Aashurah Ke Din Kisi Ko Paani Pilaya To Utni Deir Usne Allah Ki Nafarmani Nahin Ki
📕 Guniyatut Talebeen, Jild 2, Safah 54
Jo Aashurah Ko Ek Rupya Kharch Karega To Maula Use 1000 Rupya Ata Karega
📕 Nuzhatul Majalis, Jild 1, Safah 147
Ek Shakhs Ne Aashurah Ke Din 7 Darham Kharch Kiye Aur Saal Bhar Tak Intezar Karta Raha Magar Kuchh Na Mila To Agle Saal Iska Munkir Ho Gaya, Usi Raat Khwab Me Dekhta Hai Ki Kisi Ne Use 7000 Darham Dekar Kaha Ki Le Ae Be Sabr Agar Tu Qayamat Tak Intezar Karta To Ye Tere Haq Me Kahin Zyada Behtar Hota
Jo Aashurah Ke Din 4 Rakat Namaz Nafl 2-2 Karke Is Tarah Padhe Ki Chaaron Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Ikhlaas 11-11 Baar To Maula Uske 50 Saal Ke Gunah Maaf Farma Dega Aur Uske Liye Noor Ka Mimber Bichhaya Jayega
📕 Nuzhatul Majalis, Jild 1, Safah 181
Aashurah Ke Din Kaale Kapde Pahanna Maatam Karna Seena Peetna Ghar Me Jhaadu Na Dena Khaana Na Pakana Ye Sab Kaam Najayzo Haraam Hai
📕 Mishkat, Safah 150