Roza Todne Or Na Todne Wali Cheezo Ka Bayan

Sawal : Kin Cheezo Se Roza toot Jata Hai...?
Jawab : Khane Pine Se Roza Toot Jata Hai Jabki Rozadar Hona Yaad Hai, Or Hukka, Bidi, Cigarette  (Sigret), Wagaira Pine Or Paan Ya Sirf Tambaku (Tobacco) Khane Se BhiAgar Roza Rahna Yaad Ho To Roza Jata Rahega, Kulli Karne Me Bila Qasd Pani Halaq Se Utar Gaya Ya Naak Me Pani Chadahya Or Dimag Tak Chadh Gaya Ya Kaan Me Tel (Oil) Tapkaya Ya Naak Me Dawa Chadahayi Agar Roza Dar Hona Yaad Hai To Roza Toot Gaya Warna Nahi Jaan Boojh Kar Munh Bhar Qay (Ulti) Ki Or Roza Daar Hona Yaad Hai To Roza Jata Raha Or Munh Bhar Na Ho To Nahi Tootega, Or Agar Khud Bakhud Ulti Ho Jaye Or Munh Bhar Na Ho To Roza Na Tootega, Or Agar Munh Bhar Na Ho To Lautane Ki Soorat Me Jata Rahega Warna Nahi

Sawal : Kin Cheezo Se Roza Nahi TootTa...?
Jawab : Bhool Kar Khane Se Roza Nahi Jata, Tel Ya Surma Lagane Se Or Makhkhi, Dhoowa Ya Aate Wagaira Ka Ghubar Halaq Me Jane se Roza Nahi Jata, Kulli Ki Or Pani Bilkul Ugal Diya Sirf Kuch Tari Munh Me Baki Rah Gayi Thi, Thook Ke Sath Use bhi Nigal Gaya Ya Kaan Me Pani Chala Gaya , Ya Khankhar Munh Me Aaya Or Nigal Gaya, Agar Che Kitna Hi Ho Roza Na Tootega, Ihtilam (Night Fall) Hua Ya Geebat Ki To Roza Na Gaya Agar Che Geebat Sakht Gunahe Kabira Hai, Or Janabat (Napaki) Ki Halat Me Subah Ki Or Sara Din Napak Raha To Roza NA tootega, Magar Itni Der Tak Qasdan Gusal Na Karna Ki Namaz Qaza Ho Jaye Gunah Or Haram Hai

Post a Comment

Previous Post Next Post